Tuesday, September 25, 2012

VIGYAPAN---KYA JHOOTH KYA SACH

VIGYAPANON KO LE KAR AAM JANTA KE MANN MEIN KAI BHRANTIYAN HAIN, YEH BHRANTIYAN, ASAL MEIN VIGYAPAN AALOCHAKON KI DEN HAIN. AAIYE, DEKHEN KE JHOOTH KYA HAI AUR SACH KYA.

BHRANTI: ADHIKTAR VIGYAPAN JHOOTHE, BADHE-CHADHE AUR DHOKA DENE WAALE HOTE HAIN.

SACH: AISE VIGYAPAN UTPAADAK KE LIYE AATM-HATYA KARNE KE BARABAR HOTE HAIN KYUNKI UPBHOKTA KO EK BAAR HI MOORKH BANAYA JAA SAKTA HAI, BAAR-BAAR NAHIN.

BHRANTI: VIGYAPANON KE KAARAN AAM JEEVAN MEIN AISI AAVSHAYKTAON KA PADARPAN HOTA HAI JIN KA PEHLE KOI ASTITVA NAHIN THA.

SACH: VIGYAPAN KABHI BHI KISI NAYEE AAVASHAYKTA KO JANAM NAHIN DE SAKTE HAIN. VIGYAPAN KEVAL AVIKSIT ABHILASHAON KO HI VIKSIT KARTE HAIN. AGAR KOI UTPAAD VARTAMAAN AAVASHAYKTA PAR KHARA NA UTRE YA KISI ABHILASHA KO POORA NA KARE TAU USS KA BAZAAR MEIN TIK PAANA SAMBHAV HI NAHIN HAI.

BHRANTI: BADI COMPANIYON KE VIGYAPANON KE KAARAN NAI AUR CHOTI IKAIYON KO BAZAAR MEIN PRAVESH NAHIN MIL PAATA HAI.

SACH: VIGYAPAN HI WOH MADHYAM HAI JIS KE SAHARE NAI IKAIYAN BAZAAR MEIN PADARPAN KARTI HAIN. EK DOOKANDAAR APNE KSHETRA MEIN UTNI HI DHOOM-DHAAM SE VIGYAPAN KAR SAKTA HAI JITNI DHOOM-DHAAM SE RASHTRIYA STAR KE UTPADAK KARTE HAIN.

BHRANTI: VIGYAPAN SE EKADHIKAAR KO BADHAVAA MILTA HAI.

SACH: UTPAADAK CHAHE JITNA VIGYAPAN KAR LE, WOH KABHI BHI SAARE BAAZAR PAR APNA ADHIKAAR NAHIN BANA PAAYE GA, BALKI EK STAR TAK VIGYAPAN ABHIYAN CHALA LENE KE BAAD SAARI PRAKIRYA LAGBHAG ULTI HONE LAGTI HAI AUR NAYE PRATISPARDHIYON KO BAZAAR MEIN PRAVESH KARNE KE AVSAR MILTE HAIN. SANCHAR MADHYAMON MEIN BIKNE WAALE VIGYAPAN STHANON AUR SAMAY PAR KISI KA BHI EKADHIKAAR NAHIN HAI AUR NA HI NAYE IDEA KISI KI BAPAUTI HAIN. 

No comments:

Post a Comment