Saturday, September 15, 2012

KHOON PHIR KHOON HAI...SAHIR LUDHIANVI

ZULM PHIR ZULM HAI, BADHTA HAI TAU MIT JAATA HAI
KHOON PHIR KHOON HAI. TAPKE GA TAU JAM JAYE GA

KHAA-E-SEHRA PE JAME, YA KAF-E-QAATIL PE JAME
FARQ-E-INSAAF PE, YA PA-E-SALAASIL PE JAME
TEGH-E-BEDAAD PE, YA LAASHA-E-BISMIL PE JAME
KHOON PHIR KHOON HAI, TAPKE GA TAU JAM JAYE GA

LAAKH BAITHE KOI CHUP CHUP KE MAKEEN GAAHON MEIN
KHOON KHUD DETA HAI JALLADON KE MASKAN KA SURAAGH
SAAZISHEN LAAKH UDHATI RAHEN ZULMAT KE NAQAAB
LE KE HAR BOOND NIKALTI HAI HATHELI PE CHIRAAGH

ZULM KI QISMAT-E-NAAKARA-O-RUSWA SE KAHO
JABR KI HIKMAT-E-PUR KAAR KE EEMA SE KAHO
MEHMIL-E-MAJLIS-E-AQWAAM KI LEELA SE KAHO

KHOON DEEWANA HAI, DAAMAN PE TAPAK SAKTA HAI
SHOLA-E-TUND HAI, KHIRMAN PE LAPAK SAKTA HAI

TUM NE JIS KHOON KO MAQTAL MEIN DABAANA CHAAHA
AAJ WOH KOOCHA-O-BAAZAR MEIN AA NIKLA HAI
KAHIN SHOLA, KAHIN NAARA, KAHIN KHANJAR BAN KE

KHOON CHALTA HAI TAU RUKTA NAHIN SANGEENON SE
SAR UTHATA HAI TAU DABTA NAHIN AAINON SE

ZULM KI BAAT HI KYA, ZULM KI AUQAAT HI KYA?
ZULM BAS ZULM HAI AAGHAZ SE ANJAAM TAK

KHOON PHIR KHOON HAI, SO SHAKAL BADAL SAKTA HAI
AISI SHAKLEN KE MITAO TAU MITAYE NA BANE
AISE SHOLE KE BUJHAO TAU BUJHAYE NA BANE
AISE NAARE KE DABAAO TAU DABAYE NA BANE

No comments:

Post a Comment