Tuesday, April 30, 2013

Urdu Poetry... Jigar Moradabadi

Woh jo roothen, yun manana chahiye
Zindagi se rooth jaana chahiye
Himmat-e-qaatil badhana chahiye
Zer-e-khanjar muskurana chahiye

Urdu Poetry... Seemab Akbarabadi --3

Shauq-e-jamaal dost jo hadd se siwa diya
Aaina kyun na mujh ko khuda ne bana diya
Tafseel yeh hai meri hayat aur maut ki
Mitti ka ek naqsh banaya, mita diya

Urdu Poetry... Seemab Akbarabadi -2

Kyun mere tark-e-baadah pe tujh ko yaqeen nahin
Saaqi tere labon ki qasam kha raha hun main
Seemab, kis ne arsh se awaaz di mujhe
Keh do ke intezaar kare, aa raha hun main

Urdu Poetry... Seemab Akbarabadi

Yeh kis ne shaakh-e-gul laa kar qareeb-e-aashiyan rakh di
Ke main ne shauq-e-gul-bosi mein kaanton par zaban rakh di
Khuloos-e-dil se jo sijda ho, uss sijde ka kya kehna
Wahin Kaaba sarak aaya, jabeen hum ne jahan rakh di

Monday, April 29, 2013

Urdu Poetry.... Topic: Rahbar ( Guide )

Chalta hun thodi door har ik tez rau ke saath
Pahchanta nahin hun abhi rahbar ko main ... Ghalib

Kya kiya khizar ne sikander se
Ab kise rahnuma kare koi .... Ghalib

Yeh rahbar hain kisi ko ba khabar hone nahin dein ge
Guzar jaye gi shab, lekin sahar hone nahin dein ge ... Ahmed Nadeem Qasmi

Thahra gaya hai la ke jo manzil mein ishq ki
Kya jaane rahnuma tha, ke rahzan tha, kaun tha ... Agha Ashraf


Sunday, April 28, 2013

Urdu Poetry... Hafeez Jalandhari

Rahzanon se tau bhaag nikla tha
Ab mujhe rahbaron ne ghera hai
Qaafila kis ki pairavi mein chale
Kaun sab se bada lutera hai? 

Urdu poetry... Hafeez Jalandhari

Kaise band hua maihkhana, ab maloom hua
Pii na saka kam zarf zamaana, ab maloom hua
Dil ne palkon tak aane mein itna waqt liya
Door tha kaabe se buttkhana, ab maloom hua

Urdu poetry faani Badayuni

Fasl-e-gul aayee ya ajal aayee, kyun dar-e-zindaan khelta hai
Kya koi vahshi aur aa pahuncha, ya koi qaidi choot gaya

Manzil-e-ishq pe tanha pahunche, koi tamanna saath na thi
Thak thak kar iss raah mein aakhir ek ek saathi choot gaya

Friday, April 26, 2013

URDU POETRY....SALEEM BETAAB

PHIR SURKH PHOOL, SHAHAR KE PEDON MEIN AA GAYE
ROOHON MEIN JITNE ZAKHM THAY CHEHRON MEIN AA GAYE

BAS ITNE HI JARI THAY, HAREEFAAN-E-AAFTAAB
CHAMKI ZARA SI DHOOP TAU KAMRON MEIN AA GAYE

URDU POETRY...HAFEEZ JAALANDHARI

MASTON PE UNGLIYAN NA UTHAO NAHAR MEIN
DEKHO TAU HOSH HAI BHI KISI HUSHIYAR MEIN

KUCH MOHTISAB KA KHAUF HAI, KUCH SHAIKH KA LIHAAZ
PEETA HUN CHHUPP KE DAAMAN-E-ABR-E-BAHAR MEIN

WOH SAAMNE DHARI HAI SURAHI BHARI HUYEE
DONON JAHAN HAIN AAJ MERE IKHTIYAAR MEIN

TAALIB-E-ILM...IQBAL

KHUDA TUJHE KISI TOOFAN SE AASHNA KAR DE
KE TERE BAHAR KI MAUJON MEIN IZTERAAB NAHIN

TUJHE KITAAB SE MUMKIN NAHIN FIRAAGH KE TU
KITAAB-KHWAN HAI MAGAR SAAHEB-E-KITAAB NAHIN

SITAARON SE AAGE JAHAN AUR BHI HAIN...IQBAL

SITAARON SE AAGE JAHAN AUR BHI HAIN
ABHI ISHQ KE IMTIHAAN AUR BHI HAIN

TAHI ZINDAGI SE NAHIN YEH FIZAAYEN
YAHAN SAINKDON KAARVAN AUR BHI HAIN

QINAAYET NA KAR AALAM-E-RANG-O-BOO PAR
CHAMAN AUR BHI, AASIYAN AUR BHI HAIN

AGAR KHO GAYA EK NASHEMAN TAU KYA GHAM
MAQAMAAT-E-AAH-O-FUGHAAN AUR BHI HAIN

TU SHAAHEEN HAI, PARWAAZ HAI KAAM TERA
TERE SAAMNE AASMAN AUR BHI HAIN

JAB ISHQ SIKHATA HAI...IQBAL

JAB ISHQ SIKHATA HAI AADAB-E-KHUD AAGAHI
KHULTE HAIN GHULAAMON PAR ASRAAR-E-SHAHANSHAHI

ATTAR HO, ROOMI HO, RAAZI HO, GHAZALI HO
KUCH HAATH NAHIN AATA BE-AAH-E-SAHAR GAAHI

AYE TAAYER-LAAHUTI! USS RIZQ SE MAUT ACHCHI
JIS RIZQ SE AATI HO PARWAAZ MEIN KOTAAHI


NA TU ZAMEEN KE LIYE HAI ....IQBAL

NA TU ZAMEEN KE LIYE HAI NA AASMAN KE LIYE
JAHAN HAI TERE LIYE, TU NAHIN JAHAN KE LIYE

YEH AQL-O-DIL HAIN SHARAR SHOLA-E-MOHABBAT KE
WOH KHAAR-O-KHAS KE LIYE HAI, YEH NEESTAN KE LIYE

MAQAAM-E-PARVARISH-E-AAH-O-NAALA HAI YEH CHAMAN
NA SAIR-E-GUL KE LIYE HAI NA AASHIYAN KE LIYE

NISHAAN-E-RAAH DIKHATE THAY JO SITAARON KO
TARAS GAYE HAIN KISI MARD-E-RAAH-DAAN KE LIYE

NIGAH-E-BULAND, SUKHAN DIL NAWAZ, JAAN PUR SOZ
YAHI HAI RAKHT-E-SAFAR MEER-E-KAARVAN KE LIYE

Tuesday, April 23, 2013

urdu poetry...... asghar saleem

ek hua deewana, ek ne sar teeshe se phod liya
kaise kaise log thay, jin se rasm-e-wafa ki baat chali

urdu poetry.... asghar saleem

jise khauf-e-fasaad-e-khalq hai, woh ghar se mat nikle
hisaab apna chukane qaatilon se, hum jo baithe hain

saleem aane tau do saa'yt kabhi, teesha uthane ki
lahu kheenchen ge pattharon ki silon se, hum jo baithe hain

urdu poetry... shakeeb jalali

aa kar gira tha koi parinda lahu mein tarr
tasveer apni chod gaya hai chatan par

malboos khushnuma hain magar jism khokhle
chilke saje hon jaise phalon ki dukaan par

rdu poetry....shakeeb jalai

rakhta hai khud se kaun hareefana kashmakash
main tha ke raat apne muqaabil hi datt gaya

thokar se mera paaon tau zakhmi hua zaroor
raste mein jo khada tha woh kohsaar hatt gaya

urdu poetry....shakeeb jalai

pehle tau meri yaad se haya aaye unhein
phir aaine mein choom liya apne aap ko

taareef kya ho qaamat-e-dildaar ki shakeeb
tajseem kar diya hai kisi ne alaap ko

urdu poetry...shakeeb jalali

isi liye tau hawa ro padi darakhton mein
abhi main khil na saka tha ke rutt badalne lagi

utar ke naao se bhi kab safar tamaam hua
zameen par paaon dhara tau zameen chalne lagi


urdu poetry.... aarifi

uff meri tishna labi jo piye taqseem-e-sharab
shakal-e-paimaana mein saaqi tere ghar aayee hai
chalak chala hai qaba-e-haya se uss ka shabaab
sharab jurra't-e-maikhwar ki talash mein hai

urdu poetry...baaqi siddiqui

jab chaman mein na kahin chainn mila
baab-e-zindaan pe sada di hum ne
khoon-e-dil se dar-e-maikhaana par
teri tasveer bana di hum ne

urdu poetry.... adam

mujhe aye kasrat-e-aalaam! bas itni shikayet hai
ke mere ghamgusaaron ko badi takleef hoti hai
gale aapas mein jab milte hain, do bichde huye saathi
adam hum be sahaaron ko badi takleef hoti hai

urdu poetry...adam

sirf ek qadam utha tha ghalat raah-e-shauq mein
manzil tamaam umr hamein dhoondti rahi
toofan bade ghuroor se lalkaarta raha
kishti bade niyaaz se zidd par adi rahi

urdu poetry.... qaabil ajmeri

laakh hum  khaanmaan kharab sahi
haadson ki nazar mein rehte hain
manzil-e-zeest ki kashish mat pooch
raaste bhi safar mein rehte hain

Monday, April 22, 2013

URDU POETRY........... FIRAQ GORAKHPURI

ISHQ KA GHAYEL KAUN NAHIN HAI
TUM KO GUMAAN HAI HUM KO YAQEEN HAI

KAAM-O-DAHAN KYA TERE NAHIN HAI
TALKH MOHABBAT BHI SHIRIN HAI

YEH KEH KAR HUMRAAH HUYE WOH
MERA TERA SAATH NAHIN HAI

DARD KI TOH MILI NAHIN LEKIN
JAB BHI KAHIN THA AB BHI KAHIN HAI


RUBAI..... FIRAQ GORAKHPURI

ISS TARAH DAMAK RAHA HAI ROO-E-TAABAN
DARIYA-E-SHAFAQ MEIN JAISE HALKA TOOFAN
YUN LEHRATI HAIN UBHRE SEENE PE LATEIN
JAISE KOHSAAR PE GHATAON KA DUAN

URDU POETRY....DAAGH

APNI TAAREEF SE CHIDHTE HO AGAR JAANE DO
CHASM-E-BAD-DOOR HAMARA HI JAMAL ACHCHA HAI
AAP GHABRAYEN NAHIN JAUR SE TAUBA NA KAREN
AAP GHABRAYEN NAHIN DAAGH KA HAAL ACHCHA HAI

TOOTNE AUR BIKHARNE KA CHALAN MAANG LIYA....QATEEL SHIFAI

TOOTNE AUR BIKHARNE KA CHALAN MAANG LIYA
HUM NE HAALAT SE SHEESHE KA BADAN MAANG LIYA

JAB SUNA, AAYEN GE KUCH LOG NASEEHAT DENE
EK DOOJE SE WAHIN HUM NE VACHAN MAANG LIYA

WOH MUSALMAAN THI ALLAH SE SHARMATI THI
AUR BHAGWAN SE GORI NE SAJAN MAANG LIYA


Sunday, April 21, 2013

TUMHARE HUSN KO HAASIL GHUROOR MERA HAI...QATEEL SHIFAI

TUMHARE HUSN KO HAASIL GHUROOR MERA HAI
WOH JAAM HAI MAGAR USS MEIN SUROOR MERA HAI

ISI KA NAAM HAI SHAYED TALLUAQ-E-KHAATIR
SAFAR MEIN TUM HO BADAN CHOOR CHOOR MERA HAI

GUZAR SAKE NA MOHABBAT KE PUL-E-SIRAAT SE HUM
SABAB KOI BHI HO SAARA QUSOOR MERA HAI


TAWAYEF....JAZBI

APNI FITRAT KI BULANDI PE MUJHE NAAZ HAI KAB
HAAN TERI PAST-NIGAAHI SE GILA HAI MUJH KO
TU GIRA DE GI MUJHE APNI NAZAR SE WARNA
TERE QADMON PE TAU SIJDA BHI RAWA HAI MUJH KO

HAAYE, JALTI HUYEE HASRAT YEH TERI AANKHON MEIN
KAHIN MIL JAAYE MOHABBAT KA SAHARA TUJH KO
APNI PASTI KA BHI EHSAAS PHIR ITNA EHSAAS
KE NAHIN MERI MOHABBAT BHI GAWARA TUJH KO

AUR YEH ZARD SE RUKHSAAR, YEH ASHKON KI QATAAR
MUJH SE BEZAAR, MERI ARZ-E-WAFA SE BEZAAR

MAUT.....JAZBI

APNI SOYEE HUYEE DUNIYA KO JAGA LUN TAU CHALUN
APNE GHAM-KHAANE MEIN EK DHOOM MACHA LUN TAU CHALUN
AUR EK JAAM-E-MAI TALKH CHADHA LUN TAU CHALUN
ABHI CHALTA HUN ZARA KHUD KO SAMBHALUN TAU CHALUN

JAANE KAB PII THI ABHI TAK HAI MAI-E-GHAM KA KHUMAR
DHUNDLA DHUNDLA NAZAR AATA HAI JAHAAN-E-BEDAAR
AANDHIYAN CHALTI HAIN, DUNIYA HUYEE JAATI HAI GHUBAAR
AANKH TAU MAL LUN, ZARA HOSH MEIN AA LUN TAU CHALUN

WOH MERA SAHR WOH AIJAAZ KAHAN HAI LAANA
MERI KHOYEE HUYEE AWAAZ KAHAN HAI LAANA
MERA TOOTA HUA WOH SAAZ KAHAN HAI LAANA
EK ZARA GEET BHI ISS SAAZ PE GAA LUN TAU CHALUN

MAIN THAKA-HAARA THA, ITNE MEIN JO AAYE BAADAL
KISI MATWAALE NE CHUPKE SE BADHA DI BOTTLE
UFF WOH EANGEEN PURASRAAR KHYALON KE MAHAL
AISE DO-CHAAR MAHAL AUR BANA LUN TAU CHALUN

MUJH SE KUCH KEHNE KO AAYEE MERE DIL KI JALAN
KYA KIYA MAIN NE ZAMAANE MEIN NAHIN JIS KA CHALAN
AANSOO'O! TUM NE TAU BEKAAR BHIGOYA DAAMAN
APNE BHEEGE HUYE DAAMAN KO SUKHA LUN TAU CHALUN

MERI AANKHON MEIN ABHI TAK HAI MOHABBAT KA GHUROOR
MERE HONTON KO ABHI TAK HAI SADAQAT KA GUROOR
MERE MAATHE PE ABHI TAK HAI SHARAFAT KA GHUROOR
AISE WAHMON SE BHI AB KHUD KO NIKAALUN TAU CHALUN

Thursday, April 18, 2013

yaqeen

jo mujh ko iss ka yaqeen ho meri mehboob
meri baat tere liye qaabil-e-qubool ho gi
jo mujhe iss ka yaqreen ho meri humdum
yeh wafa ki sakht raah tere liye phool ho gi
tau
inn sab ke dherr laga dun tere aage
main phoolon ke zakheere saja dun tere aage

Wednesday, April 17, 2013

GHAZAL..JAZBI

TUM CHAINN SE AAKHIR SO NA SAKE, DUKH HI MEIN RAHE SUKH PAA NA SAKE
THUKRANE KO THUKRA TAU DIYA, PAR DIL SE MUJHE THUKRA NA SAKE

ISS HIRSS-O-HAWA KI DUNIYA MEIN HUM KYA CHAAHEN KYA MAANGEN
JO CHAAHA HUM KO MIL NA SAKA, JO MAANGA WOH BHI PAA NA SAKE

DUNIYA KI BALAON KA HO BHALA, BERAHAM KHUDAON KA HO BHALA
HUM HUSN-O-MOHABBAT KE NAGHME AYE DOST BOHOT DIN GAA NA SAKE

KYA JANIYE KAB YEH PAAP KATE, KYA JANIYE KAB WOH DIN AAYE...JAZBI

HUM DAHAR KE ISS VEERANE MEIN JO KUCH BHI NAZARA KARTE HAIN
ASHKON KI ZABAAN MEIN KEHTE HAIN, AAHON MEIN ISHAARA KARTE HAIN

AYE MAUJ-E-BALA! UNN KO BHI ZARA DO-CHAAR THAPEDE HALKE SE
KUCH LOG ABHI TAK SAAHIL SE TOOFAN KA NAZARA KARTE HAIN

KYA JANIYE KAB YEH PAAP KATE, KYA JANIYE WOH DIN KAB AAYE
JIS DIN KE LIYE HUM AYE JAZBI KYA KUCH NA GAWARA KARTE HAIN

GHAZAL.......FIRAQ GORAKHPURI

BANDAGI SE KABHI NAHIN MILTI
ISS TARAH ZINDAGI NAHIN MILTI

LENE SE TAAJ-O-TAKHT MILTA HAI
MAANGE SE BHEEK BHI NAHIN MILTI

JAB TAK OONCHI NA HO ZAMEER KI LAU
AANKH KI RAUSHNI NAHIN MILTI

TUJH MEIN KOI KAMI NAHIN PAATE
TUJH MEIN KOI KAMI NAHIN MILTI


RUBAI 9....FIRAQ GORAKHPURI

HAMMAM MEIN URYANI-E-TAN KA AALAM
PAIKAR KA DHUNDHALKE MEIN JHALAKNA KAM KAM
EK HALKI SI THAR-THARI SI SAR SE PAA TAK
SHABNAM SE DHULI SHAFAQ BHI KHAATI HAI QASA

RUBAI 8 ....FIRAQ GORAKHPURI

HAI BYAHAATA PAR ROOP ABHI KUNWARA HAI
MAA HAI PAR ADA JO BHI HAI DOSHEEZA HAI
WOH MOD BHARI, MAANG BHARI, GODD BHARI
KANYA HAI, SUHAAGAN HAI, JAGAT MAATA HAI

RUBAI 7 .....FIRAQ GORAKHPURI

KIS PYAR SE DE RAHI HAI MEETHI LORI
HILTI HAI SUDAUL BAANH GORI GORI
MAATHE PE SUHAAG, AANKHON MEIN RAS, HAATH MEIN
BACHCHE KE HINDOLE KI CHAMAKTI DORI

URDU POETRY..........ANON

EK GADAA KAL GAATA NIKLA GHAR GHAR KARTA PHERA
YEH DUNIYA AANI JAANI HAI KAHAN DAALIYE DERAA
DUKH SUKH DONO PARCHHAINYAN HAIN JAISE SAANJH SAVERA
CHUNN CHUNN KANKAR MAHAL UTHAYA LOG KAHEN GHAR MERA
NA GHAR TERA NA GHAR MERA CHIDIYA RAINN BASERA

Tuesday, April 16, 2013

GHAZAL 3 ..JAZBI

EK BAN GAYA FARZAANA, EK HO GAYA SAUDAI
THA JITNA JO  ZARF USS MEIN UTNI HI SHARAAB AAYE

IZHAAR-E-MOHABBAT PAR ISS TARAH WOH SHARMAYE
SAB UNN KI HAYA MERI AANKHON MEIN UTAR AAYEE

PAABAND-E-WAFA RO LE AB ZABT-E-MOHABBAT KO
HANSTI HUYEE AATI HAI WOH DOOR SE RUSWAAYEE

KUCH DIL KO MOHABBAT MEIN MITNE KA KHYAL AAYA
KUCH TERE TAGHAAFUL NE KI HAUSLA-AFZAAYEE

GHAZAL 2....JAZBI

KISI SE HAAL-E-DIL-E-BEQARAAR KEH NA SAKA
KE CHASH-E-YAAS MEIN AANSOO BHI AA KE BEH NA SAKA

NA AAYE MAUT KHUDAAYA TABAAH HAALI MEIN
YEH NAAM HO GA GHAM-E-ROZGAAR SEH NA SAKA

GHAZAL....JAZBI

GHAMON KI DUNIYA KO RAUND DAALEN, NISHAAT-E-DIL PAAYEMAAL KAR LEN
NAI MOHABBAT, NAYA JUNOON HAI, KHUDAYA KYA APNA HAAL KAR LEN!

