Monday, December 31, 2012

kaarvan guzar gaya...neeraj

swapn jhare phool se, meet chubhe shool se
lut gaye singhar sabhi baagh ke babool se
aur hum khade-khade, bahar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe


neend bhi khuli na thi ke haye dhoop dhal gayee
paaon jab talak uthen ke zindagi phisal gayee
paat paat jhar gaye ke shaakh shaakh jal gayee
chah tau nikal saki na par umar nikal gayee
geet ashk ban gaye, chand ho dafan gaye
saath ke sabhi diye, dhuan pehan pehan gaye
aur hum jhuke-jhuke mod par ruke-ruke
umr ke chadao ka utaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

haath thay mile ke zulf chaand ki sanwar dun
hont thay khule ke bahar ko pukar dun
dard tha diya gaya ke har dukhi ko pyar dun
aur aansoo yun ke swarg bhoomi par utaar dun

ho saka na kuch magar, shaam ban gayee sahar
woh uthi lehar ke dhah gaye qile bikhar bikhar
aur hum dare-dare, neer nayan mein bhare
odh kafan, pade mazaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

maang bhar chali ke ek, jab nai nai kiran
dholaken dhumak uthin, thumak uthe charan charan
shor mach gaya ke lo chali dulhan, chali dulhan
gaon sab umad pada, behak uthe nayan nayan
par tabhi zahar bhari, gaaj ek woh giri
phunk gaya sindoor taar-taar huyee chunri
aur hum anjaan se, door ke makaan se
paalki liye huye kahaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

vahshat-e-dil se....mehboob ameen najmi

vahshat-e-dil se hum tau baaz aaye
aisi ulfat se hum tau bhar paaye

doston se khuloos ki ummeed
hazrat-e-dil ko kaun samjhaye?

hai, kaya vazaadaar thay woh bhi
dost jo waqt par na kaam aaye

Sunday, December 30, 2012

musafir ho tau...shahzad ahmed

musafir ho tau sun lo, raah mein sehra bhi aata hai
nikal aaye ho ghar se, kya tumhein chalna bhi aata hai

utha deta hai dil har simt tanhai ki deewarein
hujoom-e-arzoo mein ik maqaam aisa bhi aata hai

tera main kya karun aye dil tujhe kuch bhi nahin aata
bichadna bhi usse aata hai aur milna bhi aata hai


dost dushman bane..........

dost dushman bane, pata na lage
haadsaho, pe haadsa na lage

baat kehte huye darta hun
mera kehna tujhe bura na lage

main na maangun ga woh maqam kabhi
jis ko paa kar khuda, khuda na lage



dil abhi tak...hafeez jalandhari

dil abhi tak jawan hai pyare
kis museebat mein jaan hai pyare

tu mere haal ka khayal na kar
iss mein bhi ek shaan hai pyare

talkh kar di hai zindagi jis ne
kitni meethi zabaan hai pyare

main tujhe be-vafaa nahin kehta
dushmanon ka byaan hai pyare


dil ki baat....habeeb jaalib

dil ki baat labon par laa kar ab tak hum dukh sehte hain
hum ne suna tha iss basti mein dil waale bhi rehte hain

ek hamein aawara kehna koi bada ilzaam nahin
duniya waale dil waalon ko aur bohot kuch kehte hain

jin ki khaatir shahar bhi choda jin ke liye badnaam huye
aaj wahi hum se begaane begaane se rehte hain

Wednesday, December 26, 2012

ab ke bichde...ahmed faraz

ab ke bichde tau shayed kabhi khwabon mein milen
jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein milen

tu khuda na mera ishq farishton jaisa
dono insaan hain tau kyun itne hijaabon mein milen

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon mein milen


ranjish hi sahi....ahmed faraz

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chodd ke jaane ke liye aa

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi tau
rasm-o-rah-e duniya hi nibahne ke liye aa

kis kis ko batayen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai tau zamaane ke liye aa

kuch tau mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi tau kabhi mujh ko manaane ke liye aa

ik umr se hun lazzat-e-giryan se bhi mehroom
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

maana ke mohabbat ka chhupaana hai mohabbat
chupke se kisi roz jataane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hi kisi roz na jaane ke liye aa

chandi jaisa rang hai tera...qateel shifai

chandi jaisa rang hai tera sone jaise baal
ik tu hi dhanwaan hai gori, baaqi sab kangaal

har aangan mein saje na tere ujle roop ki dhoop
chail-chabeeli rani thoda ghoonghat aur nikaal

bhar bhar nazren dekhen tujh ko aate-jaate log
dekh tujhe badnaam na kar de yeh hirni jaisi chaal

saamne tu aaye tau dhadken mil kar lakhon dil
ab jaana dharti par kaise aate hain bhunchaal


Tuesday, December 25, 2012

kaha tha kis ne...ahmed faraz

kaha tha kis ne tujhe abroo ganwane jaa
faraz aur usse haal-e-dil sunane jaa

usse bhi hum ne ganwaya teri khushi ke liye
tujhe bhi dekh liya hai are zamaane jaa

suna hai uss ne soyembar ki rasm taaza ki hai
faraz tu bhi muqaddar ko aazmaane jaa

dhalke dhalke....zohra bano nigaah

dhalke dhalke, aansoo dhalke
chalke chalke, saaghar chalke

dil ke taqaaza unn ke ishaare
bojhal bojhal, halke halke

unn ka taghaful, unn ki twajjoh
ek dil uss par laakh tahelke

laakh manaya laakh bhulaya
nayan katore bhar bhar chalke

kitne uljhe kitne seedhe
raste unn ke rang mahal ke


kab se veeran hai....zahoor nazar

kab se veeran hai zeest ki mehfil
aye gham-e-dost ek baar tau mil

baad tark-e-talab bhi aye shab-e-hijr
waqt ka kaatna raha mushkil

doobne waali kishtiyon ka nazar
muntazir hai na jaane kyun saahil

dost dushman bane...shabab keranvi

dost dushman bane, pata, na lage
haadsa ho, pe haadsa na lage

baat kehte huye darta hun
mera kehna tujhe bura na lage


ishq ne husn ko...ahsan danish

ishq ne husn ko tann hi nahin mann bech diya
maslahat karti rahi, laakh, jatan bech diya

sirf naghme hi nahin layy bhi badalni ho gi
baaghbanon ne suna hai ke chaman bech diya

dil umad aaya hai, ahsaan bhar aaye aansoo
jab suna hai kisi fankaar ne fann bech diya

jahan kuch log....yazdani jalandhari

jahan kuch log deewane bane hain
bade dilchasp afsaane bane hain

haqeeqat kuch tau hoti hai yaqeenan
kahin jhoote bhi afsaane bane hain?

jo shola shama ke dil mein hai raushan
ussi shole se parwaane bane hain


kabhi unn se milne ki...ibn-e-insha

kabhi unn se milne ki aasha ne jot jaga di thi mann mein
ab mann ka ujala samo liya, phir shaam hai apne aangan mein

jee ghulta hai, aansoo dhalte hain, har neer mein se deep jalte hain
iss barkha se jee ki aag bujhe? yeh aur bhi bhadke saawan mein

sabhi bol madhur, sabhi nayan sajal, kin galiyon mein hamein tum le aaye
iss mann ko logo bhatkao, yeh mann hai kisi ke bandhan mein

har ek pe nazren uthti thin har ek pe jee ko machalna tha
iss shahar mein roop ka kaal nahin kuch aur hai apne saajan mein


Monday, December 24, 2012

nukta cheen hai...ghalib

nukta cheen hai, gham-e-dil uss ko sunaye na bane
kya bane baat, jahan baat banaye na bane

main bulata tau hun uss ko, magar aye jazba-e-dil
uss pe ban jaye kuch aisi, ke bin aaye na bane


qahar hai maut hai....momin

qahar hai maut hai qaza hai ishq
sach tau yeh hai buri bala hai ishq

asar-e-gham zara bata dena
woh bohot poochte hain kya hai ishq


na kati hum se...momin

na kati hum se shab judai ki
kitni hi taaqqat aazmai ki

rashk-e-dushman bahana tha, sach hai
main ne hi tum se bevafai ki


shokh kehta hai...momin

shokh kehta hai be-hayaa jaana
dekho dushman ne tmko kya jaana

uss ke uthte hi hum jahan se uthe
kya qayamat hai dil ka aa jaana

mai na utri gale se jo uss bin
mujh ko yaaron ne paarsa jaana


dard ban kar dil mein...daagh

dard ban kar dil mein aana, koi tum se seekh jaye
jaan-e-aashiq ho ke jaana, koi tum se seekh jaye

har sukhan par rooth jaana, koi tum se seekh jaye
rooth kar phir muskurana, koi tum se seekh jaye

vasl ki shab chasm-e-khwab aalooda ko malte uthe
sote fitne ko jagaana, koi tum se seekh jaye

Sunday, December 23, 2012

mere qaabu mein...daagh

mere qaabu mein na pehron dil-e-nashaad aaya
woh mera bhoolne wala jo mujhe yaad aaya

koi bhoola hua andaz-e-sitam yaad aaya
ke tabassum tujhe zaalim dum-e-be daad aaya

lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaya tau mujhe yaad aaya


milte hi be-baak thi...daagh

milte hi be-baak thi woh aankh sharmayee huyee
phir gayee pachta ke palkon tak haya aayee huyee


har ada mastaana sar se paaon tak chayee huyee
uff teri kaafir jawani josh par aayee huyee


dekh tau dil...meer

dekh tau dil ke jaan sa uthta hai
yeh dhuan sa kahan se uthta hai

yun uthe aah uss gali se hum
jaise koi jahan se uthta hai

ishq ik meer bhari patthar hai
kab yeh tujh natawan se uthta hai

ibteda-e-ishq mein...meer

ibteda-e-ishq mein rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya

qaafile mein subah ke ek shor hai
yaani ghaafil hum chale sota hai kya!

sabz hoti hi nahin yeh sar zameen
tukhm-e-khwahish dil, tu bota hai kya

yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin
daagh chaati ke abas dhota hai kya

ibn-e-mariyam hua kare koi...ghalib

ibn-e-mariyam hua kare koi
mere dukh ki dawa kare koi

chaal, jaise kadi kamaan ka teer
aise qaatil ka kya kare koi

baat par vaan zaban kat-ti hai
woh kahen aur suna kare koi

bak raha hun junoon mein kya kya kuch
kuch na samjhe khuda kare koi

Thursday, December 20, 2012

bache hi kitne hain

aaj
har jagah
insaan
zulm-o-jabar ka shikar hai
oonch-neech ka shikar hai
darja-bandi ka shikar hai
kya
ek his-saas insaan
apni aankhon ke saamne
iss barbariyat ka tamasha
dekh sakta hai?
khamosh reh sakta hai?
shayed
reh sakta hai
kyunke
his_ssaa insaan
ab
bache hi kitne haiun?

Wednesday, December 19, 2012

urdu poetry...DARD

ghar tau dono paas hain, par woh mulaqaaten kahan
aamad-o-raft aadmi ki hai, par woh baaten kahan

hum faqeeron ki taraf bhi tau nigaahen dum-b-dum
phenkte jaate thay aap aage, woh khairaaten kahan

baad marne ke mere, ho gi mere rone ki qadar
tab kaha kijiye ga logon mein woh barsaaten kahan


urdu poetry...dard

tohmat chand apne zimme dhar chale
jis liye aaye thay, so hum kar chale

zindagi hai ya koi toofan hai!
hum tau iss jeene ke haathon marr chale

kya hamein kaam inn gulon se aye saba
ek dum aaye idhar, udhar chale


urdu poetry...dard

tujh hi ko jo yaan jalwa farma na dekha
barabar hai, duniya ko dekha, na dekha

yagaana hai tu aah begaangi mein
koi doosra aur aisa na dekha

aziyat, museebat, malamat, blayen
tere ishq mei hum ne kya kya na dekha


urdu poetry...dard

raunde hai naqsh-e-paa ki tarah khalq yaan mujhe
aye umr-e-rafta! chod gayee tu kahan mujhe


urdu poetry...dard

teri gali mein main na chalun aur saba chale!
yun hi khuda jo chahe tau bande ki kya chale

kis ki yeh mauj-e-husn huyee jalwa gar ke yun
dariya mein jo hubaab thay, aankhen chupa chale

hum bhi jars ki tarah tau iss qaafile ke saath
naale jo kuch bisaat mein thay, so suna chale

ke baithiyo na dard ke ahl-e-vafa hun main
uss bevafa ke aage jo zikr-e-vafa chale

Tuesday, December 18, 2012

rdu poetry....ameer meenai

sab haseen hain zaahidon ko na-pasand
ab koi hoor aaye gi  inn ke liye

vasl ka din aur itna mukhtasar
din gine jaate thay iss din ke liye

urdu poetry...aatish

yeh arzoo thi tujhe gul ke ru-b-ru karte
hum aur bulbul-e-betaab guftugu karte

jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
aseer hone ki azaad, arzoo karte

LOOP MOBILE----NO CUSTOMER CARE. CUSTOMER ISNT IMPORTANT

I NEEDED TO UPGRADE MY iphone's SOFTWARE, I DID SO. IN THE PROCESS, MY INTERNET SETTINGS WENT HAYWIRE. I, NOT BEING A VERY TECH SAVVY PERSON, TRIED TO CALL THEIR HELPLINE # 800.
I WAS CONNECTED 10 TIMES. IN EVERY ATTEMPT I WENT THROUGH THE AUTOMATIC PROCESS OF PRESS 1 FOR THIS AND PRESS 4 FOR THAT AND ALL. AT THE END AUTOMATED VOICE INFORMED ME THAT I WILL BE CHARGED 50 PAISE PER CALL BELL RANG, AT THE OTHER END SOMEBODY PICKED UP THE PHONE AND DISCONNECTED THE LINE WITHOUT SPEAKING TO ME. THIS PROCESS I REPEATED TEN TIMES WITH SIMILAR RESULT EVERY TIME.
THIS MORNING, I DECIDED TO GO AND MEET THEIR CORPORATE COMMUNICATIONS MANAGER ( WHAT USED TO BE PUBLIC RELATIONS MANAGER IN OLDER TIMES ). I REACHED THEIR HEAD OFFICE, MY CAR WAS STOPPED AT THE GATE AND FIVE DARBAANS PREVENTED ME FROM GOING ANYWHERE. I DO UNDERSTAND THE SECURITY CONCERNS. I WAS WILLING TO GO THROUGH EVERY POSSIBLE SECURITY CHECK BUT I WAS NOT ALLOWED TO MOVE BEYOND THE GATE. I WAS VERY RUDELY TOLD THAT I WILL HAVE TO VISIT THEIR GALLERY AND NOT ALLOWED TO MEET ANYBODY IN THE OFFICE.
DO LOOP MOBILE TREATS ONE OF THEIR 14 YEARS OLD CUSTOMER IN SUCH RUDE MANNER?
DO THEY HAVE ANY RIGHT TO CALL ANY OF THEIR SERVICE AS " CUSTOMER CARE SERVICE "?
IS THIS THE STATE OF ALL SERVICE INDUSTRIES IN OUR COUNTRY, TODAY?
OR I AM LIVING IN THAT OLD AGE WHERE THE CUSTOMER USED TO BE THE KING??????

kuch iss tarah...

