Saturday, June 27, 2015

Be-Basi Parveen Shakir


barish ne zamee'n par paao'n dhara 
Khushboo khanki, ghunghroo chanka
Lehrai hawa, behki barkha 
Kya jaaniye kya mitti se kaha
Dar aai shareer mein ek nadiya 
Kis orr chali, dayya dayya !
Kis ghaat lagu'n re purwaiyya 
Saara jag jal aur mai'n nayya!

Parwarda'h Parveen Shakir


Log kehte hai'n in dino'n chup hai
Mera qaafile --
Ke uss ke khanjar ko
Dhone waali kaneez 
Chhup chhup kar
Ab lahu ko zabaa'n se chaat'ti hai !

Gila Parveen Shakir

aye khuda
Meri awaaz se sahiri cheen kar
Tu ne saa'npo'n ki basti mein kyu'n mujh ko paida kiya !

Ghazal Parveen Shakir

jaga sake na tere lab, lakeer aisi thi
Hamare bakht ki rekha bhi Meer aisi thi

Yeh haath choome gaye, phir bhi be-gulab rahe
Jo rut bhi aai, khizaa'n ke safeer aisi thi

Woh mere paao'n ko choone jhuka tha jis lamhe
Jo maangta usse de deti, ameer, aisi thi

Shahadate'n mere haq mein tamaam jaati thi'n
Magar khamosh thay munsif, nazeer aisi thi

Kutar ke jaal bhi sayyad ki raza ke baghair
Tamaam umr na udti, aseer aisi thi

Phir uss ke baad na dekhe visaal ke mausam
Judaiyo'n ki ghadi, chashn-geer aisi thi

Bas ek nigaag mujhe dekhta, chala jaata
Uss aadmi ki mohabbat faqeer aisi thi

Rida ke saath lutere ko zaad-e-reh bhi diya
Teri farakh-dili mere veer aisi thi

Wednesday, June 24, 2015

ghazal Vaali Aasi

Mohabbato'n ki ada ke siwa kuch aur nahi'n
Faqeer ke paas dua ke siwa kuch aur nahi'n

Yaqee'n na ho tau kabhi aazma ke dekh hame'n
Hamare paas vafa ke siwa kuch aur nahi'n

Hame'n khabar hai ke sach bolna zaroori hai
Magar nateeja saza ke siwa kuch aur nahi'n

Dhadak raha hai Jo dil ban ke tere seene mein
Mere azeez, khuda ke siwa kuch aur nahi'n

Jidhar chiraagh liye jaa rahe ho aye Vaali
Udhar tau yaar hawa ke siwa kuch aur nahi'n 

Ghazal Mahir-Ul-Qadri

Jaam bhar-bhar ke woh chalkaye tau kuch she'rr Kano
Zindagi raqs mein aa jaaye tau kuch she'rr kaho

Brahaman paas nahi'n aaye tau kuch she'rr kaho
Shaikh mahfil se nikal jaaye tau kuch she'rr kaho

Mere maahaul pe taari hai t'assub ka ghubar
Aadmi saaf nazar aaye tau kuch she'rr kaho

Rooh-e-insaa'n pe hai gard-e-gham-e-dauraa'n ab tak
Chhand badli se nikal aaye tau kuch she'rr kaho

Ghazal Shameem Jaipuri

Har ek lamha shab-e-gham hai kya kijiye
Ummeed-e-sehar bohot kam hai kya kijiye

Khayal-e-doori-e-manzil tau kuch nahi'n aye dil
Magar hayat bohot kam hai kya kijiye

Tumhari yaad mein aalam ko bhool baitha hu'n
Tum hi batao yeh aalam hai kya kijiye

Sukoon-e-dil se mujhe dushmani nahi'n lekin
Bohot azeez tera gham hai kya kijiye

Samo liye hai'n zamaane ke gham tabassum mein
Zamaana iss pe bhi barhum hai kya kijiye

Meri khushi se mere dosto'n ko gham hai Shameem
Mujhe bhi iss ka bohot gham hai kya kijiye

Friday, June 12, 2015

Khumar Baarabankavi Ghazal 3


haal-e-dil un ko sunate jaaiye 
Shart yeh hai muskurate jaaiye

Aap ko jaate na dekha jaaye ga
In chiraagho'n ko bujhate jaaiye

Dushmano'n se pyaar hota jaaye ga
Dosto'n ko aazmate jaaiye

Shukriya lutf-e-musalsal ka magar 
Gaahe-gaahe dil dukhate jaaiye

Raushni mehdood ho Jin ki Khumar
Unn chiraagho'n ko bujhate jaaiye

Khumar Baarabankavi Ghal 2

hum unhe'n woh hame'n bhula baithe
Do gunaahgar zehar kha baithe

Aa'ndhiyo, jaao ab karo aaram
Hum khud apna diya bujha baithe

Jii tau halka hua magar yaaro
Ro ke hum luff ga'nwa baithe

Be-saharo'n ka aasra hi kya
Ghar mein ghabraye, dar pe as baithe

Hashr ka din abhi hai door Khumar
Aap kyu'n zaahido'n mein aa baithe

Khumar Baarabankavi Ghazal 1

yeh misr'aa nahin hai vazeefa mera hai
Khuda hai mohabbat, mohabbat khuda hai

Kahu'n mai'n yeh kaise ke woh bewafa hai
Mujhe uss ki majbooriyo'n ka pata hai

Hawa ko bohot sarkashi ka nasha hai
Magar yeh na bhoole diya bhi diya hai

Nazar mein hai jalte makaano'n ka manzar
Chamakte hai'n jugnu tau dil kaa'npta hai

