Tuesday, September 25, 2012

MEER TAQI MEER...ULTI HO GAYEEN...

ULTI HO GAYEEN SAB TADBEEREIN KUCH NA DAWA NE KAAM KIYA
DEKHA? ISS BEEMARI-E-DIL NE AAKHIR KAAM TAMAAM KIYA

( ALL MY PLANS HAVE GONE AMISS, ALL REMEDIES HAVE FAILED
   LO, THIS ACHE OF HEART, AT LAST, HAS CUT SHORT MY LIFE )

NA HAQ HUM MAJBOORON PAR YEH TOHMAT HAI MUKHTAARI KI
CHAHTE HAIN SO AAP KAREIN, HUM KO ABAS BADNAAM KIYA

( WHY ARE WE, THE HELPLESS MORTALS, ACCUSED OF HAVING SOVEREIGN WILLS
   WHY ARE WE UNJUSTLY BLAMED, WHEN ONLY YOUR WILL PREVAILS? )

YAAN KE SAPEED-O-SIYAH MEIN HUM KO DAKHAL JO  HAI SO ITNA HAI
RAAT KO RO-RO SUBAH KIYA AUR DIN KO JUN TUN SHAAM KIYA

( IN THE BLACK AND WHITE OF LIFE, THIS IS OUR ONLY ROLE
  TO CRAWL, SOMEHOW, FROM DAY TO NIGHT, WITH TEARS THE LIGHT TO DAY )

MEER KE DEEN-O-MAZHAB KO AB POOCHTE KYA HO UNN NE TAU
QASHQA KHEENCHA, DAIR MEIN BAITHA, KAB KA TARK ISLAAM KIYA

( WHY ASK OF MEER'S CREED, HE HAS SINCE RENOUNCED ISLAAM
   HIS BROW SUPPORTS A SACRED MARK, A TEMPLE IS HIS HERMITAGE )

2 comments: