Thursday, September 27, 2012

JANAM JANAM KE RISHTE...EK AFSAANA

USS SE MERI MULAAQAT , EK AISI HI SHAAM HUYEE THI.WOH EK HASEEN SHAAM THI. SOORAJ DHEERE-DHEERE PASCHIM KI ORR APNE PAIR BADHA RAHATH. SAMUNDAR KE KINARE KUCH LOG CHAHAL-QADMI KAR RAHE THE, UNN DINO SAMANDAR KINARE ITNI BHEED NAHIN HUA KARTI THI KE DUM GHUT JAAYE JABKE LOG SAMANDAR KINARE TAAZA HAWA LENE JAATE HAIN.

KUCH CHAAT KHA RAHE THEAUR KUCH LOG THANDI RET PAR BATHDI THANDI-THANDI HAWAON KA AANAND LE RAHE THE.MAIN, GEELI RET PAR AAHISTA AAHISTA QADAM JAMATA CHALA JAA RAHA THA.HAATH MEIN CIGRATTE THA JO BAAR-BAAR MERE HONTON SE LAGTA AUR PHIR DHUAN HONTON SE NIKAL KAR HAWA MEIN CHAARON ORR PHAILNE LAGTA. USS ROZ SHAAM BHI KHUSGAWAR THA AUR MERA MOOD BHI KAAFI ACHCHA THA.

KUCH DER BAAD POORA SOORAJ PAANI MEIN GHAYEB HO GAYA. ANDHERA CHAARON ORR PHAIL GAYA. MAIN NE APNE QADAM SADAK KI ORR BADHAYE,\. ABHI MAIN MUSHKIL SE DO-CHAAR QADAM HI BADHAYE THE KE WOH MUJHE NAZAE AAYEEWAISE TAU MAIN USSE PEHLI BAAR DEKH RAHA THALEKIN MUJHE LAGA JAISE MAIN USSE BARSON SE JAANTA HUN.AKSAR AISA HOTA HAI KE KE HUM KISI KO PEHLI BAAR DEKHTE HAIN LEKIN AISA LAGTA HAI JAISE HUM USSE EK MUDDAT SE JAANTE HON. HO SAKTA HAI SHAYED YAHI PICHLE JANAM KE RISHTE KI BAAT HO.

MUJHE BHI AISA LAGA JAISE MAIN EK NAHIN KAI JANMON SE USS KO JAANTA HUN. HALKI GULAABI QAMEEZ AUR SAFED CHOODI-DAAR AUR GULABI DUPATTE MEIN USS KA GULAB SA CHEHRA MAIN NE DEKHA TAU DEKHTA HI REH GAYA. USS NE BHI MUJHE UCHAT-TI NAZRON SE DEKHA AUR AAGE BADH GAYEE.

USS KE BBAAD MAIN GHAR AA GAYA. ISS GHATNA KO KAI DIN BEET GAYE. MAIN BHOOLA TAU NAHIN THA LEKIN KUCH BEKHABRI KA AALAM THA. JAISE HUM AKSAR KISI BAAT KO BHOOLTE NAHIN HAIN LEKIN WOH HAR WAQT HAMARE DIMAAGH PAR CHAAYEE NAHI  REHTI HAI.

SUBAH-SAVERE MAIN TAYYAR HO KAR OFFICE JAANE KE LIYE GHAR SE NIKLA HI THA KE MUJHE SADAK PAR WOH PHIR NAZAR AA GAYEE . ULJHE-ULJHE BAAL, NEEND MEIN DOOBI AANKHEN AUR KAPDON PAR PADI SHIKAN KEH RAHI THI KE KE USS KA GHAR WAHAN SE DOOR NAHIN THA, WOH KAHIN AAS-PAAS HI REHTI THI AUR SUBAH-SUBAH TAYYAR HUYE BINA HI KISI KAAM SE NIKAL PADI HAI.

....TO BE CONTINUED

No comments:

Post a Comment