JO CHAAR AANKHEN KARO TAU JAANEIN, NAZAR MILA KAR HANSO TAU JAANEIN
QASAM TUMHARI AGAR NA TUM KO SHAREEK-E-RANJ-O-MALAAL KAR LEN



RUBAI 6.......FIRAQ GORAKHPURI

TU HAATH KO JAB HAATH MEIN LE  LETI HAI
DUKH DARD ZAMAANE KE MITA DETI HAI
SANSAR KE ISS TAPTE HUYE VEERANE MEIN
SUKH SHAANT KI GOYA TU HARI KHETI HAI

AURAT........FIRAQ GORAKHPURI

MAA AUR BEHAN BHI AUR CHAHETI BETI
GHAR KI RAANI BHI AUR JEEVAN SAATHI
PHIR BHI WOH KAAMINI SARAASAR DEVI
AUR SEJ PAR WOH BESWA RAS KI PUTLI

RUBAAI 5....FIRAQ GORAKHPURI

PREMI KE SAATH KHAANE KA WOH AALAM
PHULKE PE WOH HAATH JISM-E-NAAZUK MEIN WOH KHAM
LUQME KE UTHANE MEIN KALAAI KI LACHAK
DILKASH KITNA HAI MUNH KA CHALNA KAM KAM

RUBAAI 4 ....FIRAQ GORAKHPURI

AMRIT WOH HALAAHAL KO BANA DETI HAI
GHUSSE KI NAZAR PHOOL KHILA DETI HAI
MAA LAADLI AULAAD KO JAISE TAADE
KIS PYAR SE PREMI KO SAZAA DETI HAI

RUBAAI 3 ...FIRAQ GORAKHPURI

TANHAI MEIN HUM KIS KO BULAYEN AYE DOST
TUM DOOR HO KIS KE PAAS JAAYEN AYE DOST
ISS DALAT-E-FURSAT SE TAU DUM GHUTA JAATA HAI
YEH NAQAD-E-SHAB KAHAN BHUNAYEN AYE DOST

RUBAAI 2 ...FIRAQ GORAKHPURI

LAHRON MEIN KHILA KAMAL NAHLAYE JAISE
DOSHEEZA-E-SUBAH GUNGUNAYE JAISE
YEH ROOP, YEH LOCH, YEH TARANNUM, YEH NIKHAR
PACHCHA SOTE MEIN MUSKURAYE JAISE

RUBAAI....FIRAQ GORAKHPURI

GHUNCHE KO NASEEM GUDGUDAYE JAISE
MUTRIB KOI SAAZ CHEDD JAYE JAISE
YUN PHOOT RAHI HAI MUSKURAHAT KI KIRAN
MANDIR MEIN CHIRAAGH JHILMILAYE JAISE