Guzarta hai har shakhs chehra chupaye
Koi raah mein aaina rakh gaya hai

Kaha'n tu khumar aur kaha'n jurm-e-tauba
Tujhe paarsao'n ne behka diya hai

She'rr Ke Sau Rang 2

chal aye humdum, zara saaz-e-tarab ki ched bhi sun le'n
Agar dil baith jaaye ga tau uth aaye'n ge mahfil se
Saaqib Lakhnavi

Suna hai phir mere zauq-e-nazar ki aazmaish hai
Unhe'n manzoor phir qalb-o-jigar ki aazmaish hai
Saghar Nizami

Kuch safeeno'n ke muqaddar mein ho sahil shayed
Har safeene ke muqaddar mein kinaara tau nahi'n
Mohsin Kaakorvi

Na de ilzam bad-masti ka, ek uftaad tha saaqi
Mera girna, bhare saghar ka chakna-choor hona
Shaad Azimabadi

Tumhari qasam haasil-e-zindagi thay
Woh kuch din jo hum tum ne baahaum guzaare
Lutfa Rizwan

Jab se baitha hu'n mai'n raazi ba mashiyyat ho kar
Mujh pe aafat bhi koi aai tau rehmat ho kar
Majzoob

Mai'n khaak-nashee'n hu'n mera maslak hai faqeeri
Duniya mein koi arsh-nashee'n hai tau mujhe kya
Rifat Sultan

Hai nai nai si manzil hai'n naye naye se rehbar
Kahi'n tu bichad na jaana mere saath-saath chal ke
Khumar Baarabankavi

Baad parvaano'n ke hoti gai'n shame'n bhi khamosh
Kaun karta hai shaheedan-e-wafa ka maatam
Bashar Nawaz

Diya khamosh hai lekin kisi ka dil tau jalta hai
Chale aao jaha'n tak raushni maloom hoti hai
Nushoor Wahidi

Lab band, gum havaas, tahayyur nigah mein
Tasveer ban gaya hu'n teri jalwa-gaah mein
Kaif Tonki

Sach ghate ya badhe tau sach na rahe
Jhoot ki koi intiha hi nahi'n
KishnBihariNoor

Itna tau mujhe yaad hai, kuch uss ne kaha tha
Kya uss ne kaha tha? yeh mujhe yaad nahi'n
Nisar Ahmed

Soz Sikandarabadi

Munh na takiye mera waqt hai mukhtasar, zindagi maut se ab badal jaaye gi
Aakhiri waqt hai muskura dijiye kuch tau dil ki tamanna nikal jaaye gi

Mauj sar kham kare, sard toofa'n pade khud-bakhud meri jaanib kinaara badhe
Aap agar nakhuda ban ke aa jaaye'n tau kishti-e-dil bhanwar se nikal jaaye gi

Teri pehli nazar jhoom kar jab uthi khoon badhne laga zindagi hans padi
Kya khabar thi wahi ek pal ki ha'nsi ek din aa'nsuo'n mein badal jaaye gi

Har kali ko hai maaloom yeh falsafa pooch lene ki zahmat gawara kare'n
Aap naaza'n hai'n iss aarizi cheez par ek din yeh jawani bhi dhal jaaye gi

Naaseha teri har baat manzoor hai phir bhi mai'n apni fitrat se majboor hu'n
Dekh kar charkh par kaali kaali ghata kya karu'n ga jo niyat badal jaaye gi

Aqal hairan hai dil pareshan hai jis ka imkaa'n nahi'n baat ho gi woh kya
Kya yeh mumkin hai aye Soz iss daur mein yeh zamee'n aasma'n ko nigal jaaye gi

Thursday, June 11, 2015

Ghazal Raaz Illahbadi


 aashiya'n jal gaya gulista'n lut gaya, ab qafas se nikal kar kidhar jaaye'n ge 
Itne maanoos sayyad se ho gaye, ab rihaii mile gi tau marr jaaye'n ge

Aur kuch din yeh dastoor-e-maikhana hai tishna-kaami ke yeh din guzar jaaye'n ge
Mere saaqi ko nazre'n uthaane tau do jitne khaali jaam hai'n sab jaam bhar jaaye'n ge

Aye naseem-e-sahar tujh ko unn ki qasam unn se jaa kar na kehna mera haal-e-gham
Apne mitne ka gham tau nahi'n hai magar darr yeh hai unn ke gesu bikhar jaaye'n ge

Ashk-e-gham le ke aakhir kaha'n jaaye'n hum aa'nsuo'n ki yaha'n koi qeemat nahi'n 
Aap hi apna daaman badha dijiye warna yeh moti zamee'n par bikhar jaaye'n ge

Maut awaaz deti hai shayed unhe'n jaane waale hai'n duniya se ahl-e-wafa 
Raaz, aise mein koi ghazal ched de qaafile zindagi ke thahar jaaye'n ge

Ghazal Khaleel-ur-Rehman Azmi

kaisi junoo'n Ki fasal hai ab ke kaisa hai yeh ishq ka mausam
Maut ka nasha halka halka, gham ki hawaye'n maddham maddham

Mai'n bhi wahi hu'n tu bhi wahi hai phir bhi na jaane kaisi kami hai
Meri aa'nkhe'n veera'n veera'n tera chehra mubham mubham

Koi kahani ched ke chup hai beete huye lamho'n ki khushboo
Meethi meethi dil mein kasak hai jaise adhure vasl Ki shabnam

Aks sa apna chod gaya hai jab se koi husn sarapa
Saari fazaye'n raqs-e-musalsal saari khalaye'n naghma-e-paiham

Shola-e-gul ke nazaaro'n se aur aa'nkho'n ki pyas badhi
Jii mein hai palko'n pe utha ke rakh lu'n ik ik Qatar-e-shabnam