kuch iss tarah shareek teri anjuman mein hun
mehsoos ho rahi hai khud apni kami mujhe

badan milap ko...

badan milap ko bechainn aur roohon par
na milne waale sitaron ki hukmarani hai

urdu poetry...hafeez jalandhari

husn waale mere qaatil hain, yeh daava hai mera
husn waalonko saza ho, mujhe manzoor nahin

jis ne iss daur ke insaan kiye hain paida
wahi mera bhi khuda ho, mujhe manzoor nahin

urdu poetry...sauda

kis se byan kijiye haal dil-e-tabaah ka
samjhe wahi isse jo ho zakhmi teri nigaah ka

mujh ko teri talab hai yaa tujh ko chaah ghair ki
apni nazar mein yaan nahin taur koi nibaah ka


Monday, December 17, 2012

urdu poetry...sauda

badla tere sitam ka koi tujh se kya kare
apni hi tu fareeqta howe khuda kare


urdu poetry....sauda

ya rab kahin se garmi-e-bazaar bhej de
dil bechta hun khareedar bhej de

apni bisaat mein tau yahi dil hai meri jaan
leti nahin tau kya karun nachaar bhej de


urdu poetry...sauda

naseem hai tere kooche mein aur saba bhi hai
hamari khaak se tuk dekho tau kuch raha bhi hai

tera ghuroor mera ajz ta kuja zaalim
har ek baat ki aakhir kuch inteha bhi hai

jale hai shama se parwana aur main tujh se
kahin hai mehar bhi jag mein kahin vafa bhi hai


urdu poetry...sauda

behna kuch apni chashm ka dastoor ho gaya
di thi khuda ne aankh so nasoor ho gaya

bhatki phire hai kab se khudaya meri dua
darwaza kya qubool ka maa'moor ho gaya

khush hain shakista baali se apni hum iss liye
parwaz ka tau dil se khalish door ho gaya

aati hai tujh gali se pareshan saad-e-aah
shayed kisi ka sheesha-e-dil choor ho gaya

shab aa gaya jo bazm mein pyare tu yak-b-yak
chehre se rang shama ke kaafoor ho gaya


urdu poetry...sauda

gul phenke hai auron ki taraf balke samar bhi
aye khaana bar andaz-e-chaman kuch tau idhar bhi

kya zid hai khuda jaane mujh saath wagarna
kaafi hai tasalli ko meri ek nazar bhi

kis hasti-e-mauhoom pe nazaan hai tu aye yaar
kuch apne shab-o-roz ki hai tujh ko khabar bhi

sauda teri fariyaad se aankhon mein kati raat
aayee hai sahar hone ko tuk tu kahin marr bhi

aalam ke ...

aalam ke doston mein murawat nahin rahi
sharm-o-haya-o-mehar-o-shafqat nahin rahi

chalo apni...

chalo apni bhi jaanib ab chalen hum
yeh rasta der se soona pada hai

urdu poetry...momin

tu kahan jaye gi, kuch apna thikana kar le
hum tau kal khwab-e-adam mein shab-e-hijran hon ge

naseha! dil mein tu itna tau samajh apne, ke hum
laakh naadan huye, kya tujh se bhi nadaan hon ge

umr tau saari kati ishq-e-butaan mein momin
aakhri waqt mein kya khaak musalmaan hon ge

urdu poetry...zauq

layee hayaat aaye, qaza le chali chale
apni khushi se aaye na apni khushi chale

ho umr-e-khizr bhi tau ho maloom waqt-e-marg
hum kya rahe yahan abhi aaye abhi chale

kam hon ge iss bisaat pe hum jaise bad qumaar
jo chaal hum chale so nihayet buri chale

behtar tau hai yahi ke na duniya se dil lage
par kya karen jo kaam na be-dil-lagi chale

duniya ne kis ka raah-e-fana mein diya hai saath
tum bhi chale chalo yunhi jab tak chali chale

jaate hawa-e-shauq mein hain iss chaman se zauq
apni bala se baad-e-saba ab kabhi chale

urdu poetry...zauq

dushman-e-jaan yak-b-yak saara zamaana ho gaya
hai, taaseer-e-mohabbat yeh sitam kya ho gaya

hum ne unn se dosti ki, woh hain karte dushmani
dekho kya socha tha hum ne aur wahan kya ho gaya

khat likha mujh ko tau uss mein naam bhi poora na tha
kya kahun qismat ka likha aaj poora ho gaya


urdu poetry...zauq

waqt-e-peeri shabab ki baaten
aisi hain jaise khwab ki baaten

phir mujhe le chala udhar dekho
dil-e-khaana kharab ki baaten


urdu poetry...zauq

gar meri khaak ko hon tumhare qadam naseeb
khaya karen naseeb ki mere qasam naseeb

behtar hai laakh lutf-o-karam se tere sitam
apne zah-e-naseeb ke hon yeh sitam naseeb

hai khushnaseeb ishq mein aye  bulhawas wahi
jis ko ke gham pe gham ho alam par alam naseeb

jaate hain koo-e-yaar ko iss mein jo ho so ho
aye zauq aazmate hain aaj apne hum naseeb

Sunday, December 16, 2012

urdu poetry...zauq

aankhen meri woh talvon se mal jaye tau achcha
hai hasrat-e-paabos nikal jaye tau achcha

beemar-e-mohabbat ne liya tere sanbhala
lekin woh sanbhale se sanbhal jaye tau achcha

furqat mein teri taar-e-nafas seene mein mere
kaanta sa khatakta hai nikal jaye tau achcha


urdu poetry...zauq

naam manzoor hai tau faiz ke asbaab bana
pul bana, chaah bana, masjid-o-talaab bana

tu agar aap ko dekhe tau meri aankh se dekh
apna aaina mera deeda-e-pur aab bana

jab kiya ishq ke dariya ne talatum aye zauq
tau kahin mauj bani aur kahin gardaab bana

urdu poetry ....zauq

darya-e-ashk chashm se jis aan beh gaya
sun lijiyo ke arsh ka aivaan beh gaya

zaahid sharab peene se kaafir hua main kyun
kya dedh chullu paani mein imaan beh gaya

kishti sawar umr hain bahar-efana mein zauq
jis dum baha ke le gaya toofan beh gaya

urdu poetry........zauq

ab tau ghabra ke yeh kehte hain ke marr jayen ge
marr ke bhi chain na paaya tau kidhar jayen ge

hum nahin woh jo karen khoon ka daava tujh par
balke pooche ga khuda bhi tau mukar jayen ge

zauq jo madrase ke bigde huye hain mulla
unn ko maikhaane mein le aao sanwar jayen ge

Thursday, December 13, 2012

urdu poetry...bahadur shah zafar

kabhi ban-sanvar ke jo aa gaye tau bahar-e-husn dikha gaye
mere dil ko daagh laga gaye, yeh naya shagoofa khila gaye

mere paas aate thay dum-b-dum woh juda na hote thay ekdum
yeh dikhaya charkh ne kya sitam ke mujh hi se aankhen chura gaye

jo milate thay mere munh se munh, kabhi lab se lab, kabhi dil se dil
jo ghuroor tha woh  unhein yeh tha woh sab hi ghurooron ko dha gaye


urdu poetry...saleem betaab

main ne yun hi raakh mein pheri thin ungliyan
dekha jo ghaur se, teri tasveer ban gayee

har simt hain kati padi phoolon ki shaakhen
ab ke saba hi baagh mein shamsheer ban gayee

kaun hota hai..........

kaun hota hai shareek-e-gham-e-hasti aye dost
daal bhi sookhe huye paat gira deti hai

urdu poetry...bahadur shah zafar

na tu apna raha na begana raha
jo raha so kisi ka afsana raha

mera seena-o-dil mera jaan-o-jigar
tere teer-e-nigah ka nishana raha


urdu poetry....bahadur shah zafar

pase-e-marg mere mazaar par jo diya kisi ne jala diya
usse aah daaman-e-baad ne sar-e-shaam hi se bujha diya

mujhe dafn kar chuko jis ghadi, tau yeh uss se kahiyo aye pari
woh jo tera aashiq-e-zaar tha, tah-e-khaak uss ko daba diya

meri aankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha ke uth ke chal
dil-e-beqaraar ne o miyan! wahin chutki le ke jaga diya

pas-e-marg qabar pe aye zafar koi fateha bhi padhe kahan
woh jo tooti qabar ka nishan tha usse thokaron se uda diya

Wednesday, December 12, 2012

urdu poetry...bahadur shah zafar

hum ne duniya mein aa ke kya dekha
dekha jo kuch so khwab sa dekha

hai tau insaan khaak ka putla
ek paani ka bulbula dekha

na huye teri khaak-e-paa hum ne
khaak mein aap ko mila dekha

ab na dijiye zafar kisi ko dil
ke jise dekha be-vafa dekha

urdu poetry...bahadur shah zafar

jalaaya aap hum ne zabt kar ke aah-o-sozaan ko
jigar ko, seene ko, pehlu ko, dil ko, jism ko, jaan ko

lada kar aankh uss se hum ne dushman kar liya apna
nigaah ko, naaz ko, andaz ko, abroo ko, misiogaan ko

na ho jab tu hi aye saaqi bhala phir kya kare koi
hawa ko, abr ko, gul ko, chaman ko, sahan-e-bastaan ko

banaya aye zafar khaaliq ne kab insaan se behtar
mulk ko, dev ko, jinn ko, pari ko, hoor-o-ghulmaan ko

urdu poetry....bahadur shah zafar

aye zafar jo shabab ke din thay
bas wahi khoord-o-khwab ke din thay

tha na kuch dil mein khauf-e-roz-e-hisaab
gunaah-e-be-hisaab ke din thay

na yeh raaten thin aah-o-zaari ki
aur na yeh ranj-o-taab ke din thay

rahe peeri mein iss liye jeete
dekhne kuch azaab ke din thay

urdu poetry...bahadur shah zafar

yaar tha, gulzar tha, mai thi, main na tha
laayeq paabos-e-jaanan kya hina thi, main na tha

bekhudi mein le liya bosa, khata kijiye maaf
yeh dil-e-betaab ki saari khata thi, main na tha

main ne poocha kya hua woh aap ka husn-o-shabab
hans ke bola woh sanam, shaan-e-khuda thi, main na tha

zindagi humsaye se...

zindagi humsaye se maanga hua zevar tau nahin
ek dhadka sa laga rehta hai kho jaane ka

urdu poetry...saghar nizami

lao ik sijda karun, aalam-e-badmasti mein
log kehte hain ke saghar ko khuda yaad nahin

jis dhaj se....faiz ahmed faiz

jis dhaj se koi maqtal mein gaya, woh shaan salamat rehti hai
yeh jaan tau aani-jaani hai, iss jaan ki koi baat nahin

gar baazi ishq ki baazi hai, jo chaaho laga do darr kaisa
gar jeet gaye tau kya kehna, haare bhi tau baazi maat nahin

haan main tau....

haan main tau liye phirta hun, ik sijada-e-betaab
unn se bhi tau poocho, woh khuda hain ke nahin

khaana-e-dil mein...

khaana-e-dil mein kisi parda nasheen ki arzoo
arzoo kya hai, dulhan baithi hai sharmayee huyee

Tuesday, December 11, 2012

urdu poetry...asghar

bas, yahi baat ke logon ko na chaaho dil se
tajrube iss ke siwa umr ko  kya dete hain

urdu poetry...basheer badar

har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain
umrein beet jaati hain dil ko dil banaane mein

urdu poetry...basheer badar

main din hun, meri jabeen pe dukhon ka suraj hai
diye tau raat ki palkon pe jhilmilate hain

urdu poetry...basheer badar

mujh ko unn sachchi baaton se, apne jhoot bohot pyare hain
jin sachchi baaton se aksar, insaanon ka khoon baha hai

achchon ko tau.....

achchon ko tau sab hi chahte hain
hai koi? ke main  bohot bura hun


urdu poetry...azeem murtaza

tu jo farmaye tau insaan ko sijda laazim
apni marzi se jhuke koi tau kaafir ho jaye

urdu poetry...azeem murtaza

fiza tau naghma-e-gul se bhi chaunk uthti hai
teri shagufta-labi phir teri shagufta-labi hai

just like that a song from sahir ludhianvi

sansar se bhaage phirte ho,  bhagwan ko tum kya pao ge
iss lok ko bhi apna na sake uss lok mein bhi pachtao ge

yeh paap hai kya, yeh punya hai kya, reeton pe dharm ki mohren hain
har yug mein badalte dharmon ko kaise adarsh banao ge


Monday, December 10, 2012

urdu poetry........qaasir

ab ik teer bhi ho liya saath warna
parinda chala tha safar par, akele

iraada tha jee lun ga tujh se bichad kar
guzarta nahin ek december akele

woh kaun sa...

woh kaun sa aqda hai jo waa ho nahin sakta
himmat kare insaan tau kya ho nahin sakta

har shakhs...

har shakhs adam se tan-e-uryaan le kar
shahar-e-hasti mein khareedar-e-kafan aata hai

urdu poetry...sheri bhopali

dil ko pighlata hua, aankhon ko garmaata hua
phir khyal-e-yaar aaya aag barsaata hua

urdu poetry...riyaz

paoon tau inn haseenon ka munh choom lun riyaz
aaj inki gaaliyon ne bada hi mazaa diya

yeh chaman...

yeh chaman yun hi rahe ga aur hazaron jaanwar
apni apni boliyan sab bol kar udd jayen ge

main bewaqoof hun

kabhi kabhi lagta hai ke aakhir hum jeevan se joojh kyun rahe hai?
aksar hum apni zindagi ke matlab dhoondne ki koshisgon mein jut jaate hain.
kabhi apne dharm, mazhab ko kuch iss tarah odh lete hain jaise isse utaarte hi paap ke daldal mein dhans jaayen ge.
woh dharm, woh mazhab jise hum ne jaanch-parakh kar nahin chuna hota balke uss dharm waale parivar mein paida huye hote hain.
hamare maan-baap jo jo batate jaate hain hamare bade hone ke dauraan hum usse hi sach maan lete hain.
kuch meri tarah hote hain, jo maan-baap ke bataye huye raaste par andha-dhund na chal kar, khud hi jeevan ka arth samjhne ki koshishen karne lagte hain

main apni kalpnaon ke sahare zindagi ka matlab dhoond raha hun. apne hi banaye huye niyamon ki chaukhat par apni chabi ubhaarne mein juta hua hun. samman kya hai, apmaaan kya hai, iski seemayen baandhne mein lagataar juta hua hun.

mera vishwas hai ke har vyakti ke apne niyam hone bhahinyen aur har vyakti ko apne niyamon ka poori yarah paalan karna chahiye.

mera man-na hai ke aap jitna jis roop mein auron ko den ge uska kai guna ussi roop mein vaapas mile ga.

mujhe sab bewaqoof kehte hain aur main shayed bewaqoof hi hun.

lekin mujhe apne bewaqoof hone par garv hai.

