Wednesday, September 12, 2012

URDU POETRY, TOPIC; KHUDI--SELF RESPECT

KHUDI KO KAR BULAND ITNA KE HAR TAQDEER SE PEHLE
KHUDA BANDE SE KHUD POOCHE BATA TERI RAZA KYA HAI...IQBAL

RAAH-E-KHUDDAARI SE MAR KAR BHI BHATAK NAHIN SAKTE
TOOT TAU SAKTE HAIN HUM LEKIN LACHAK NAHIN SAKTE...JOSH

DIL HAMARA JAZBA-E-GHAIRAT KO KHO NAHIN SAKTA
HUM KISI KE SAAMNE JHUK JAYEN HO NAHIN SAKTA...JOSH

KHUDI KA RAAZDAN HO KAR KHUDI KI DAASTAN HO JA
JAHAN SE KYA GHARAZ TUJH KO, TU AAP APNA JAHAN HO JA...ARSH MULSIANI

VAFA KAISI KAHAN KA ISHQ JAB SAR PHODNA THEHRA
TAU PHIR AYE SANGDIL TERA HI SANG-E-AASTAN KYUN HO...GHALIB

No comments:

Post a Comment