Monday, April 15, 2013

OH TAU HOOR-O-PARI SE HASEEN HAI...FIRAQ GORAKHPURI

WOH TAU HOOR-O-PARI SE HASEEN HAI
AYE DIL AISA HAI KE NAHIN HAI

DIL AFSURDA DUNIYA SOONI
AAG NAHIN HAI LAAG NAHIN HAI

TU JO KUREDE, TU JO TATOLE
KIS KE DIL MEIN CHOR NAHIN HAI


ISHQ, MOHABBAT, ULFAT, CHAAHAT....FIRAQ GORAKHPURI

QAHAR HAI TERA YA TERI RAHMAT
ISHQ, MOHABBAT, ULFAT, CHAAHAT

CHOD YEH BAHAS-E-MAJAZ-O-HAQEEQAT
PEHLE MOHABBAT SEEKH MOHABBAT

SEEDHI QISMAT TEDHI QISMAT
SAB KA ILAAJ HAI DARD-E-MOHABBAT

ISHQ AZAAB ZAROOR HAI LEKIN
ISS SE BACHNE KI KOI SOORAT

RAAZ KO RAAZ HI RAKHA HOTA....FIRAQ GORAKHPURI

RAAZ KO RAAZ HI RAKHA HOTA
KYA KEHNA GAR AISA HUA HOTA

RAAT KI RAAT KABHI MERA GHAR
TERA RAINN BASERA HOTA

YEH NIRJAN BAN YEH SANNATA
KOI PATTA KHADKA HOTA

MAIN HUN DIL HAI TANHAI HAI
TUM BHI JO  HOTE ACHCHA HOTA

HUM BHI FIRAQ INSAAN THAY AAKHIR
TARK-E-MOHABBT SE KYA HOTA

RAS MEIN DOOBA HUA LAHRATA BADAN KYA KEHNA....FIRAQ GORAKHPURI

RAS MEIN DOOBA HUA LAHRATA BADAN KYA KEHNA
KARVATEIN LETI HUYEE SUBAH-E-CHAMAN KYA KEHNA

BAAGH-E-JANNAT PE GHATA JAISE BARAS KAR KHUL JAYE
SAUNDHI SAUNDHI TERI KHUSHBOO-E-BADAN KYA KEHNA

JAISE LAHRAYE KOI SHOLA, KAMAR KI YEH LACHAK
SAR BA BASAR AATISH-E-SAYYAL BADAN KYA KEHNA


GHAZAL ....FIRAQ GORAKHPURI

MAZHAB WAALON KO YEH HASRAT KAB DUNIYA SE KUFR MITE GA
MAIN TAU BAS ITNA SOCH RAHA HUN KAB INSAAN INSAAN BANE GA

YAARO BAAHAM GUNDHE HUYE HAIN KAYENAAT KE BIKHRE TUKDE
EK PHOOL KO JUMBISH DO GE TAU EK TAARA KAANP UTHE GA

EK SHAAM HO, EK RAAT HO, EK SAHAR HO, DUNIYA BHAR KI
GARDISH-E-DAURAAN GARDISH-E-DAURAAN AISA DIN BHI KABHI AAYE GA

AANE WAALI NASLON KO KUCH NAGHME DE KAR UTH JAOON GA
BAAR BAAR GAYEN GE LEKIN JEE NA BHARE GA JEE NA BHARE GA

est of faiz ahmed faiz 2

tamaam shab dil-e-vahshi talaash karta hai
har ek sadaa mein tere harf-e-lutf ka aahang
har ek subah milaati hai baar baar nazar
tere dahan se har ek laala-o-gulaab ka rang

best of faiz ahmed faiz 1

subah phooti tau aasman pe tere
rang-e-rukhsaar ki phoohaar giri
raat chaayee tau roo-e-aalam par
teri zulfon ki aabshaar giri

URDU POETRY.....RAZI AKHTAR SHAUQ

SAD HAIF KE DEKHA HAI TUJHE DHOOP SE BEKAL
AFSOS KE HUM SAAYA-E-DEEWAR NAHIN THAY

SACH YEH HAI KE EK UMR GUZAARI SAR-E-MAQTAL
HUM KAUN SE LAMHE MEIN SAR-E-DAAR NAHIN THAY

HASEENA-E-KHYAL SE....FAIZ AHMED FAIZ

MUJHE DE DE
RASEELE HONT, MASOOMANA PESHANI, HASEEN AANKHEN
KE MAIN EK BAAR PHIR RANGINIYON MEIN GHARQ HO JAOON
MERI HASTI KO TERI EK NAZAR AAGHOSH MEIN LE LE
HAMESHA KE LIYE ISS DAAM MEIN MAHFOOZ HO JAOON
ZIYA-E-HUSN SE ZULMAAT-E-DUNIYA MEIN NA PHIR AAOON
GUZISHTA HASRATON KE DAAGH MERE DIL SE DHUL JAAYEN
MAIN AANE WAALI GHAM KI FIKR SE AAZAD HO JAOON
MERE MAAZI-O-MUSTAQBIL SARASAR MAHV HO JAAYEN
MUJHE WOH EK NAZAR, EK JAAVEDAANI SI NAZAR DE DE

GHAZAL....FAIZ AHMED FAIZ

SHAAM-E-FIRAAQ AB NA POOCH, AAYEE AUR AA KE TAL GAYEE
DIL THA KE PHIR BAHAL GAYA, JAAN THI KE PHIR SAMBHAL GAYEE

BAZM-E-KHYAL MEIN TERE, HUSN KI SHAMAA JAL GAYEE
DARD KA CHAAND BUJH GAYA HIJR KI RAAT DHAL GAYEE

JAB TUJHE YAAD KAR LIYA, SUBAH MEHAK MEHAK UTHI
JAB TERA GHAM JAGA LIYA, RAAT MACHAL MACHAL GAYEE

DIL SE TAU HAR MAAMLA KAR CHALE THAY SAAF HUM
KEHNE MEIN UNN KE SAAMNE BAAT BADAL BADAL GAYEE


DAREECHA....FAIZ AHMED FAIZ

GADI HAIN KITNI SALEEBEIN MERE DAREECHE MEIN
HAR EK APNE MASEEHA KE KHOON KA RANG LIYE
HAR EK VASL-E-KHUDAWAND KI UMANG LIYE

KISI PE KARTE HAIN ABR-E-BAHAR KO QURBAAN
KISI PE QATL-E-MAI-E-TAABNAK KARTE HAIN
KISI PE HOTI HAI SARMAST SHAAKHSAR-E-DO NEEM
KISI PE BAAD-E-SABA KO HALAAK KARTE HAIN
HAR AAYE DIN YEH KHUDAWANDGAAN-E-MEHAR-O-JAMAL
LAHU MEIN GHARQ MERE GHAMKADE MEIN AATE HAIN
AUR AAYE DIN MERI NAZRON KE SAAMNE UNN KE
SHAHEED JISM SALAAMAT UTHAYE JAATE HAIN