Sunday, December 9, 2012

urdu poetry...muneer niyazi

ashk-eravaan ki nahar hai aur hum hain dosto
uss bevafaa ka shahar hai aur hum hain dosto

yeh ajnabi si manzilen aur raftagaan ki yaad
tanhaiyon ka zahar hai aur hum hain dosto

shaam-e-alam dhali tau chali dard ki hawa
raaton ka pichla pahar hai aur hum hain dosto

urdu poetry...faani badayuni

tu kahan hai ke teri raah mein yeh kaaba-o-dairr
naqsh ban jaate hain, manzil nahin hone paate

koi chutki si kaleje mein liye jaata hai
hum teri yaad se ghaafil nahin hone paate


urdu poetry...azeez lukhnavi

dekh kar har dar-o-deewar ko hairan hona
woh mera pehle-pehal daakhil-e-zindaan hona

haadse dono yeh, aalam mein aham guzre hain
mera marna, teri zulfon ka pareshan hona

josh mein le ke ik angdaai, kisi ka kehna
tum ko aata hi nahin, chaak-garebaan hona

urdu poetry........

zindagi se nipat raha hun abhi
maut kya hai? meri bala jaane

maatam-e-ahl-e-zarf ke din hain
ahtraaman hain band maikhaane

urdu poetry...shaad arfi

tumhein raahbar samajhna pada
hamari bekasi ki inteha hai

jab chali apnon ki gardan par chali
choom lun munh aapki talwar ka

mirza ghalib

dekhiye paate hain ushhaq buton se kya faiz
ek brahaman ne kaha hai yeh saal achcha hai

mirza ghalib

teri vafa se kya ho talafi ke dahar mein
tere siwa bhi hum pe bohot se sitam huye

likhte rahe junoon ki hikayet-e-khoon-chakaan
har chand iss mein haath hamare qalam huye

mirza ghalib...zindagi apni...

zindagi apni jab iss shakl se guzri ghalib
hum bhi kya yaad karen ge ke khuda rakhte thay

Thursday, December 6, 2012

mirza ghalib

hum garche bane salaam karne waale
karte hain darang kaam karne waale
kehte hain kahen khuda se' allah allah
woh aap hain subah-o-shaam karne waale

mirza ghalib

dukh jee ke pasand ho gaya hai ghalib
dil ruk kar band ho gaya hai ghalib
vallah ke shab ko neend aati hi nahin
sona saugand ho gaya hai  ghalib

mirza ghalib

ghair lein mehfil mein bose jaam ke
hun rahen tishna lab paighaam ke

khat likhen ge garche matlab kuch na ho
hum tau aashiq hain tumhare naam ke

ishq ne ghalib nikamma kar diya
warna hum bhi aadmi thay kaam ke

MIRZA GHALIB

HUSN GHAMZE KI KASHAKASH SE CHUTA MERE BAAD
BAARE AARAM SE HAIN AHL-E-JAFA MERE BAAD

SHAMA BUJHTI HAI TAU USS MEIN SE DHUAN UTHTA HAI
SHOLA-E-ISHQ SIYAH POSH HUA MERE BAAD

GHAM SE MARTA HUN KE ITNA NAHIN DUNIYA MEIN KOI
KE KARE TAAZIYAT-E-MEHR-O-VAFA MERE BAAD

AAYE HAI BE-KASI-E-ISHQ PE RONA GHALIB
KIS KE GHAR JAAYE GA SAILAAB-E-BALA MERE BAAD

MIRZA GHALIB

JAUR SE BAAZ AAYE PAR BAAZ AAYEN KYA
KEHTE HAIN HUM TUJH KO MUNH DIKHLAYEN KYA

RAAT DIN GARDISH MEIN HAIN SAAT AASMAN
HO RAHE GA KUCH NA KUCH GHABRAYEN KYA

LAAG HO TAU USS KO HUM SAMJHEN LAGAAO
JAB NA HO KUCH BHI TAU DHOKA KHAYEN KYA

MAUJ-E-KHOON SAR SE GUZAR HI KYUN NA JAAYE
AASTAN-E-YAAR SE UTH JAAYEN KYA

UMR BHAR DEKHA KIYE MARNE KI RAAH
MARR GAYE PAR DEKHIYE DIKHLAYEN KYA

POOCHTE HAIN WOH KE GHALIB KAUN HAI
KOI BATLAO KE HUM BATLAYEN KYA

MIRZA GHALIB

RAG-E-SANG SE TAPAKTA WOH LAHU KE PHIR NA THAMTA
JISE GHAM SAMAJH RAHE HO YEH AGAR SHARAR HOTA

GHAM AGARCHE JAAN GUSAL HAI PE KAHAN BACHEN KE DIL HAI
GHAM-E-ISHQ GAR NA HOTA GHAM-E-ROZGAAR HOTA



KAHUN KIS SE MAIN KE KYA HAI SHAB-E-GHAM BURI BALA HAI
MUJHE KYA BURA THA MARNA AGAR EK BAAR HOTA

USSE KAUN DEKH SAKTA KE YAGAANA HAI WOH YAKTA
JO DOOI KI BOO BHI HOTI TAU KAHIN DO-CHAAR HOTA

YEH MASAAYEL-E- TASSAVUF YEH TERA BYAAN GHALIB
TUJHE HUM VALI SAMJHTE JO NA BAADA-KHWAAR HOTA

MIRZA GHALIB

BAS KE DUSHWAR HAI HAR KAAM KA AASAN HONA
AADMI KO NHI MAYASSAR NAHIN INSAAN HONA

GIRYA CHAHE HAI KHARABI MERE KAASANE KI
DAR-O-DEEWAR SE TAPKE HAI BIYABAAN HONA

VAAYE DEEWANGI-E-SHAUQ KE HAR DUM MUJH KO
AAP JAANA UDHAR AUR AAP HI HAIRAAN HONA

HAIF USS CHAAR GIRAH KAPDE KI QISMAT GHALIB
JIS KI QISMAT MEIN HO AASHIQ KA GARBAAN HONA

MIRZA GHALIB

BAZM-E-SHAHANSHAH MEI ASH'AAR KA DAFTAR KHULA
RAKHIYO YAARAB YEH DAR-E-GANJEENA-E-GAUHAR KHULA

GARCHE HUN DEEWANA PAR KYUN DOST KA KHAOON FAREB
AASTEEN MEIN DUSHNA PINHAN HAATH MEIN NASHTAR KHULA

GO NA SAMJHOON USS KI BAATEIN GO NA PAOON USS KA BHED
PAR YEH KYA KAM HAI KE MUJH SE WOH PARI PAIKAR KHULA

DAR PE REHNE KO KAHA AUR KEH KE KAISA PHIR GAYA
JITNE ARSE MEIN MERA LIPTA HUA BISTAR KHULA


MIRZA GHALIB

DHAMKI MEIN MARR GAYA JO NA BAAB-E-NABARD THA
ISHQ-E-NABARD PESHA-E- TALABGAAR MARD THA

THA ZINDAGI MEIN MARG KA KHATKA LAGA HUA
UDNE SE PESHTAR BHI MERA RANG ZARD THA

TAALEEF-E-NUSKHA HAYE VAFA KAR RAHA THA MAIN
MAJMUA-E-KHYAL ABHI FARD FARD THA

MIRZA GHALIB

SHAUQ HAR RANG MEIN RAQEEB-E-SAR-O-SAMAAN NIKLA
QAIS' TASVEER KE PARDE MEIN BHI URYAAN NIKLA

ZAKHM NE DAAD NA DI TANGAI-E-DIL KI YAA RAB
TEER BHI SEENA-E-BISMILSE PUR-AFSHAN NIKLA

BOO-E-GUL, NAALA-E-DOOD-E-CHIRAGH-E-MEHFIL
JO TERI BAZM SE NIKLA SO PARESHAN NIKLA

THI NAV-AAMOZ-E-FANA HIMMAT-E-DUSHWAR PASAND
SAKHT MUSHKIL HAI KE YEH KAAM BHI AASAN NIKLA

Wednesday, December 5, 2012

uss jan-e-tamanna......

uss jaan-e-tamanna ke badan ko choo kar
haathon ki lakeeren hi badal jaati hain

urdu poetry....majeed amjad

khyal-e-yaar, tere silsile nashon ki rutein
jamal-e-yaar, teri jhalkiyan, gulab ke phool

sulagte jaate hain, chup-chaap hanste jaate hain
misaal-e-chehra-e-paighmbaran, gulab ke phool

yeh kya tilsm hai, yeh kis ki yaasmeen baatein
chidak gayee hain jahan dar jahan, gulab ke phool

urdu poetry...adeeb saharanpuri

apne apne hausle, apni talab ki baat hai
chun liya hum ne tumhein, saara jahan rehne diya

urdu poetry...jagan nath aazad

kehte hain ke aata hai museebat mein khuda yaad
hum par tau woh guzri ke khuda bhi na raha yaad

urdu poetry...qateel shifai

kisi ne kar diya mana izhaar-e-anaa se bhi
yeh ghairatmand insaanon ke marr jaane ka mausam hai

muqeed kar diya saanpon ko yeh keh ke saperon ne
yeh insaanon ko insaanon se daswaane ka mausam hai

Tuesday, December 4, 2012

urdu poetry...nasir kaazmi

phir saavan rut ki pavan chali tum yaad aaye
phir patton ki paazeb baji tum yaad aaye

phir koonjen boleen ghaas ke hare samundar mein
rut aayee pehle phoolon ki tum yaad aaye

phir kaaga bola ghar ke soone aangan mein
phir amrit ras ki boond padi tum yaad aaye

urdu poetry,,,,nasir kaazmi

niyyat-e-shauq bhar na jaye kahin
tu bhi dil se utar na jaye kahin

aaj dekha hai tujh ko der ke baad
aaj ka din guzar na jaye kahin


urdu poetry...........

bichda, tau dosti ke asaase bhi bat gaye
shohrat woh le gaya, mujhe rusawai de gaya

urdu poetry...kaleem aajiz

din ek sitam, ek sitam raat karo ho
woh dost ho, dushman ko bhi maat karo ho

urdu poetry...kaleem aajiz

rakhna hai kahin paaon tau rakho ho kahin aur
chalna zara aata hai tau itraye chalo ho

urdu poetry...kaleem aajiz

ab insaanon ki basti ka yeh aalam hai ke mat poocho
lage hai aag ek ghar mein tau humsaaya hawa de hai

bahadur shah zafar

koi kyun kisi ka lubhaye di, koi kya kisi se lagaye dil
woh jo bechte thay dawa-e-dil, woh dukaan apni badha gaye

urdu poetry ...mohsin bhopali

jaahi ko agar jahal ka inaam diya jaaye
uss haadsa-e-waqt ko kya naam diya jaaye

maikhaane ki tauheen hai, rindon ki hatak hai
kam-zarf ke haathon mein agar jaam diya jaaye

Monday, December 3, 2012

urdu poetrymm moeen ahsan jazbi

jab kishti saabit-o-saalim thi, saahi ki tamanna kis ko thi
ab aisi shakista kishti par saahil ki tamanna kaun kare

jo aag lagayee thi tum ne, uss ko tau bujhaya ashkon ne
jo ashkon ne bhadkaayee hai uss aag ko thanda kaun kare

urdu poetry...qaabil ajmeri

uss ki mehfil mein baith kar dekho
zindagi kitni khoobsurat hai

urdu poetry...aalamtaab tishna

lahu mein jaise jugnu pakad ke chod gaya
kuch aisa khul ke mila, jagmaga gaya mujh ko

urdu poetry...aalamtaab tishna

tumhara qurb bhi doori ka isteaara hai
ke jaise chaand ka taalab mein utar jaana

yeh ek ishaara hai aafat-e-nagahaani ka
kisi jagah se parindon ka kooch kar jaana

urdu poetry... maajid albaaqri

toot hi jaayen na chchann se, narm sheeshe ke badan
raunaq-e-bazaar saari haath ke patthar mein hai

urdu poetry... maajid albaaqqri

kitna sach hai ek qabristaan mein chidiyon ka shor
murda tahreeron se behtar hain yeh zinda haashiye

urdu poetry...maajid albaaqri

dhoop ki nagri mein woh mash-hoor hain imaandar
barf ke baaton se jo dete hain sauda taul kar

urdu poetry...aslam kolsari

ek baasi naan ke tukde pe aakhir bik gayee
saanvli maalan ke taaza phool bikte hi na thay

urdu poetry...anwaar anjum

teri baatein, yeh tera harf-e-tasalli jaise
saamne rakh de khilaune koi bachchon ke liye

urdu poetry....adeem haashmi

ubhri sakhi ki shakl, bhikari ki aankh mein
panchi ka aks jaise shikari ki aankh mein


urdu poetry...adeem haashmi

aaj uss ne dard bhi apne alehda kar liye
aaj main roya tau mere saath, woh roya na tha

urdu poetry....adeem haashmi

mafaahamat na sikha, jabr-e-naarawa se mujhe
main sar-b-kaf hun, lada de kisi bala se mujhe

main sar-b-sijda hun, aye samar! mujh ko qatl bhi kar
rihaayee de bhi ab, iss ahd-e-karbala se mujhe

urdu poetry...mohsin ahsan

makhlooq-e-khuda barhana tann hai
libaas pehan ke sharm aayee 

urdu poetry...mohsin ahsan

saanvle rang ki ik mohini soorat mohsin
das gayee apne takallum ki ada se mujh ko

Sunday, December 2, 2012

urdu poetry...tanveer sapra

aaj bhi sapra uss ki khushboo mill-maalik le jaata hai
main lohe ki naaf se paida jo kasturi karta hun

urdu poetry....tanveer sapra

mere ander ke insaan ne mere munh par thooka hai
darveshon ko chhor ke jab bhi baitha hun sultaanon mein

urdu poetry...peerzada qasim

yeh sochte hain kab talak zameer ko bachayen ge
agar yunhi jeete kiye zarooraton ke daemiyan

urdu poetry...peerzada qasim

khoon se jab jala diya ek diya bujha hua
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua

dard ki kaayenaat mein mujh se bhi raushni rahi
waise meri bisaat kya?ek diya bujha hua


urdu poetry...peerzada qasim

main samjha tha meri ghutan mitaane aaya tha
woh jhonka tau diya, bujhane aaya tha

chashm-e-ezoon mein saari basti doob gayee
dariya kis ki pyas bujhane aaya tha

urdu poetry...aatish

yeh arzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
hum aur bulbul-e-betaab guftugu karte

pyam bar na mayyassar hua tau khoob hua
zaban-e-ghair se kya sharah-e-arzoo karte

jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
aseer hone ki azad, arzoo karte

urdu poetry...aatish

zameen-e-chaman, gul khilati hai kya kya
badalta hai rang aasman, kaise kaise

urdu poetry...aatish

aaye bhi log, baithe bhi, uth bhi khade huye
main jaa hi dhoondta, teri mehfil mein reh gaya

urdu poetry...........

mat ched ke yaar se juda hun
aye marg main aap marr raha hun

urdu poetry...shaifta

dekha na ho ga khwab mein bhi yeh firogh-e-husn
parde ko, uss ke jalwe ne chilman bana diya

tum log bhi ghazab ho ke dil par yeh ikhtiyar
shab mom kar liya, sahar aahan bana diya

izhaar-e-ishq uss se na karna tha shaifta
yeh kya kiya ke dost ko dushman bana diya

urdu poetry...vazeer

isi baayes tau qatl-e-aashiqaan se mana karte thay
akele phir rahe ho yusuf-e-be-kaarvan ho kar

urdu poetry...vazeer

kisi ko dekh ke saaqi jo be-havaas hua
sharab seekh pe rakh di, kabab sheeshe mein

urdu poetry.....vazeer

tirchi nazron se na dekho aashiq-e-dilgeer ko
kaise teer-andaz ho, seedha tau kar lo teer ko

talash.......anon

bohot talash kiya
tum ko
har jagah jaa kar
tum se milne ki ummeed
aankh mein paa kar
umad ke aa gaye
aankhon mein
dil ko thukra kar
naa paaya tum ko
yaan bhi
tau
gham se ghabra kar
tapak kar
palkon se
ashkon ne
khudkushi kar li

