Wednesday, September 12, 2012

URDU POETRY, TOPIC; BARSAT

GHIR KE AAKHIR AAJ BARSI HAI GHATA BARSAT KI
MAIKADON MEIN KAB SE HOTI THI DUA BARSAT KI...HASRAT MOHANI

HAWAYEN MUSKURATI JAA RAHI HAIN
GHATAYEN LADKHADATI JAA RAHI HAIN...MAAHIRUL QADRI

GHATA BHI CHAI HAI FASL-E-BAHAR HAI SAQI
AB ISS KE BAAD TUJHE IKHTIYAAR HAI SAQI...MAHIRUL QADRI

ILAAHI KHAIR HO KAALI GHATAON NE KIYA MAATAM
SURAHI MAIKADE MEIN HICHKIYAN LE-LE KE ROTI HAI...MUKESH KASHMIRI

HAI HAWA MEIN SHARAB KI TAASEER
BAADA NOSHI HAI BAAD-E-PAIMAAI...GHALIB

No comments:

Post a Comment