Friday, September 7, 2012

URDU POETRY.........DOSTI

ZINDAGI KE UDAAS LAMHON MEIN
BEWAFA DOST YAAD AATE HAIN...FAIZ AHMED FAIZ


HAMEIN BHI AA PADA DOSTON SE KAAM KUCH YAANI
HAMARE DOSTON KE BEWAFA HONE KA WAQT AAYA...HARI CHAND AKHTAR

HUM BHI DUSHMAN SE HO GAYE APNE
AAP NE JAB SE DOSTI KAM KI....FIRAQ GORAKHPURI

DOSTI KA JO KIYA KARTE HAIN DAAVA-E-AHBAAB
WAQT PADTA HAI, SAB AANKH CHURA LETE HAIN...AKBAR

DAUR-E-HAAZIR KI DOSTI EHSAAN
KIS QADR JALD RANG BADALTI HAI...EHSAAN DAANISH

AYE DOST HUM NE TARK-E-MOHABBAT KE BAWAJOOD
MEHSOOS KI HAI TERI ZAROORAT KABHI KABHI...NASIR KAAZMI


No comments:

Post a Comment