Friday, November 30, 2012

aalam na poochiye.......shakeel badayuni

aalam na poochiye jo hamara hai aajkal
kishti bhanwar mein, door kinaara hai aajkal

tere hi gham ka dil ko sahara hai  aajkal
be-kaif zindagi bhi gawara hai aajkal


saare jahan se achcha...iqbal

saare jahan se achcha hindustan hamara
hum bulbulen hain iss ki yeh gulistan hamara

parbat woh sab se ooncha, humsaaya aasman ka
woh santari hamara, woh paasban hamara

vaadi mein khelti hain iss ki hazaron nadiyan
gulshan hai jis ke dum se rashk-e-jinaan hamara

aye aab-e-rood-ganga, woh din hain yaad tujh ko?
utra tere kinaare jab kaarvan hamar

mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna
hindi hain hum, vatan hai hindustan hamara

kuch baat hai ke hasti mit-ti nahin hamari
sadiyon raha hai dushman daur-e-zamaan hamara

Thursday, November 29, 2012

a ghazal by iqbal

kabhi aye haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libaas-e-majaaz mein
ke hazaaron sijde tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein

tu bacha-bacha ke na rakh isse, tera aaina hai woh aaina
ke hakista ho tau azeez-tar hai nigaah-e-aaina saaz mein

na kahin jahan mein amaan mili, jo amaan mili tau kahan mili
mere jurm-e-khaana kharaab ko tere afv-e-banda nawaz mein

na woh ishq mei rahin garmiyan, na woh husn mein rahin shokhiyan
na woh ghaznavi mein tadap rahi, na woh khum hai zulf-e-ayaz mein

jo main sar-ba-sijda hua kabhi tau zameen se aane lagi sada
tera dil tau hai sanam-aashna, tujhe kya mile ga namaaz mein

humdardi ( bachchon ke liye ) iqbal

tehni pe kisi shajar ki tanha
bulbul tha koi udaas baitha

kehta tha ke raat sar pe aayee
udne-chugne mein din guzra

pahunchun kis tarah aashiyan tak
har cheez pe chaa gaya andhera

sun kar bulbul ki aah-vizaari
jugnu koi paas hi se bola

haazir hun madad ko jaan-o-dil se
keeda hun agarchey main zara sa

kya gham hai jo raat hai andheri
main raah mein raushni karun ga

allah ne di hai mujh ko mashaal
chamka ke mujhe diya banaya

hain log wahi jahan mein achche
aate hain jo kaam doosron ke

Wednesday, November 28, 2012

urdu poetry.........

kisi ko apne amal ka hisaab kya dete
sawaal saare ghalat thay, jawaab kya dete

urdu poetry....razi akhtar shauq

kitna phaile ga yeh ek vasl ka lamha aakhir
kya sameto ge ke ek umr ki tanhai hai

ek patthar idhar aaya tau iss soch mein hun
meri iss shahar mein kis-kis se shanasai hai

urdu poetry....hafeez hoshiyarpuri

dilon ki uljhanein badhti rahen gi
agar kuch mashware baahum na hon ge

agar tu ittefaqan mil bhi jaaye
teri furqat ke sadme kam na hon ge

urdu poetry...sibt ali saba

main ne tau apne jism pe zakhmon ke aaine
har haadse ki yaad samajh kar saja liye

logon ki chaadaron pe banati rahi woh phool
pevand uss ne apni qaba par saja liye

deewar kya giri mere khasta makaan ki
logon ne mere sahan mein raste bana liye

urdu poetry....ajmal niyaazi

ahd-e-ghaflat mein mujhe misl-e-sahar bheja gaya
der tak soye huye logon ke ghar bheja gaya

ab gale se lag ke rone ji rivaayet bhi gayee
shahar-e-girya mein mujhe be-chashm-e-tar bheja gaya

urdu poetry...riyaaz majeed

jurm karta hai koi aur sharm aati hai mujhe
yeh sazaa kaisi hai, main kis arsa-e-mehshar mein hun

mera dukh yeh hai main apne saathiyon jaisa nahin
main bahadur hun magar haare huye lashkar mein hun

urdu poetry....asghar saudai

hai rahzani bhi apni jagah  maa'rke ki cheez
jo iss mein kaamyab hua, raah-numa hua

toofan ki iss ada mein bhi kitna khuloos hai
saahil tak aa gaya hai mujhe dhoondta hua

Tuesday, November 27, 2012

urdu poetry......saifuddin saif

aap aa jayen tau rim jhim ki sada naach uthe
warna yeh raat yeh barsaat nai baat nahin

saif, andaz-e-byaan rang badal deta hai
warna duniya mein koi baat nai baat nahin

urdu poetry.....saifuddin saif

fiza-e-kunj-e-chaman mein hamein talash na kar
musaafiron ke thikaane badalte rehte hain

kabhi jigar pe kabhi dil pe chot padti hai
teri nazar ke nishaane badalte rehte hain

urdu poetry,,,,,,,,,,,,,,,,

hamare dast-o-baazu kaat daale dastgeeron ne
teri duniya mein rab-e-do jahan aisa bhi hota hai

pareshan phool, afsurda shagufe, muntashir kaliyan
bahar aaye tau rang-e-gulistan aisa bhi hota hai

urdu poetry,,,,,aasi karnali

kab se hai tehzeeb safar mein, iss uljhan ka hal kya hai
jungle mein tau shahar nahin hai, shahar mein kaisa jungle hai

urdu poetry........khalid iqbal yaasir

hairaan hun ke mujh se hi maidaan jeet kar
uss ko meri shikst ka darr chodta nahin

urdu poetry,,,,,,,khalid iqbal yaasir

woh taazgi tere paaon ki narm chaap mein thi
nikharte jaate the marr-marr ki seedhiyon ke rang

urdu poetry...saabir zafar

hamara uss ka, ab rishta na poocho
taalluq hai magar toota hua hai

urdu poetry...ahmed faraz

zindagi se yahi gila hai mujhe
tu badi der se mila hai mujhe

humsafar chahiye, hujoom nahin
ek musafir bhi qaafila hai mujhe

rdu poetry.........saba akbarabadi

saari duniya se dosti kar le
jis ko rehna ho umr bhar tanha

urdu poetry....saba akbarabadi

bheed tanhaiyon ka mela hai
aadmi aadmi akela hai

urdu poetry.....

pehle tau meri yaad se aayee hayaa unhein
phir aaine mein choom liya apne-aap ko

urdu poetry...bekhud dehalvi

zamaane se adavat ka sabab thi dosti jin ki
ab unn ko dushmani hai hum se, duniya iss ko kehte hain

urdu poetry...bekhud dehalvi

jaadu hai ya tilsm tumhari zaban mein
tum jhoot keh rahe thay, mujhe aitbaar tha

urdu poetry... ahmed nadeem qasmi

jab tera hukm mila, tark mohabbat kar di
dil magar uss pe woh  dhadka, ke qayamat kar di

tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta
lafz soojha tau maafi ne baghavat kar di

urdu poetry...sayyed arif

tu qad-o-qaamat se shakhsiyat  ka andaza na kar
jitne oonche ped thay, utna ghanaa saaya na tha

Monday, November 26, 2012

urdu poetry...mehshar badaayuni

yeh khel kab talak aakhir zameen par ho ga
kisi ka ghar nahin ho ga, kisi ka ghar ho ga

urdu poetry,,, aazar

pyar bhi karna, zamane se bhi ghabrana bohot
aainon ka ghar banana aur patthar sochna

kya guzarti hai bhari duniya mein tanha shakhs par
ek lamhe ke liye khud se bichad kar sochna

urdu poetry,,,,,,,,,

qurbaton mein dooriyan kaisi qayamat khaiz hain
jin mein choolhe bat gaye, inn aanganon se poochna

naa-rasai maut se badh kar aziyat-naak hai
hasrat-e-parwaz aazar be-paron se poochna

urdu poetry...parveen shakir

sab se nazar bacha ke woh, mujh ko kuch aise dekhta
ek dafaa tau ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhi
meri talab tha ek shakhs, woh jo nahin mila tau phir
haath dua se yun gira, bhool gaya sawaal bhi

urdu poetry,,,parveen shakir

kooba kooba phail gayee baat shanasai ki
uss ne khushbu ki tarah meri pazeerai ki
woh kahin bhi gaya, lauta tau mere paas aaya
bas yahi baat achchi hai mere harjai ki

urdu poetry...khalid iqbal yaasar

nazar nazar mein dilon ko tatolti aankhen
bala ka husn purani kahaniyon waala
mitaye aa ke woh yaasar udaasiyan meri
woh mujh mein rang bhare phir se shokhiyon waala

urdu poetry,,,anas mueen

woh jo pyasa lagta tha, sailaab zada tha
paani paani kehte kehte doob gaya hai

rdu poetry...aanas mueen

kab baar-e-tabassum mere honton se uthe ga
yeh bojh bhi lagta hai uthaye ga koi aur

iss baar hun  dushmanon ki rasai se bohot door
iss baar magar  zakhm lagaye ga koi aur

rdu poetry,,,azhar durrani

shareek-e-jurm na hote tau mukhbari karte
hamein khabar hai luteron ke har thikaane ki

urdu poetry,,,shahid vaasti

isi liye tau yeh duniya meri mukhalif hai
ke qaatilon ko maseeha nahin likha main ne

rdu poetry,,,shahid vaasti

udaa hun door talak goliyon ki baarish main
lahu ki jheel se nikla hua parinda hun

urdu poetry,,,,baaqi ahmedpuri

jise hum qaid karna chahte hain
wahi ek lamha lamhon mein nahin hai

urdu poetry...ghulam mohammed qaasir

gham ki tashreeh bohot mushkil thi
apni tasveer dikha di hum ne

urdu poetry...iqbal sajid

kal raat mere saath sitaare bhi ro pade
dekhi gayee na unn se tabahi ummeed ki

urdu poetry...iqbal sajid

fitrat ne jo likhe hain woh kutbe padha karo
menhgi hain gar kitaabein tau chehre padha karo

urdu poetry...iqbal sajid

rukh-e-raushan ka, raushan ek pehlu bhi nahin nikla
jise main chaand samjha tha woh jugnu bhi nahin nikla

urdu poetry....iqbal sajid

meri woh misaal hai ke jaise koi darakht
duniy ko chhaon bakhsh ke khud dhoop mein jale

urdu poetry...zafar iqbal

yahan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzoo na mila
kisi ko hum na mile aur hum ko yu na mila

urdu poetry....saif zulfi

yaaro! woh baankpan se taraasha hua badan
fankaar ka khyal tha, patthar mein kuch na tha

Sunday, November 25, 2012

urdu poetry...hasrat mohani

raah mein miliye kabhi mujh se tau az-raah-e-sitam
hont apna kaat kar fauran juda ho jaaiye

mujh se tanhai mein gar miliye tau dijiye gaaliyan
aur bazm-e-ghair mein jaan-e-hayaa ho jaaiye


urdu poetry...athar nafees

yeh dhoop tau har rukh se pareshan kare gi
kyun dhoond rahe ho kisi deewar ka saaya

urdu poetry...athar nafees

khud apne baatin se ubharta hai woh mausam
jo rang bicha deta hai, titli ke paron par

ubhra na tera husn-e-khad-o-khaal abhi tak
yasveer teri qarz hai, tasveer garon par

urdu poetry...hasan abbas raza

kuch baras pehle kaha tha ek nujoomi ne mujhe
tere haathon ki lakeerein mohtaram ho jaayen gi

urdu poetry...basheer jaami

phate libaas mein pevand taankti rehna
har ek zehan mein cheelon ki aankh raushan hai

urdu poetry...basheer jaami

bhigo saki na koi raushni ki boond hamein
hamara kaam tha suraj nichodte rehna

Friday, November 23, 2012

urdu poetry...gulzar bukhari

saaye hijrat kar jaate hain
dhoop se aangan bhar jaate hain

Thursday, November 22, 2012

urdu poetry...lateef sahil

khila deta hun main bachchon ka hissa bhi ussi ko
mere ghar mein, kiraye ka makaan thehra hua hai

main tere shahar ke taaron se aa kar pooch lun ga
batao, chaand ka tukda kahan thehra hua hai

urdu poetry...lateef sahil

koi hota hai, har ek aashna achcha nahin hota
zaroorat se zyada raabta achcha nahin hota

mila na koi...

mila na koi qada=daan dil ka iss zamaane mein
yeh sheesha toot gaya dekhne-dikhaane mein

urdu poetry...anwer jamal

nahin ke mausam-egul ke gulaab maangta hun
main khusbuon ka chaman se hisaab maangta hun

urdu poetry...jaleel aali

uss din aisi surkhi thi akhbaaron par
goonge ho gaye shahar ke saare hawker bhi

urdu poetry...jaleel aali

kis qadar sahal hai qurbat ki tamanna karna
kitna mushkil hai, magar chahne waala hona

urdu poetry...jaleel aali

tumhara kya, tumhein aasan bohot raste badlna hai
hamein tau har ek mausam, qaafile ke saath chalna hai

urdu poetry...jaleel aali

uss ko chhoone ki khwahish ne haath badhaye tau
phann phailaye nikle kitne saanp lakeeron se

urdu poetry...ghulam mohammed qaasir

uss ne mujhe ek aisi kahani mein cast kiya
jis mein mere liye kirdaar nahin hai koi

rdu poetry,,,ghulam mohammed qaasir

main ne poocha tha ke ikhlaas kise kehte hain
ek bachcha teri tasveer utha laaya tha

rdu poetry...ghulam mohammed qaasir

ek aanchal ki aanch se qaasir
hum jale aur ta-hayat jale

rdu poetry...ghulam mohammed qaasir

gulaabon ke nasheman se, mere mehboob ke sar tak
safar lamba tha khushboo ka, magar aa hi gayee ghar tak

rdu poetry...ghulam mohammed qaasir

badan milaap ko be-chhain aur roohon par
na milne waale sitaaron ki hukmarani thi

rdu poetry ghulam mohammed qaasir

tere bakhshe huye ik gham ka karishma hai ke ab
jo bhi gham ho mere miyaar se kam hota hai

yeh bhi ek rang hai shayed meri mehroomi ka
koi hans de tau mohabbat ka gumaan ho ta hai

rdu poetry...ghulam mohammed qasir

saare sapere veeranon mein ghoom rahe hain been liye
aabadi mein rehne waale saanp bade zahreele thay

tum yun hi naraaz huye ho, warna maikhane ka pata
hum ne har uss shakhs se poocha, jis ke nain nasheele thay

rdu poetry...mohsin naqvi

ujde huye logon se gurezaan na hua kar
halaat ki qabron ke yeh kutbe bhi pdha kar

har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar

urdu poetry ...aasi karnali

main mohabbat hun, mujhe aata hai nafrat ka ilaaj
tum har ek shakhs ke sene mein mera dil rakh do

daava-e-husn kare koi tau khamosh raho
sirf aahista se aaina muqaabil rakh do

Wednesday, November 21, 2012

gham

gham kahan nahin hai?
gham ki khoj kitni aasan hai
iss kone ke peeche
uss nukkad par
yeh saamne
gham hi ka tau saaya hai
yeh gham ki hi tau aahat hai
jo peecha kar raha hai
gham hi tau hai
jo
saath saath chal raha hai
aasman ke neeche
jitne
jeev
saans lete hain
unn mein
sab se zyada ghamgeen
insaan hi tau hai
kaayenaat mein
ek insaan hi hai
jo khudkushi karta hai
warna
yeh chehchate parinde
apne mein mast
charinde
apni zindagi
se
naa khush
tau har giz nahin hain

