Tuesday, September 18, 2012

AASAN KAAM NAHIN HAI VIGYAPAN KA NIRMAAN

APNE 35 BARAS KE ANUBHAV KE SAHAARE MAIN ISS NATEEJE PAR PAHUNCHA HUN KE BHARAT MEIN VIGYAPAN KE VYAVSAYE SE JUDE HAR VYAKTI KI EK HI SAMSAYA HAI, AUR WOH HAI ISS SANSAR MEIN HAR VYAKTI KE DO VYAVSAYE HONA.

JEE HAAN, ISS SANSAR MEIN HAR VYAKTI KE DO PESHE HOTE HAIN. EK, WOH JIS SE WOH VYAKTI SWAYAM JUDA HOTA HAI AUR DOOSRA PESHA HOTA HAI VIGYAPAN-BAAZI. HAR VYAKTI KO LAGTA HAI KE WOH KHUD HI VIGYAPAN KE KSHETRA MEIN MAAHIR HAI. USS KA VICHAAR HOTA HAI KE VIGYAPAN AAKHIR, HOTA HI KYA HAI, EK TASVEER AUR EK NAARE KE ILAAVA. EK PICTURE KHOJ LO. EK ACHCHA-BURA NAARA LIKH LO, BAS HO GAYA VIGYAPAN TAYYAR. TAB HI TO VIGYAPAN KE JIS ABHIYAN KO ADVRTISING AGENCIYAN MAHEENO KE PARISHRAM KE BAAD TAYYAR KARTI HAIN , UNHEIN UNKE CLIENT YA PHIR UNKI PATNIYAN YA PHIR GHAR KE NAUKAR-CHAAKAR TAK MINTON MEIN HI TEHAS-NEHAS KAR KE RAKH DETE HAIN.

JO LOG, VIGAYAPAN KE VYAVSAYE SE JUDE HAIN AUR SAHI ARTHON MEIN VAYVSAYIK HAIN, JAANTE HAIN KE EK NAARA AUR EK TASVEER TAK PAHUNCHNE MEIN KITNI TEHQEEQAT KARNE KI ZAROORAT HOTI HAI.JIS UTPAAD KA VIGYAPAN KARNA HOTA HAI, USS KE BAARE MEIN LAGBHAG SAB KUCH JAANNA AURR SAMJHNA PADTA HAI, MERI RAI MEIN VIGYAPAN KA VYAVSAYE 

No comments:

Post a Comment