Monday, September 24, 2012

URDU POETRY,,BAHADUR SHAH ZAFAR,,NA KISI KI

NA KISI KI AANKH KA NOOR HUN NA KISI KE DIL KA QARAAR HUN
JO KISI KE KAAM NA SAKE MAIN WOH EK MUSHT-E-GHUBAAR HUN

MERA RANG ROOP BIGAD GAYA, MERA YAAR MUJH SE BICHAD GAYA
JO CHAMAN KHIZAN SE UJAD GAYA MAIN USI KI FASL-E-BAHAAR HUN

DE FAATEHA KOI AAYE KYUN, KOI CHAAR PHOOL CHADAYE KYUN
KOI AA KE SHAMA JALAYE KYUN, MAIN WOH BEKASI KA MAZAAR HUN

NA TAU MAIN KISI KA HABEEB HUN NA TAU MAIN KISI KA RAQEEB HUN
JO BIGAD GAYA WOH NASEEB HUN JO UJAD GAYA WOH DAYAAR HUN

1 comment:

  1. ye Ghazal Bahadur Shah "Zafar kii nahiiN hai..ye Ghazal "Muztar Khairabadi kii hai jo JaaN Nisaar AKhtar ke vaalid aur Jawed AKhtar ke daada-huzoor the...is Ghazal ka maqta dekhiye..

    na maiN "Muztar" un kaa habeeb hooN, na maiN "Muztar" un kaa raqeeb hooN
    jo bigaR gayaa vo naseeb hooN, jo ujaR gayaa vo diyaar hooN

    ReplyDelete