Sunday, November 18, 2012

KYA INSAAN THA

JAB PEHLI BAAR
UFAQ PAR UBHRA THA
TAB
BAMBAI KE BAASI KE NAATE
USKI HAR BAAT
DIL PAR ASAR KARTI THI
LAGTA THA JO WOH KEHTA HAI
SACH KEHTA HAI
TAB
WOH JIN KE
KHILAAF THA
WOH
HUM NAHIN THAY
PHIR WAQT BADLA AUR
WOH HAMARE HI KHILAAF HO GAYA
DIL MEIN KHAUF
 KA EHSAAS
JAGA GAYA
BAAR BAAR
 BAAR BAAR
KABHI WOH
ISS KE KHILAAF HOTA
KABHI WOH
USS KE KHILAAF HOTA
LEKIN KUCH
LOGON KE KHILAAF KABHI NAHIN HUA
KABHI INSAAN LAGTA THA
KABHI SHAITAN LAGTA THA
AUR KABHI FARISHTA
WOH AISA INSAAN THA
JO
YAAD RAHE GA
EK ARSE TAK
LOGON KO




Friday, November 16, 2012

URDU POETRY..TOPIC; GHAR

UG RAHA HAI DAR-O-DEEWAR PE SABZA GHALIB
HUM BYABAAN MEIN HAIN, GHAR MEIN BAHAR AAYEE HAI...GHALIB



URDU POETRY. TOPIC; BE-BASI HELPLESSNESS

NAHAQ HUM MAJBOORON PAR YEH TUHMAT HAI MUKHTAARI KI
CHAAHTE HAIN SO AAP KAREIN HAIN , HUM KO ABAS BADNAM KIYA...MEER

LAAYEE HYAT AAYE, QAFA LE CHALI CHALE
APNI KHUSHI NA AAYE, NA APNI KHUSHI CHALE...ZAUQ

FAISLE SAARE USI KE HAIN HAMAARI BABAT
IKHTIAR APNA BAS ITNA KE KHABAR NEIN REHNA...PARVEEN SHAKIR

Thursday, November 15, 2012

GHAZAL ...P

KIS TARAH BAAR-E-ALAM DIL PAR UTHA LETE HAIN LOG
GHAM KE SAAYE MEIN BHI AKSAR MUSKURA LETE HAIN LOG

HUM NE YEH MAANA KE CHEHRA HAI KITAB-E-DIL MAGAR
APNE CHEHRE BHI NAQAABON MEIN CHHUPA LETE HAIN LOG


GHAZAL

GHAIRON KE DARR TAU MERI SADA PAR NAHIN KHULE
MAAHAUL WOH THA APNON KE BHI GHAR NAHIN KHULE

JAB AAINON PE GARD ANDHERON KI JAM GAYEE
PHIR RAUSHNI HUYEE BHI TAU MANZAR NAHIN KHULE

LIKHE HUYE HAIN KITNE SAFAR APNE PAAON MEIN
GHAR LAUTNE KE BAAD BHI BISTAR NAHIN KHULE

TEHZEEB-E-NAV NE KHOL DIYE UNN KE JISM TAK
WOH LADKIYAN KE JIN KE KABHI SAR TAK NAHIN KHULE

THE DEAR DEPARTED

REMEMBERING THAT ADVERTISING IS ONLY ONE OF THE FACTORS WHICH AFFECTS SALES, IT IS A WORTHWHILE EXERCISE TO STUDY WHERE PRODUCTS HAVE FAILED IN RECENT YEARS.

A NON-CARBONATED APPLE JUICE, A LINE OF DEHYDERATED VEGETABLES, A HEALTH DRINK, THE LINE EXTENSION OF A VERY FAMOUS TOILET SOAP. THEY HAVE COME AND GONE. COULD IT BE BECAUSE THEY WERE WRONGLY POSITIONED?


YOUR PROMISE, OR PLATFORM, OR PROPOSITION

WHATEVER EACH AGENCY MAY CALL IT, YOU'VE GOT TO HAVE ONE. AN ADVERTISEMENT WHICH DOES NOT OFFER A SPECIFIC BENEFIT IS AN ADVERTISEMENT WHICH SHOULD NOT HAVE BEEN ALLOWED OUT OF THE AGENCY.

HOW DO YOU ARRIVE AT THE RIGHT PROMISE FOR YOUR PRODUCT?

AN IDEAL WAY WOULD BE TO USE USP TECHNIQUE DEVELOPED BY ROSSER REEVES.

USP STANDS FOR UNIQUE SELLING PROPOSITION, WHICH IS PROBABLY ONE OF THE MOST ILL-TREATED TERMS IN ADVERTISING. THIS IS BECAUSE MOST PEOPLE REALLY DO NOT KNOW WHAT A " USP " IS.


IF YOU WANT TO KNOW WHAT " USP " DO WRITE BACK AND I SHALL UPLOAD REMAINING PART OF MY BLOG.....I DO NOT THINK ANYBODY FROM CURRENT GENERATION WILL BOTNER...

Thursday, November 8, 2012

urdu poetry....ishq

ik lafz-e-mohabbat ka adna sa fasaana hai
simte tau dil-e-aashiq, phaile tau zamana hai...jigar

jab ishq sikhata hai aadab-e-khud aagahi
khulte hain ghulamon par asraar-e-shahanshahi...iqbal

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne
zamane khush ho ab tau zahar yeh bhi pi liya main ne...sahir

sitaron ke aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain...iqbal

URDU POETRY TOPIC WAQT

MEHARBAAN HO KE BULA LO MUJHE, CHAAHO JIS WAQT
MAIN GAYA WAQT NAHIN HUN, KE PHIR AA BHI NA SAKUN...GHALIB

WAQT ACHCHA BHI AAYE GA NASIR
GHAM NA KAR, ZINDAGI PADI HAI ABHI...NASIR KAAZMI

ZAMANE KI GARDISH SE CHAARA NAHIN HAI
ZAMANA HAMARA TUMHARA NAHIN HAI...IBRAT


URDU POETRY TOPIC; MANZIL ( DESTINATION )

YAARAN-E-TEZ GAAM NE MAHMAL KO JA LIYA
HUM MAHW-E-NAALA-E-JARS-KAARVAN RAHE...HAALI

AYE JAZBA-E-DIL JO MAIN CHAAHUN HAR CHEEZ MUQAABIL AA JAYE
MANZIL KE LIYE DO GAAM CHALUN AUR SAAMNE MANZIL AA JAYE...BEHZAAD LAKHNAVI


URDU POETRY...TOPIC KAARVAN ( CARAVAN )

SAR ZAMEEN-E-HIND PAR AQWAAM-E-AALAM KE FIRAQ
KAARVAN AATE GAYE, HINDUSTAN BANTA GAYA....FIRAQ

MAIN AKELA HI CHALA THA JAANIB-E-MANZIL MAGAR
LOG SAATH AATE GAYE AUR KAARVAN BANTA GAYA...MAJROOH

RAFTGAAN MEIN JAHAN KE HUM BHI HAIN
SAATH ISS KAARVAN KE HUM BHI HAIN...MEER TAQI MEER

SAFAR KARTE HUYE MANZIL BA MANZIL JAA RAHE HAIN HUM
MUJHE YEH SAARI DUNIYA KAARVAN MALOOM HOTI HAI...TRILOKCHAND MEHROOM

URDU POETRY,,,TOPIC; IBTEDA ( BEGINNING )

JAB MAIN NE LIKHNA SEEKHA THA
PEHLE TERA NAAM LIKHA THA....SHAAD AZIMABADI

IBTEDA WOH THI KE JEENE KE LIYE MARTA THA MAIN
INTEHA YEH HAI KE MARNE KI BHI HASRAT NA RAHI....MAHIR-UL-QADRI

MAKTAB-E-ISHQ KE DASTOOR NIRAALE DEKHE
USS KO CHUTTI NA MILI JIS NE SABAQ YAAD KIYA,,,NA MAALOOM


RDU POETRY...HUSN ( BEAUTY )

YEH HAIN JITNE HASEEN CHEHRE MERI MAALA KE MANKE HAIN
NIGAHEIN UTH-TI JAATI HAIN IBAADAT HOTI JAATI HAI...GANGADHAR TASNEEM

SAB KAHAN KUCH LALAA-O-GUL MEIN NUMAAYAN HO GAYEEN
KHAAK MEIN KYA SOORATEIN HON GI KE PINHAAN HO GAYYEN...GHALIB

NA PAAK HO GA KABHI HUSN-O-ISHQ KA JHAGDA
WOH QISSA HAI YEH JIS KA KOI GAWAH NAHIN....AATISH

KAALI KAALI AANKHEN HAIN GORI GORI RANGAT HAI
LAMBE LAMBE GESOO HAIN AUR BHOLI BHAALI SOORAT HAI....SHAAD AZIMABADI

AATE HI TERE JAL UTHE CHIRAAGH
ROOP HAI TERA DEEPAK RAAG...FIRAQ

DHOOP SE CHEHRON NE DUNIYA MEIN
KYA ANDHER MACHA RAKHA HAI...NASIR KAAZMI


URDU POETRY...TOPIC; BAZM ( ASSEMBLY )

BOO-E-GUL, NALA-E-DIL, DOOD-E-CHIRAGH-E-MEHFIL
JO TERI BAZM SE NIKLA, PARESHAN NIKLA...GHALIB

USS BAZM MEIN BANTI NAHIN MUJH KO HAYA KIYE
BAITHA RAHA AGARCHE ISHAARE HUA KIYE...GHALIB

YEH MAIKHANA HAI, BAZM-E-JAM NAHIN HAI
YAHAN KOI KISI SE KAM NAHIN HAI...JIGAR MORADABADI

Wednesday, November 7, 2012

Faiz..tum aaye ho, na shab-e-intezaar guzri hai

tum aaye ho na shab-e-intezaar guzri hai
talash mein hai sahar, baar baar guzri hai

woh baat saare fasaane mein jis ka zikr na tha
woh baat unn ko bohot nagavaar guzri hai

na gul khile hain, na unn se mile, na mai pee hai
ajeeb rang mein ab ke bahar guzri hai

Faiz...tum hi kaho kya karna hai

jab dukh ki nadiya mein hum ne
jeevan ki nao daali thi
tha kitna kas bal baahon mein
lohoo mein kitni laali thi
yun lagta tha do haath lage
aur nao pooram paar lagi
aisa na hua, har dhaare mein
kuch andekhi manjdharein thin
kuch maanjhi the anjan bohot
kuch be-par ki patwarein thin
ab jo bhi chaho chhaan karo
ab chahe jitne dosh dharo
nadiya tau wahi hai nao wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ab kaise paar utarna hai
jab apni chaati mein hum ne
iss des ke ghao dekhe the
tha vedon par vishwas bohot
aur yaad bohot se nuskhe the
yun lagta tha bas kuch din mein
saari bipta kat jaye gi
aur sab ghao bhar jayen ge
aisa na hua ke rog apne
kuch itne dher purane thay
ved un ki toh ko paa na sake
aur tonke sab bekaar gaye
ab jo bhi chaho chaan karo
ab chahe jitne dosh dharo
chaati tau wahi hai ghao wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
yeh ghao kaise bharna hai

Faiz....gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahar chale

gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahar chale
chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

qafas udaas hai yaaro saba se kuch tau kaho
kahin tau baihr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale

bada hai dard ka rishta, yeh dil ghareeb sahi
tumhare naam pe aayen ge ghamgusaar chale


MIRZAGHALIB KI BIVI KE TAKIYE PE LIKHE ASH'AAR...RAJA MEHDI ALI KHAN

GAR NA BOLE GHALIB NE DO LAFZ PYAR KE
TAU KHUDKUSHI KAR LUN GI SAR PE KADDU MAAR KE

KAL RAAT AAHON SE MERI SAADI JAL GAYEE
GHALIB BHUJANE AAYE TAU UNKI DAADHI JAL GAYEE

MUJH SE PEHLI SI MOHABBAT MERI MEHBOOB NA MAAN A PARODY BY RAJA MEHDI ALI KHAN

WOH BHI KYA DIN THE KE TUJHE DEKH KE MAIN KOTHE SE LAGATA  THA CHALAANG
AHD-E-JAWANI KE WOH AYYAAM KAHAN SE LAAOON
MUJH SE PEHLI SI MOHABBAT MERI MEHBOOB NA MAANG

FAIZ...MUJH SE PEHLI SI MOHABBAT MERI MEHBOOB NA MAANG

MUJH SE PEHLI SI MOHABBAT MERI MEHBOOB NA MAANG
MAIN NE SAMJHA THA KE TU HAI TAU DARAKHSHAN HAI HAYAAT
TERA GHAM HAI TAU GHAM-E-DAIHAR KA JHAGDA KYA HAI
TERI SOORAT SE HAI AALAM MEIN BAHARON KO SABAAT
TERI AANKHON KE SIWA DUNIYA MEIN RAKHA KYA HAI
TU JO MIL JAAYE TAU TAQDEER NIGOON HO JAYE
YUN NA THA, MAIN NE FAQAT CHAAHA THA YUN HO JAAYE
AUR BHI DUKH HAIN ZAMANE MEIN MOHABBAT KE SIWA
RAAHATEN AUR BHI HAIN VASL KI RAAHAT KE SIWA
ANGINAT SADIYON KE TAAREEK BAHIMANA TILSM
RESHAM-O-KIMKHAB MEIN BANWAYE HUYE
JA BA JA BIKTE HUYE KOOCHA-O-BAZAAR MEIN JISM
KHAAK MEIN LUTHDE HUYE KHOON MEIN NEHLAYE HUYE
JISM NIKLE HUYE AMRAZ KE TANOORON MEIN
PEEP BEHTI HUYEE GALTE HUYE NAASOORON MEIN
LAUT JAATI HAI UDHAR KO BHI NAZAR KYA KIJIYE
AB BHI DILKASH HAI TERA HUSN MAGAR KYA KIJIYE
AUR BHI DUKH HAIN ZAMANE MEIN MOHABBAT KE SIWA
RAAHATEIN AUR BHI HAIN VASL KI RAAHAT KE SIWA
MUJH SE PEHLI SI MOHABBAT MERI MEHBOOB NA MAANG

Tuesday, November 6, 2012

FAIZ...KUCH ISHQ KIYA, KUCH KAAM KIYA

WOH LOG BOHOT KHUSH QISMAT THE
JO ISHQ KO KAAM SAMAJHTE THAY
YA KAAM SE ASHIQI KIYA KARTE THAY
HUM JEETE-JEE MASROOF RAHE
KUCH ISHQ KIYA, KUCH KAAM KIYA
KAAM ISHQ KE AADE AATA RAHA
AUR ISHQ KAAM SE ULAJHTA RAHA
PHIR AAKHIR TUNG AA KAR HUM NE
DONON KO ADHOORA CHOR DIYA

