Saturday, September 15, 2012

YAAD....FAIZ AHMED FAIZ

DASHT-E-TANHAI MEIN, AYE JAAN-EJAHAN! LARZAAN HAIN
TERI AWAAZ KE SAAYE, TERE HONTON KE SARAAB
DASHT-ETANHAI MEIN, DOORI KE KHAS-O-KHAAK TALE
KHIL RAHE HAIN TERE PEHLU LE SAMAN AUR GULAAB

UTH RAHI HAI KAHIN QURBAT SE TERI SAANS KI AANCH
APNI KHUSHBOO MEIN SULGTI HUYEE MADDHAM MADDHAM
DOOR UFAQ PAAR, CHAMAKTI HUYEE QATRA QATRA
GIR RAHI HAI TERE DILDAAR NAZAR KI SHABNAM

ISS QADAR PYAR SE AYE JAAN-EJAHAN! RAKHA HAI
DIL KE RUKHSAAR PE ISS WAQT TERI YAAD NE HAATH
YUN GUMAAN HOTA HAI, GARCHE HAI ABHI SUBAH-E-FIRAAQ
DHAL GAYA HIJR KA DIN, AA BHI GAYEE VASL KI RAAT

No comments:

Post a Comment