Sunday, April 14, 2013

DIN AUR RAAT....FAIZ AHMED FAIZ

TIR'AGI JAAL HAI AUR BHAALA HAI NOOR
EK SHIKARI HAI DIN, EK SHIKARI HAI RAAT
JAG SAMANDAR HAI, JIS MEIN KINARE SE DOOR
MACHLIYON KI TARAH IBN-E-AADAM KI ZAAT
JAG SAMANDAR HAI, SAAHIL PE HAIN MAAHI-GEER
JAAL THAAME KOI, KOI BHAALA LIYE
MERI BAARI KAB AAYE GI KYA JAANIYE
DIN KE BHAALE SE MUJH KO KAREN GE SHIKAR
RAAT JAAL MEIN YA KAREN GE ASEER?






Wednesday, April 10, 2013

NAZR-E-DIL...MAJAZ

APNE DIL KO DONO AALAM SE UTHA SAKTA HUN MAIN
KYA SAMJHTI HO KE TUM KO BHI BHULA SAKTA HUN MAIN

KAUN TUM SE CHEEN SAKTA HAI MUJHE, KYA WAHAM HAI
KHUD ZULEKHA SE BHI TAU DAAMAN BACHA SAKTA HUN MAIN

DIL MEIN TUM PAIDA KARO PEHLE MERI SI JU"RRATEIN
AUR PHIR DEKHO KE TUM KO KYA BANA SAKTA HUN MAIN

DAFAN KAR SAKTA HUN SEENE MEIN TUMHARE RAAZ KO
AUR TUM CHAHO TAU AFSAANA BANA SAKTA HUN MAIN


MAJBOORIYAN....MAJAZ

MAIN AAHEN BHAR NAHIN SAKTA KE NAGHME GAA NAHIN SAKTA
SUKOON LEKIN MERE DIL KO MAYYASAR AA NAHIN SAKTA

KOI NAGHME TAU KYA AB MUJH SE MERA SAAZ BHI LE LE
JO GAANA CHAHTA HUN, AAH, WOH MAIN GAA NAHIN SAKTA

MAT'AA-E-SOZ-O-SAAZ-E-ZINDAGI, PAIMAN-O-BARBAT
MAIN KHUD KO IN KHILAUNON SE BHI AB BEHLA NAHIN SAKTA

WOH BAADAL SAR PE CHHAYE HAIN KE SAR SE HAT NAHIN SAKTE
MILA HAI DARD WOH DIL KO  KE DIL SE JAA NAHIN SAKTA

HAVASKAARI HAI JURM-E-KHUDKUSHI MERI SHARIAT MEIN
YEH HADD-E-AAKHIR HAI MAIN YAHAN TAK JAA NAHIN SAKTA

NA TOOFAN ROK SAKTE HAIN NA AANDHI ROK SAKTI HAIU
MAGAR PHIR BHI MAIN USS QASR-E-HASEEN TAK JA NAHIN SAKTA

WOH MUJH KO CHAHTI HAI AUR MUJH TAK AA NAHIN SAKTI
MAIN USS KO POOJTA HUN AUR USS KO PAA NAHIN SAKTA

YEH MAJBOORI SI MAJBOORI YEH LAACHAARI SI LAACHAARI
KE USS KE GEET BHI JEE KHOL KAR MAIN GAA NAHIN SAKTA

HADIEN WOH KHEENCH RAKHI HAIN HARAM KE PAASBAANON NE
KE  BIN MUJRIM BANE PAIGHAAM BHI PAHUNCHA NAHIN SAKTA

SAAQI-E-GULFAAM....MAJAZ

SAAQI-E-GULFAAM BA-SAD AHTEMAAM AA HI GAYA
NAGHMA BAR-LAB, KHAM BA SA, BAADAH BAJAAM AA HI GAYA
APNI NAZRON MEIN NISHAAT-E-JALWA-E-KHUBAAN LIYE
KHLUQI-E-KHAAS SOO-E-BAZM-E-AAM AA HI GAYA