FAIZ..SAALGIRAH

SHAYER KA JASHN-E-SAALGIRAH HAI, SHARAAB LAA
MANSAB, KHITAB, RUTBA UNHEIN KYA NAHIN MILA
BAS NUQS TAU ITNA KE MAMDOOH NE KOI
MISRA KISI KITAB KE SHAYAN NAHIN LIKHA

FAIZ...SUBAH PHOOTI TAU AASMAN PE TERE

SUBAH PHOOTI TAU AASMAN PE TERE
RANG-O-RUKHSAAR KI PHOHAR GIRI
RAAT CHAAYEE TAU ROO-E-AALAM PAR
TERI ZULFON KI AABSHAR GIRI

FAIZ...AAYE KUCH ABR, KUCH SHARAB AAYE

AAYE KUCH ABR, KUCH SHARAAB AAYE,
USS KE BAAD AAYE JO AZAAB AAYE
BAAM-E-MEENNA SE MEHTAB UTRE
DAST-E-SAAQI MEIN AAFTAB AAYE
HAR RAG-E-KHOON MEIN PHIR CHARAGHAN HO
SAAMNE PHIR WOH BE-NNAQAAB AAYE
UMR KE HAR VARAQ PE DIL KO NAZAR
TERI MEHR-O-VAFAA KE BAAB AAYE
KAR RAHA THA GHAM-E-JAHAN KA HISAAB
AAJ TUM YAAD BE-HISAAB AAYE
NA GAYEE TERE GHAM KI SARDARI
DIL MEIN YUN ROZ INQUILAB AAYE
JAL UTHE BAZM-E-GHAIR KE DAR-O-BAAM
JAB HUM KHANUMAN KHARAB AAYE
ISS TARAH APNI KHAMUSHI GOONJI
GOYA HAR SIMT SE JAWAAB AAYE
FAIZ THI RAAH SAR BASAR MANZIL
HUM JAHAN PAHUNCHE KAAMYAAB AAYE

FAIZ,,DIL MEIN AB YUN TERE BHOOLE HUYE GHAM AATE HAIN

DIL MEIN AB YUN TERE BHOOLE HUYE GHAM AATE HAIN
JAISE BICHDE HUYE KAABE MEIN SANAM AATE HAIN
IK IK KAR KE HUYE JAATE HAIN TAARE RAUSHAN
MERI MANZIL KI TARAF TERE QADAM AATE HAIN
RAQS-E-MAI TEZ KARO, SAAZ KI LAI TEZ KARO
SOO-E-MAIKHAANA SAFEERAN-E-HARAM  AATE HAIN
KUCH HAMEIN KO NAHIN, EHSAAN UTHAANE KA DIMAAGH
WOH TAU JAB AATE HAIN, MAIL BA-KARAM AATE HAIN
AUR KUCH DER NA GUZRE SHAB-E-FURQAT
DIL BHI KAM DUKHTA HAI, WOH YAAD BHI KAM AATE HAIN

URDU POETRY....AIJAAZ KUNWAR RAAJA

SHAJAR GIRA THA KE INSAAN PHALON PE TOOT PADE
KISE YEH HOSH KE USS PAR THE GHONSLE KITNE

KOI DAREECHA HAWA KE RUKH PAR NAHIN BANAYA
MERE BUZRAGON SOCH KAR GHAR NAHIN BANAYA

LOG JO CHAHEN UNHEN KEHNE DIYA JAANE LAGA HAI
MASLA LEKIN WAHIN REHNE DIYA JAANE LAGA HAI

Monday, November 5, 2012

URDU POETRY...MOHSIN NAQVI

UJDE HUYE LOGON SE GUREZAAN NA HUA KAR
HALAAT KI QABRON KE YEH KUYBE BHI PADHA KAR
HAR WAQT KA HANSNA TUJHE BARBAAD NA KAR DE
TANHAI KE LAMHON MEIN KABHI RO NHI LIYA KAR

RDU POETRY...DAAGH

TUMHARE KHAT MEIN NAYA IK SALAAM KIS KA THA
NA THA RAQEEB TAU AAKHIR WOH NAAM KIS KA THA

VAFAA KAREIN GE, NIBAAHEN GE, BAAT MAANEIN GE
TUMHEIN BHI YAAD HAI KUCH YEH KALAAM KIS KA THA

WOH QATL KAR KE MUJHE, HAR KISI SE POOCHTE HAIN
YEH KAAM KIS NE KIYA HAI, YEH KAAM KIS KA THA

RAHA NA DIL MEIN EOH BE-DARD AUR DARD RAHA
MUQEEM KAUN HUA HAI, MAQAAM KIS KA THA

RDU POETRY,,,DAAGH

BHAVEN TANI HAIN, KHANJAR HAATH MEIN HAI, TAN KE BAITHE HAIN
KISI SE AAJ BIGDI HAI KE WOH YUN BAN KE BAITHE HAIN
KISI KI SHAAMAT AAYE GI, KISI KI JAAN JAAYE GI
KISI KI TAAK MEIN WOH BAAM PAR BAN-THAN KE BAITHE HAIN

Friday, November 2, 2012

AHAVATON SE BANI GHAZAL

BAIL GANWA KAR RASSI LAYE
KHAIR SE BUDHDHU GHAR KO AAYE

DIL KI HAALAT AANKH BATAYE
GHAR KA BHEDI LANKA DHAYE

AAM KE AAM GUTHLIYON KE DAAM
SAUDA AISA KAUN GANWAYE

LOHE KO LOHA KAATE LEKIN
NARMI BIGDE KAAM BANAYE


AS YUN HI...5

SOHBAT-E-BAD SE LAAKH BEHTAR HAI
HO JO TUM KO NASEEB TANHAI
AUR TANHAI KI RAFEEQ TERI
IK ACHCHI KITAAB HO BHAI

AS YUN HI...4

SACH KAHA HAI KISI MUFAKKIR NE
GHUSSA PEETA HAI AADMI KA LAHU
ISS SE PEHLE KE TUM PE QAABIZ HO
APNE QABZE MEIN RAKHO GHUSSE KO

AS YUN HI...3

RUKH SE ZULFEN HATAO TAU
DIL PE BIJLI SI GIRAO TAU
MERI DUNIYA MEIN AA GAYA HAI JAMOOD
ISS MEIN HALCHAL ZARA MACHAO TAU

AS YUN HI...2

KAHAN KI DOSTI KAISI MOHABBAT
KISE APNA KAHEN KIS KO PARAAYA
MUSEEBAT MEIN DIYA SAATH KIS NE
ANDHERE MEIN JUDA REHTA HAI SAAYA

BAS YUN HI...1

MASSARATON KE KHAZANE LUTA KE DEKH LIYA
JAMEEL DUNIYA KO APNA BANA KE DEKH LIYA
NA RAAS AAYEE KABHI DOSTI MUJHE LEKIN
HAR EK BISAAT PE BAAZI BICHA KE DEKH LIYA

Wednesday, October 31, 2012

KUTBA ( EPITAPH ) SAA'DAT HASAN MANTO

HE WROTE THIS  HIMSELF ON 18 AUGUST 1954

"
YAHAN SAA'DAT HASAN MANTO DAFAN HAI.
USKE SEENE MEIN FAN-E-AFSANA NIGARI KE
SAARE ISRAAR-O-RAMOOZ DAFAN HAIN----
WOH AB BHI MANON MITTI KE NEECHE
SOCH RAHA HAI KE WOH BADA
AFSANA NIGAAR HAI YA KHUDA "

GHAATE KA SAUDA ( MINI KAHANI ) SAA'DAT HASAN MANTO

DO DOSTON NE MIL KAR BEES LADKIYON MEIN SE EK LADKI CHUNI AUR BYALEES RUPYE DE KAR  ------USSE KHAREED LIYA. RAAT GUZAAR KAR EK DOST NE LADKI SE POOCHA " TUMHARA NAAM KYA HAI ".

LADKI NE APNA NAAM BATAYA TAU WOH BHINNA GAYA " HUM SE TAU KAHA GAYA THA KE TUM DOOSRE MAZHAB KI HO "

LADKI NE JAWAB DIYA " USS NE JHOOT BOLA THA "

YEH SUN KAR WOH DAUDA-DAUDA APNE DOST KE PAAS GAYA AUR KEHNE LAGA
" USS HARAMZAADE NE HAMARE SAATH DHOKA KIYA HAI. HAMARE HI MAZHAB KI KADKI THAMA DI---CHALO, WAAPAS KAR AAYEN ".


Tuesday, October 30, 2012

kasr-e-nafi ( mini kahani ) saa'dat hasan manto

chalti gaadi rok li gayee. jo doosre mazhab ke the unn ko nikaal-nikaal kar talwaron aur goliyon se halaak kar diya gaya. uss se faarigh ho kar gaadi ke baaqi musaafiron ki halwe, doodh aur phalon se twaazo ki gayee.gaadi chalne se pehle twaazo karne waalon ke muntazim ne musaafiron ko mukhatib kar ke kaha " bhaiyo aur behno, hamein gaadi ki aamad ki ittelaa bohot der mein mili. yahi wajah hai ke hum hum jis tarah chaaahte the uss tarah aap ki khidmat na kar sake ".

karamaat ( mini kahani ) saa'dat hasan manto

loota hua maal braamad karne ke liye police ne chhaape maarne shuru kar diye the.

log darr ke maare loota hua maal raat ke andhere mein baahar phenkne lage. kuch aise bhi the jinhon ne apna maal mauqa paa kar apne se alehda kar diya taake qanooni grift se bache rahen.

ek aadmi ko bohot diqqat pesh aayee. uss ke paas shakkar ki do boriyan thin jo uss ne pansaari ki dukaan se looti thin. ek tau woh jun-tun raat ke andhere mein paas waale kunye mein phenk aaya. lekin jab doosri utha kar uss mein daalne laga tau khud bhi saath chala gaya.

shor sun kar log ikattha ho gaye, kunye mein rassiyan daali gayeen. do jawan neeche utre aur uss aadmi ko bahar nikaal liya---lekin chand ghanton baad woh marr gaya.

doosre din jab logon ne istemaal ke liye uss kunye se paani nikaala tau woh meetha tha.

usi raat uss aadmi ki qabar par diye jal rahe the.

ROTIYAAN,,,NAZEER AKABARABAADI

JAB AADMI KE PET MEIN AATI HAIN ROTIYAAN
PHOOLI NAHIN BADAN MEIN SAMAATI HAIN ROTIYAAN
AANKHEN PARI RUKHON SE LADATI HAIN ROTIYAAN
SEENE UPAR BHI HAATH CHALATI HAIN ROTIYAAN
JITNE MAZE HAIN SAB DIKHATI HAIN ROTIYAAN

ROTI SE JIS KA NAAK TALAK PET HAI BHARA
KARTA PHIRE HAI KYA WOH UCHAL KOOD JA BA JA
DEEWAR PHAAND KAR, KOI KOTHA UCHAL GAYA
THTHA,HANSI, SHARAB,SANAM,SAAQI, ISS SIWA
SAU SAU TARAH KI DHOOM MACHATI HAIN ROTIYAAN

JIS JAA PE HAANDI, CHOOLAH, TAWA AUR TANOOR HAI
KHAALIQ KI QUDRATON KA USI JAA ZAHOOR HAI
CHOOLEHE KE AAGE AANCH JO JALTI HUZOOR HAI
JITNE HAIN NOOR, SAB MEIN YAHI KHAAS NOOR HAI
ISS NOOR KE SABAB NAZAR AATI HAIN ROTIYAAN


