Wednesday, September 26, 2012

URDU POETRY...SALEEM KAUSAR

MAIN KHYAAL HUN KISI AUR KA, MUJHE SOCHTA KOI AUR HAI
SAR-E-AAINA MERA AKS HAI PAS-E-AAINA KOI AUR HAI

MAIN KISI KE DAST-E-TALAB MEIN HUN TAU KISI KE HARF-E-DUA MEIN HUN
MAIN NASEEB HUN KISI AUR KA, MUJHE MAANGTA KOI AUR HAI

WAHI MUNSIFON KI RAVAYETEIN, WAHI FASEELON KI IBAARATEIN
MERA JURM TAU KOI AUR THA PE MERI SAZAA KOI AUR HAI

JO MERI RIYAZAT-E-NEEM SHAB KO SALEEM SUBAH NA MIL SAKI
TAU PHIR ISS KE MAANI TAU YEH HUYE KE YAHAN KHUDA KOI AUR HAI

No comments:

Post a Comment