RAMAYEN KA EK SCENE...CHAKBAST

RUKHSAT HUA WOH BAAP SE LE KAR KHUDA KA NAAM
RAAH-E-VAFAA KI MANZIL-E-AVVAL HUYEE TAMAAM

MANZOOR THA JO MAAN KI ZIYARAT KA INTEZAAM
DAAMAN SE ASHK PONCH KE DIL SE KIYA KALAAM

IZHAAR-E-BEKASI SE SITAM HO GA AUR BHI
DEKHA MAMEIN UDAAS TAU GHAM HO GA AUR BHI

DIL KO SAMBHALTA HUA AAKHIR WOH NAUNIHAAL
KHAMOSH MAAN KE PAAS GAYA SOORAT-E-KHYAAL

DEKHA TAU EK DURR MEIN BAITHI HAI WOH KHASTA HAAL
SAKTA SA HO GAYA HAI YEH HAI SHIDDAT-E-MALAAL

TAN MEIN LAHU KA NAAM NAHIN ZARD RANG HAI
GOYA BASHAR NAHIN KOI TASVEER-E-SANG HAI

KYA JAANE KIS KHYAAL MEIN GUM THI WOH BE-GUNAAH
NOOR-E-NAZAR PE DEEDA-E-HASRAT SE KI NIGAAH

JUMBISH HUYEE LABON KO BHARI EK SARD AAH
LI GOSHA HAAE CHASHM SE ASHKON NE RUKH KI RAAH

CHEHRE KA RANG HAALAT-E-DIL KHOLNE LAGA
HAR MOO-E-TAN ZABAN KI TARAH BOLNE LAGA

RO KAR KAHA KHAMOSH KHADE KYUN HO MERI JAAN
MAIN JAANTI HUN JIS LIYE AAYE HO TUM YAHAN

SAB KI KHUSHI YAHI HAI TAU SEHRA KO HO RAWAAN
LEKIN MAIN APNE MUNH SE NA  HAR GIZ KAHUN GI HAAN

KIS TARAH BAN MEIN AANKHON KE TAARE KO BHEJ DUN
JOGI BANA KE RAAJ DULAARE KO BHEJ DUN

LETI KISI FAQEER KE GHAR MEIN AGAR JANAM
HOTE NA MERI JAAN KO SAMAAN YEH BAHAM

DASTA NA SAANP BAN KE MUJHE SHAUKAT-O-HASHAM
TUM MERE LAAL THE MUJHE KIS SALTANAT SE KAM

MAIN KHUSH HUN PHOONK DE KOI ISS TAKHT-O-TAAJ KO
TUM HI NAHIN TAU AAG LAGAOON GI RAAJ KO

SARZAD HUYE THE MUJH SE KHUDA JAANE KYA GUNAAH
MANJHDHAR JO YUN MERIN KISHTI HUYEE TABAAH

AATI NAHIN KOI AMAN-O-AMAAN KI RAAH
AB YAAN SE KOOCH HO TAU ADAM MEIN MILE PNAAH

TAQSEER MERI KHAALIQ-E-AALAM BAHAL KARE
AASAN MUJH GHAREEB KI MUSHKIL AJAL KARE

SUN KAR ZABAAN SE MAAN KI YEH FARYAAD-E-DARDKHAIZ
USS KHASTA JAAN KE DIL PE CHALI GHAM KI TEGH-E-TEZ

AALAM YEH THA KE AANKHEN HON ASHK REZ
LEKIN HAZAAR ZABT SE RONE SE KI GUREZ

SOCHA YAHI KE JAAN SE BE-KAS GUZAR NA JAAYE
NASHAAD HUM KO DEKH KE MAA AUR MARR NA JAYE

PHIR ARZ KI YEH MAADAR-E-NASHAAD KE HUZOOR
MAAYUS KYUN HAIN AAP ALAM KA HAI KYUN WAFOOR

SADMA YEH SHAAQ AALAM-E-PEERI MEIN HAI ZAROOR
LEKIN NA DIL SE KIJIYE SABR-O-QARAAR DOOR

SHAYED KHIZAAN SE SHAKL AYAAN HO BAHAR KI
KUCH MASLAHAT ISI MEIN HO PARWARDIGAAR KI

PADTA HAI JIS GHAREEB PE RANJ-O-MAHAN KA BAAR
KARTA HAI USS KO SABR ATAA AAP KIRDGAAR

MAAYUS HO KE HOTE HAIN INSAAN GUNAAHGAAR
YEH JAANTE NAHIN WOH HAI DAANA-E-ROZGAAR

INSAAN USS KI RAAH MEIN SAABIT QADAM RAHE
GARDAN WAHI HAI AMR-E-RAZA MEIN JO KHAM RAHE

AKSAR RAYAAZ KARTE HAIN PHOOLON PE BAAGHBAN
HAI DIN KI DHOOP RAAT KI SHABNAM UNHEIN GARAAN

LEKIN JO BAAGH BADALTA HAI NAAGAHAAN
WOH GUL HAZAAR PARDON MEIN JAYE HAIN RAEGAAN

RAKHTE HAIN JO AZEEZ UNHEIN APNI JAAN KI TARAH
MALTE HAIN DAST-E-YAAS WOH BARG-E-KHIZAAN KI TARAH


LEKIN JO PHOOL KHILTE HAIN SEHRA MEIN BE-SHUMAAR
MAUQOOF KUCH RAYAAZ PE UNN KI NAHIN BAHAAR

DEKHO YEH QUDRAT-E-CHAMAN AARAA-E-ROZGAAR
WOH ABR-O-BAAD-O-BARF MEIN REHTE HAIN BARQARAAR

HOTA HAI UNN PE FAZAL JO RABB-E-KAREEM KA
MAUJ-E-SAMOOM BANTI HAI JHONKA NASEEM KA

APNI NIGAAH HAI KARAM-E-KAAR SAAZ PAR
SEHRA CHAMAN BANE GA WOH HAI MEHARBAAN AGAR

JUNGLE HO YA PHAAD, SAFAR HO KE HO HAZAR
REHTA NAHIN WOH HAAL SE BANDE KE BE-KHABAR

USS KA KARAM SHAREEK AGAR HAI TAU GHAM NAHIN
DAAMAAN-E-DASHT DAAMAN-E-MAADAR SE KAM NAHIN


Monday, October 29, 2012

MUSHKIL

JAB JAB
KOI MUSHKIL
AATI HAI
APNE SAATH
SEEKH KE
TOHFE BHI
LAATI HAI
MAIN
MUSHKILON KO
DAAVAT DETA REHTA HUN
AUR
UNN SE MILE SABAQ
KHUSHI KHUSHI
LETA HUN

CHOTI CHOTI KAHANIYAN..." EK BAAR "

EK BAAR HAMARE EK DOST NE HUM SE KAHA " AAP MUSKURAYA MAT KIJIYE, AAP JAB NAHIN MUSKURATE HAIN TAB KAHIN ZYADA BEHTAR LAGTE HAIN".

HUM NE KAHA " KYA AAP NAHIN JAANTE KE INSAAN HI EK AISA JAANWAR HAI JO MUSKURATA AUR HANSTA HAI"'

UNHON NE NE KAHA " MAIN BAS ITNA JAANTA HUN KE INSAAN, JAANWAR HAI".

MOHABBAT

BHARAT MEIN MOHABBAT KARTE WAQT SAB SE PEHLE DHARM AUR MAZHAB AADE AATE HAIN. AGAR LADKA-LADKI DONO KA DHARM YA MAZHAB EK HO TAB TAU YEH PHIR BHI MUMKIN HAI. LEKIN AGAR DONO KE DHARM ALAG-ALAG HUYE TAU MOHABBAT KARNE KI HAR GIZ IJAZAT NAHIN HAI.

AAP LAAKH SAR PATKHEIN, SEENA KOOTIYE, KHUDKUSHI KAR LIJIYE LEKIN AAP KO KISI AUR DHARM YA MAZHAB KE SHAKHS SE PYAR KARNE KI HAR GIZ AGYA NAHIN HAI.

MAZHAB KE BAAD AATI HAI ZAAT-PAAT. AUR US KE BAAD AATE HAIN MAALI HALAAT.YAANI SAWAL AAYE GA OONCHE AUR NEECHE GHARANE KA.

AAKHIR MEIN SAB SE BADI BAAT AAYE GI AUR WOH HO GI PAPA, PITAJI, ABBA JAAN KI MARZI.HINDUSTAN MEIN PITA JI KI MARZI KE BAGHAIR KUCH NAHIN HO SAKTA HAI. AGAR ITNI MUSHKILON KE BAWAJOOD AAP MEIN MOHABBAT KARNE KI HIMMAT HAI TAU SHAUQ SE KIJIYE.

Sunday, October 28, 2012

SAB KUCH KHAAK HUA HAI...BASHEER BADR

SAB KUCH KHAAK HUA HAI LEKIN CHEHRA KYA NOORANI HAI
PATTHAR NEECHE BAITH GAYA HAI, UPAR BEHTA PAANI HAI

BACHPAN SE MERI AADAT HAI PHOOL CHUPA KAR RAKHTA HUN
HAATHON MEIN JALTA SURAJ HAI, DIL MEIN RAAT KI RANI HAI

DAFAN HUYE RAATON KE QISSE IK CHAAHAT KI KHAMOSHI HAI
SANNATON KI CHAADAR ODHE YEH DEEWAR PURANI HAI


Friday, October 26, 2012

bachce tau bacche hote hain

kal
ek maternity ward
jaana
pada mujhe
poora ward
zachcha-bachcha
se bhara tha
koi muslim maan thi
god mein bachce ko sambhale
koi hindu maan thi
bachche ko seene se lagaye
koi isaai maan thi
bachche ko doodh pilaati
main
soch raha tha
agar bachche
aapas mein badal bhi jaayen
tau kya samajh paayen ge
ke kaun hain woh
kyunki
unki tehzeeb
sabhyata
aur
moral ki slate
poori tarah saaf thi
lekin
jaise-jaise
woh badhte jaayen ge
un ki slate
par
maan-baapo
apni-apni
tehzeeb aur sanskar
ke jumle likhte jaayen ge
tab tak
jab tak
woh poori tarah bhrasht
na
ho jaayen

Thursday, October 25, 2012

ADVERTISING...WHAT TO SAY

THE MOST IMPORTANT JOB OF A COPYWRITER IS TO COLLECT PRODUCT INFORMATION. BUT HOW IS THE PRODUCT INFORMATION TO BE COLLECTED ? WHERE DOES ONE START ? WELL, ONE EFFECTIVE METHOD IS TO ASK THE CLIENT THESE SIX QUESTIONS ABOUT THE PRODUCT OR SERVICE: WHAT ? WHO ? WHY ? WHERE ? WHEN ? HOW ?

IT SOUNDS SIMPLE, BUT THESE ARE JUST THE STARTING POINTS. EACH POINT MUST BE PROBED IN GREAT DETAIL.

WHAT ARE WE SELLING ?

WHAT IS THE PRODUCT ? HOW IS IT MADE ? WHAT ARE THE INGREDIENTS ? WHAT IS THE MANUFACTURING PROCESS ?

HOW IS THE PRODUCT DIFFERENT FROM THE COMPETITOR'S ?
WHAT ARE THE SIZES, SHAPES, COLOURS, AND QUANTITIES IN WHICH IT IS AVAILABLE?

HOW IS IT PRICED ?

WHY ARE WE SELLING IT ?

CUSTOMERS BUY PRODUCTS TO FILL NEEDS. YOUR CLIENT MAY BE SELLING SOAP, BUT THE CUSTOMER IS NOT BUYING BECAUSE SHE WANTS SOAP.  SHE BUYS BECAUSE SHE WANTS TO CLEAN HER BODY.

IF THE CUSTOMER EVER FINDS A BETTER, CHEAPER, MORE CONVINIENT WAY TO CLEAN HERSELF, SOAP WILL BE ON THE WAY OUT.

THEREFORE, AS THE NEXT STEP, IT IS VERY IMPORTANT TO FIND OUT WHY A CUSTOMER BUYS A CERTAIN PRODUCT. WHAT SPECIFIC NEED IS SHE TRYING TO FILL ? WHAT PROBLEM IS SHE TRYING TO SOLVE ?

IT IS NOT ALWAYS EASY TO COME TO A CONCLUSION WITHOUT THE HELP OF RESEARCH.
EXAMPLE: MANY DECADES AGO, TWO YOUNG MEN WHO HAD JUST STARTED THEIR OWN ADVERTISING AGENCY WENT TO THE COLGATE TOOTHPASTE COMPANY TO SOLICIT THEIR ADVERTISING BUSINESS.

ONE OF THE YOUNG MAN ASKED THE CLIENT WHY PEOPLE BOUGHT TOOTHPASTE.  ' TO CLEAN THEIR TEETH OBVIOUSLY, " SAID THE CLIENT.

BUT THE PRAGMATIC YOUNG MAN WAS NOT  SURE ABOUT THIS. HE REASONED THAT IF PEOPLE WERE REALLY INTERESTED IN PRESERVING THEIR TEETH, THEY WOULD BRUSH THEM AT NIGHT BEFORE GOING TO BED, BECAUSE IT IS MAINLY DURING THE NIGHT THAT BACTERIA CAUSE TOOTH DECAY.

MOST PEOPLE BRUSH THEIR TEETH IN THE MORNING WHEN THEY WAKE UP.
SO THE YOUNG MAN HAD THE SUBJECT RESEARCHED. AND LEARNT AN AMAZING FACT. PEOPLE BRUSH THEIR TEETH IN THE MORNING TO " WAKE THEMSELVES UP ", TO REMOVE THE FLAT TASTE IN THEIR MOUTHS.

FROM THIS RESEARCH CAME THE FAMOUS CAMPAIGN WHICH SAID " CLEANS YOUR BREATH WHILE IT CLEANS YOUR TEETH. "
SOON, COLGATE WAS THE LARGEST SELLING TOOTHPASTE IN THE WORLD.

TO BE CONTINUED.....


 

Tuesday, October 23, 2012

CHAKLE...SAHIR LUDHIANVI

YEH KOOCHE YEH NEELAM GHAR DILKASHI KE
YEH LUT-TE HUYE KAARWAN ZINDAGI KE
KAHAN HAIN KAHAN HAIN MUHAFIZ KHUDI KE
SANA KHWAN-E-TAQDEES-EMASHRIQ KAHAN HAIN(IN FILM SONG THIS LINE HAS BEEN SIMPLIFIED AS " JINEIN NAAZ HAI HIND PAR, KAHAN HAIN ) WE ARE SO POLITICALLY INVOLVED THAT WE DO NOT BOTHER ABOUT SOCIETAL PROBLEMS AT ALL. PITY.

YEH PUR PECH GALIYAN YEH BE-KHWAB BAZAAR
YEH GUMNAAM RAAHI YEH SIKKON KI JHANKAR
YEH ISMAT KE SAUDE YEH SAUDON PE TAKRAAR
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

TA-AFFUN SE PUR,NEEM ROSHAN GALIYAN
YEH MASLI HUYEE ADH-KHILI  ZARD KALIYAN
YEH BIKTI HUYEE KHOKLI RANG-RALIYAN
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

WOH UJLE DAREECHON MEIN PAYEL KI CHHAN CHHAN
TANAFFUS KI ULJHAN PE TABLE KI DHAN DHAN
YEH BE-ROOH KAMRON MEIN KHAANSI KI THAN THAN
SANA KHWAN-E-TAQDEES-EMASHRIQ KAHAN HAIN

YEH GOONJE HUYE QAHQAHE RAASTON PAR
YEH CHAARON TARAF BHEED SI KHIDKIYON PAR
YEH AWAAZE KHINCHTE HUYE AANCHALON PAR
SANA KHWAN-E-TAQDEES-EMASHRIQ KAHAN HAIN

YEH PHOOLON KE GAJRE YEH PEEKON KE CHEENTE
YEH BEBAAK NAZREN YEH GUSTAAKH FIQREE
YEH DHALKE BADAN AUR YEH MADQOOQ CHEHRE
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

YEH BHOOKI NIGAAHEN HASEENON KI JAANIB
YEH BADHTE HUYE HAATH SEENON KI JAANIB
LAPAKTE HUYE PAAON ZEENON KI JAANIB
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

YAHAN PEER BHI AA CHUKE HAIN JAWAN BHI
TAN-O-MAND BETE BHI ABBA MIYAN BHI
YEH BEEWI BHI HAI AUR BEHAN BHI HAI MAAN BHI
SANA KHWAN-E-TAQDEES-EMASHRIQ KAHAN HAIN

MADAD CHAHTI HAI YEH HAWWA KI BETI
YASHODHA KI HUM-JINS RAADHA KI BETI
PAIMBER KI UMMAT, ZULEKHA KI BETI
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ  KAHAN HAIN


ZARA MULK KE REHBARON KO BULAO
YEH GALIYAN, YEH KOOCHE, YEH MANZAR DIKHAO
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KO LAO
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

ABHI TAU MAIN JAWAN HUN....HAFEEZ

HAWA BHI KHUSHGAWAR HAI
GULON PE BHI NIKHAAR HAI

TARANNUM-E-HAZAAR HAI
BAHAR PUR BAHAR HAI

KAHAN CHALA HAI SAAQIYA
IDHAR TAU LAUT IDHAR TAU AA

ARE YEH DEKHTA HAI KYA?
UTHA SUBU-SUBU UTHA

SUBU UTHA PYALAA BHAR
PYALAA BHAR KE DE IDHAR

CHAMAN KI SIMT KAR NAZAR
SAMAAN TAU DEKH BEKHABAR

WOH KAALI KAALI BADLIYAN
UFAQ PE HO GAYEEN AYAAN

WOH EK HUJOOM-E-MAI KASHAN
HAI SUYE MAIKADA RAWAAN

YEH KYA GUMAAN HAI BADGUMAAN
SAMAJH NA NUJH KO NA TAWAAN

KHYAL-E-ZUHD ABHI KAHAN
ABHI TAU MAIN JAWAN HUN

IBAADATON KA ZIKR HAI
NIJAAT KI BHI FIKR HAI

JUNOON HAI SAWAAB KA
KHYAL HAI AZAAB KA

MAGAR SUNO TAU SHAIKH JI
AJEEB SHAI HAIN AAP BHI

BHALA SHABAAB-O-AASHIQI!
ALAG HUYE HAIN KABHI?

HASEEN JALWA-REZ HUN
ADAEIN FITNA KHAIZ HUN

HAWAYEN ITAR-BEZ HON
TAU SHAUQ KYUN NA TEZ HON

NIGAAH-HAAYE FITNA GAR
KOI IDHAR KOI UDHAR

UBHAARTE HON AISH PAR
TAU KYA KARE KOI BASHAR?

CHALO JI QISSA MUKHTASAR
TUMHARA NUQTA-E-NAZAR

DURUST HO TAU HO MAGAR
ABHI TAU MAIN JAWAN HUN

LOK GEET,,,,MASLAN

ROOP KA PANGHAT, RAS KA SAGAR
PEET KI DORI, GEET KI GAAGAR
SUNDAR HAI SANSAR!
GHOONGHAT MEIN LAAJ HANSI
PANGHAT PE AAJ SAKHI
GAAGAR MEIN BOL UTHI
SAGAR SI PREEET SAKHI
MANN KA MILA MEET SAKHI
NAINON SE NAIN MILE
JAAG UTHI PREET SAKHI

GEET KAISE BANTA HAI

JAB DIL PAR THES LAGI HO GI
TAKHLEEQ-E-SHERR HUYEE HO GI
JAB DIL MEIN DARD UTHA HO GA
DHADKAN SE GEET UGAA HO GA

LOK GEET

JAB DIL PAR THES LAGTI HAI TAU GEET KE BOL JANAM LETE HAIN AUR JAB DIL MEIN DARD UTHTA HAI TAU DIL KI HAR DHADKAN GEET MEIN SANGEET BHAR DETI HAI.

ISS TARAH GEET AUR SANGEET SHARDA AUR SARASWATI KA ROOP DHARAN KAR LETE HAIN AUR PHIR JAN MANAVKE SUKH DUKH, PYAR PREET, REET-RIVAAJ, CHAAL-CHALAN, AACHAAR-BICHAAR, TEEJ-TYOHAAR, BHASH, SAHITYA, SABHAYATA, DHARM, AUR KALA KE AANGAN MEIN BEENA KE TAARON KI JHANKAR SE , LOK GEET KA ITIHAAS UBHARTA HAI.

GEET JAB SANGEET MEIN DHAL JAATA HAI TAB BHAVNAON PAR RAAJ KARNE LAGTA HAI. USS SAMAY DIL KISI QANOON KO NAHIN MAANTA BALKE EK NAI ICHCHA KI TADAP MEIN ZOR ZOR SE DHADAK UTHTA HAI.

LOK GEETON KA SAMBANDH SEEDHEMANAV KI BHAVNAON KE SAATH HOTA HAI.
LOK GEET UNN GEETON KO KEHTE HAIN JINHEIN GAAON MEIN LOG KHUSHI AUR MAUJ MEIN AA KAR GAATE HAIN, JINHEIN STREEYAN, BYAH- LAGAN KE DINON MEIN GAATI HAIN.

ANDAAZA TAU YAHI KEHTA HAI KE AARAMBH MEIN ANPADH MARD AURATON NE HI YEH GEET GADHE HON GE.YEH GEET UTNE HI PURAANE HAIN JITNE AADAM AUR HAWWA , SHIV AUR PARVATI AUR NAYE BHI UTNE HAIN KE JAISE SURAJ KI PEHLI KIRAN PHOOTI HO KE KALI NE CHATAK KAR SHABNAM KE JALTARANG PAR ALAAP CHEDA HO.

Monday, October 22, 2012

LOK GEET....JAVED VASHISHT

DIL, JO HAYAT-O-KAAYENAAT KA MARKAZ HAI, USS KE KISI GUMNAAM GOSHE MEIN EK MANDIR HAI. USSI MANDIR MEIN BRIJMAAN HAI EK DEVTA.
JAB DIL KI NAI-NAVELI, HASEEN-O-MASOOM, NARM-ONAAZUK DHADKANEIN
BANAO-SINHGAR KAR KE, PREET KE DEEP JALA KAR, AARTI KA THAAL SAJA KAR, MANN MANDIR KE DWAR PAR MADHUR SURON MEIN, CHANCHAL MANN KI CHAPAL TARANGON KA KOMAL SAAZ CHEDTI HAIN AAP HI AAP MANDIR KE PATT KHUL JAATE HAIN. DEVTA KI MANN MOHINI, MANOHAR MOORTI KI SUNDAR CHHAB DEKHTE HI DIL KI MATWALI DHADKANEIN, DEVDAASIYON KI TARAH JHOOM JHOOM KAR RAQS KARTI HAIN AUR LAHAK LAHAK KAR DEVTA KE GUNN GAATE HUYE AARTI UTAARTI HAIN. AARTI KE JHILMILATE DEEP, THIRAK THIRAK KE LAV DETE HUYE, DEVTA KI BALAYEN LETE HAIN. RANGARANG PHOOLON KI MULAYEM PANKHUDIYAN DEVTA KE QADMON MEIN RANGEEN TITLIYON KI TARAH THIRAKTI HAIN. AUR JAB PAYEL KE CHANAAKE  KE SAATH SANGEET KI GATT GALE MILTE HAIN TAU DRVTA KE SURKH TIKONE HONTON PAR MUSKAAN KI REKHA JAAG UTHTI HAI, DEVTA JAAG UTHTA HAI AUR PHIR WOH APNI BAANSURI MEIN EK AISA NAGHMA PHOONKTA HAI KE RAAG, KI AAG TEZ TAR HOTI JAATI HAI. SAB MIL KAR RAAS RACHAATE HAIN, NAACHTE HAIN GAATE HAIN. HAR TARAF RAAG, RANG AUR USS KI PHUWAAR PADNE LAGTI HAI. ISSI MANDIR MEIN LOK GEET JANAM LETE HAIN. YAHI DEVTA LOK GEETON KA JANAM-DAATA HAI. DIL KI YAHI NAAZUK DHADKANEIN GEETON MEIN DHAL JAATI HAIN.


KHIZAAN KE PED

LAAGHAR
KAMZOR
LAGTA HAI
JAISE
BINA KAPDON KE
KHADE HAIN
YEH PED
JIN PAR
KOI
PATTA BACHA HI NAHIN HAI
KIS SE POOCHEN
KAUN LE GAYA
PATTE INKE
KAHIN
HAWA KA
KAAM
TAU NAHIN HAI

MAZHAB KYA HAI

MAIN NE BACHPAN SE APNE MAAN BAAP SE SUN RAKHA THA KE DUNIYA KA HAR DHARM, HAR RELIGION, HAR MAZHAB, INSAAN KI BEHTARI KE LIYE HI BANA THA. MERE ABBA YEH BHI KAHA KARTE THE KE BETA INHI MAZHABON KE NAAM PAR INSAANON KA ITNA KHOON BAHA HAI KE AGAR USSE JAMA KAR LIYA JAYE TAU DUNIYA KE SAARE MANDIR, SAARI MASJIDEIN, SAARE GIRJA GHAR AUR SAARE GURDWARE USS MEIN DOOB JAAYEN.

BACHPAN SE HAMEIN IQBAAL KA WOH SHERR SUNAYA JAATA THA JO KUCH YUN HAI:

" DARD-E-DIL KE WAASTE PAIDA KIYA INSAAN KO
  WARNA TAA'AT KE LIYE KUCH KAM NA THE KARRO-BAYAN "

HUM NE TAU YAHI SEEKHA THA KE AGAR KHUDA KI MAKHLOOQ KA KHYAL RAKHA JAYE TAU KHAALIQ YAANI ALLAH BOHOT KHUSH HOTA HAI. AUR ISI LIYE HUM NE HAMESHA USSI KO MAZHAB MAANA....
AUR USSI KO MAZHAB SAMJHA HAI AUR MARTE DUM TAK SAMAJHTE RAHEN GE, ZAMAANA DUSHMAN HOTA HAI TAU BHALE HO JAYE............


urdu poetry...akbar ilahabaadi

har zarra chamkta hai anwar-e-ilahi se
har saans yeh kehti hai hum hain tau khuda bhi hai

suraj mein lage dhabba, fitrat ke karishme hain
butt hum ko kahen kaafir allah ki marzi hai

urdu poetry....daagh

nahin khel aye daagh yaaron se keh do
ke aati hai urdu zabaan aate aate



falak deta hai jin ko aish unko gham bhi hote hain
jahan bajte hain naqqare wahan maatam bhi hota hai



baat karni tak nahin aati thi tumhein
yeh hamare saamne ki baat hai


unhein nafrat huyee saare jahanse
nai duniya koi laye kahan se

MIRZA GHALIB...NA GUL

NA GUL-E-NAGHMA HUN NA PARDA-E-SAAZ
MAIN HUN APNI SHIKAST KI AWAAZ
TU AUR AARAISH -E-KHUM-E-KAAKUL
MAIN ANDESAH HAAYE DOOR DRAAZ

URDU POETRY...SAUDA

ISHQ SE TAU NAHIN HUN MAIN WAAQIF
DIL KO SHOLA SA KUCH LIPT-TA HAI




URDU POETRY....QAYEM CHAANDPURI

QISMAT TAU DEKH TOOTI HAI JAA KAR KAHAN KAMAND
DO CHAAR HAATH JAB KE LAB-E-BAAM REH GAYA





DUNIYA MEIN HUM RAHE TAU KAI DIN PE ISS TARAH
DUSHMAN KE GHAR MEIN JAISE KOI MEHMAAN RAHE

MAGARMACH KI DUA

JO BHI RAJNITI MEIN KOOD PADTA HAI WOH KISI MAGARMACH SE KAM TAU HOTA NAHIN HAI.
AAJ EK MAGARMACH NE AANKHEN BAND KAR KE KHUDA SE DUA MAANGI
AYE DUNIYA KE MAALIK, PAANI KO KHUSHK AUR KHUSHKI KO PAANI MEIN BADLNE WAALE. ZAMANA BEET GAYA HAMARI NADI SOOKHTI JAA RAHI HAI.HAMEIN EK HI NADI KE BAASI KEHLANA THA LEKIN HUM ALAG ALAG TAAPUON MEIN BANT GAYE HAIN. AYE QATRE SE DARIYA BAHANE WAALE AUR NADIYON KO SAMUNDER MEIN MILANE WAALE....HAMARI ISS SOOKHI NADI MEIN KISI SOORAT BADH KA SAMAAN PAIDA KARDE TTAKI HUM JO CHOTE CHOTE JAZEERON MEIN BANT GAYE HAIN PHIR
ISI NADI MEIN GHUL MIL JAAYEN. PHI EK HO JAAYEN.

MAGARMACH DUA KHATAM KAR KE AANKHEN MOONDE MENDAKON KE AAMEEN KEHNE KA INTEZAAR KARTA RAHA MAGAR JAB DER TAK KOI AWAAZ NAHIN AAYEE TAU USS NE AANKHEN KHOL KAR DEKHA TAU PAAYA ASS PAAS KE TAAPOO KHALI PADE THE AUR SAARE MRNDAK NADI KE KAM-KAM GADLE AUR BADBOODAR PANI MEIN DUBKIYAN LAGA CHUKE THE.

Sunday, October 21, 2012

CHUTTI KE DIN

CHUTTI KE DIN
BHI
FURSAT NAHIN MILTI
GHAR MEIN TAAKEED MILTI HAI
AAJ KAHIN BAHAR NA JAANA
KISI BAHAR WALE SE
NA MILNA
YEH BHI KARNA HAI
WOH BHI KARNA HAI
AAKHIR
HAMARA BHI
TAU KOI HAQ
HAI
TUM PAR

CHAURAHE PAR TANGA AADMI

SHRI KEJRIWAL KI APNE PURANE SAATHIYON KE SAATH JUYEE TU TU MAIN MAIN LO DEKH KAR MUJHE URDU AFSANA NIGAR ANWER QAMAR KE AFSANE CHAURAHE PAR TANGA AADMI KE KUCH HISSE YAAD AA GAYE AAP SAB KE LIYE REPRODUCE KAR RAHA HUN
 " KUCH KUCH KAHO
WO SAB EK ZABAN HO KAR BOLE
MAIN KYA KAHUN? MAIN KYA KAHUN?MERE GALE MEIN PHANDA PADA HAI. HAATH PUSHT PAR BANDHE HAIN, AUR PAIRR HARKAT KARNE SE MAAZOOR HAIN. MAIN TAU ISHAARON MEIN BHI BAAT NAHIN KAR SAKTA. AUR NA HI YAHAN SE KISI DOOSRI JAGAH MUNTAQIL HO SAKTA HUN
TUM KAHAN JAANA CHAHTE HO? TUM KAHAN JAANA CHAHTE HO? UNN SABHON NE CHAURAHE PAR LATKE AADMI SE POOCHA.
TUM HI BATAO TUM SAB KAHAN JAANA CHAHTE HO?
USS NE WAHI SAWAL UNN SE KAR DIYA
HUM KAHAN JAANA CHAHTE HAIN? WO SAB EK DOOSRE SE DARYAFT KARNE LAGE.
CHAURAHE PAR TANGE AADMI NE EK QAHQAHA LAGAYA HA  HA  HA, JAB TUMHEIN KHUD HI NAHIN MALOOM KE TUM KAHAN JAANA CHAHTE HO TAU YEH SAWAL MUJH SE KYUN KIYA ? APNE AAP SE HI POOCH LETE.

Friday, October 19, 2012

MIRZA GHALIB...VAFA KAISI...

VAFA KAISI, KAHAN KA ISHQ, JAB SAR PHODNA THEHRA
TAU PHIR, AYE SANG DIL , TERA HI AASTAN KYUN HO

QAFAS MEIN MUJH SE ROODAAD-E-CHAMAN KEHTE NA DARR HUMDAM
GIRI HAI JIS PE KAL BIJLI, WOH MERA AASHIYAN KYUN HO

YEH FITNA AADMI KI KHAANA VEERANI KO KYA KAM HAI
HUYE TUM DOST JIS KE, DUSHMAN USS KA AASMAN KYUN HO

MIRZA GHALIB...ZIKR USS PARI WASH KA...

ZIKR USS PARI WASH KA AUR PHIR BYAN APNA
BAN GAYA RAQEEB AAKHIR, THA JO RAAZDAN APNA

HUM KAHAN KE DAANA THE, KIS HUNAR MEIN YAKTA THE
BE-SABAB HUA GHALIB, DUSHMAN AASMAN APNA

MIRZA GHALIB....ZINDAGI YUN BHI....

ZINDAGI YUN BHI GUZAR HI JAATI
KYUN TERA RAAHGUZAR YAAD AAYA

KOI VEERANI SI VEERANI HAI
DASHT KO DEKH KE GHAR YAAD AAYA

MAIN MAJNUN PE LADAKPAN MEIN ASAD
SANG UTHAYA THA KE SAR YAAD AAYA

AGAANA LUCKNAVI...KYA KARUN...

KAABE KI TARAF DOOR SE SIJDA KAR LUN
YA DAIR KA AAKHIRI NAZARA KAR LUN
KUCH DER KI MEHMAAN HAI JAATI DUNIYA
EK AUR GUNAAH KAR LUN KE TAUBA KAR LUN?

YAGAANA LUCKNAVI...DONO PALLE BHAR GAYE

APNI HADD SE GUZAR GAYE AB KYA HAI
MANJDHAAR SE PAAR UTAR GAYE AB KYA HAI
AYE SHAUQ-E-VISAAL, AYE TAMANNA-E-SUKOON
DONON  PALLE BHAR GAYE AB KYA HAI

YAGAANA LUCKNAVI...MURDA DIL

DIL HO MURDA TAU ZINDAGAANI BHI HARAAM
PEERI KA ZIKR KYA, JAWANI BHI HARAAM
AFSANA-E-UMR-E-JAWEDANI BHI HARAAM
AAB-E-HAIWAN KAHAN KA? PAANI BHI HARAAM