Tuesday, April 9, 2013

NUQOOSH 3 ......MAJAZ

ZINDAGI SAAZ DE RAHI HAI MUJHE
SAHAR-O-AIJAAZ DE RAHI HAI MUJHE

AUR BOHOT DOOR AASMANON SE
MAUT AWWAZ DE RAHI HAI MUJHE

NUQOOSH 2..........MAJAZ

JIGAR KI KHABAR HAI NA DIL KI KHABAR
MAGAR LAD RAHI HAI NAZAR SE NAZAR

YEH SAB JIN KE HAIN KHOON SE HAATH TAR
YAHI THAY MASEEHA, YAHI CHAARA-GAR

NUQOOSH 1.....MAJAZ

HIJAB-E-NAAZ MEIN JALWE CHUPAYE JAATE HAIN
JAHAN MEIN AHL-E-NAZAR AAZMAYE JAATE HAIN

ABHI BAHAR BOHOT DOOR HAI MAGAR DIL MEIN
JUNOON-E-ISHQ KE AASAR PAAYE JAATE HAIN

MITA DIYA HAI MUJHE ISHQ NE MAJAZ MAGAR
SATAANE WAALE ABHI TAK SATAAYE JAATE HAIN

woh dil le ke chupke se chalte huye....daagh dahelvi

woh dil le ke chupke se chalte huye
yahan reh gaye haath malte huye

ilaahi woh nikle tau hain sair ko
chale aayen mujh tak tahelte huye

na itraiye der lagti hai kya
zamaane ko karvat badalte huye

gala kaat lun main hi, khanjar tau do
tumhein der lage gi sambhalte huye

karen vaade par vaada woh hum ko kya
yeh chakme, yeh fiqre hain, chalte huye

raah par unn ko laga laye tau hain baaton mein

raah par unn ko laga laye tau hain baaton mein
aur khul jayen ge do-chaar mulaaqaton mein

yeh bhi tum jaante ho chand mulaaqaton mein
aazmaya hai tumhein hum ne kai baaton mein

yaa rab!uss chaand se tukde ko kahan se laoon
raushni jis ki ho inn taaron bhari raaton mein

aisi taqreer suni thi na kabhi shokh-o-shareer
teri aankhon ke bhi fitne hain teri baaton mein

hum se inkaar hua ghair se iqraar hua
faisla khoob kiya aap ne do baaton mein

vasl kaisa woh kisi tarah behalte hi na thay
shaam se subah huyee unn ki madaraaton mein


rahe ga ishq tera.........daagh dehalvi

rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe
ke ibtida mein huye ranj inteha ke mujhe

diye hain hijr mein dukh dard kis bala ke mujhe
shab-e-firaaq ne maara lita lita ke mujhe

ajeeb ghair ke afsane mein hai kaifiyat
yeh haal suniye zara si kabhi pila ke mujhe


dil de tau iss mizaaj ka parwardigaar de....daagh dahelvi

dil de tau iss mizaaj ka parwardigaar de
jo ranj ki ghadi bhi khushi se guzaar de

kis tarah chainn mujh ko dil-e-beqaraar de
tum ikhtiyar do na khuda ikhtiyar de


Monday, April 8, 2013

aap ka aitbaar kaun kare...daagh dahelvi

aap ka aitbaar kaun kare
roz ka intezarr kaun kare

zikr-o-maher-ovafa tau hum karte
phir tumhein sharmsaar kaun kare

hijr mein zahar kha ke marr jaoon
maut ka intezaar kaun kare


sainkdon milte hain ilzaam ke dene waale....daagh dehalvi

sainkdon milte hain ilzaam ke dene waale
ek do bhi nahin aaram ke dene waale

mere qaasid ko diya uss ne yeh jhunjla ke jwaab
kaun hote hain woh paighaam ke dene waale

wahi achche wahi daana hain tumhare nazdeek
mashware tum ko bure kaam ke dene waale


ya tarz-e-kalaam ho gayee hai....daagh dehalvi

kya tarz-e-kalaam ho gayee hai
har baat pyaam ho gayee hai

kuch zahar na thi sharab-e-angoor
kya cheez haraan ho gayee hai

aage tau nahin nahin suni thi
ab takiya kalaam ho gayee hai


vasl ki arzoo kiye na bane....daagh dahelvi

vasl ki arzoo kiye na bane
na bane justaju kiye na bane

jab ruka na khoon ban gayee dum par
chaak dil ko rafu kiye na bane

zillat-e-ishq hai wahan izzat
shikwa-e-aabroo kiye na bane

paak hona hai rind ko laazim
maikashi be-wazoo kiye na bane


urdu poetry....ubaidullah aleem

bana gulab tau kaante chubha gaya ek shakhs
hua chiraagh tau ghar hi jala gaya ek shakhs
khula yeh raaz ke aaina khaana hai duniya
aur uss mein mujh ko tamasha bana gaya ek shakhs

urdu poetry...asghar saudai

hai rahzani bhi apni jagah maarke ki cheez
jo iss mein kaamyab hua, raahnuma hua
toofan ki iss ada mein bhi kitna khuloos hai
saahil tak aa gaya hai mujhe dhoondta hua

urdu poetry..... mohsin naqvi

doobta din jahan kirnon ke nishaan chhod gaya
raat bhatke gi wahan taa-baah sahar, awaara
jism ki qaid nahin, nok-e-sanaan par hi sahi
shahar dar sahar phire shorish-e-saer, awaara

urdu poetry.....mohsin naqvi

woh jis ka naam bhi liya paheliyon ki ott mein
nazar padi tau chhup gayee saheliyon ki ott mein
ruke gi sharm se kahan yeh khaal-o-khad ki raushni?
chhupe ga aaftab kya hatheliyon ki ott mein?

urdu poetry.......mohsin naqvi

bichad ke mujh se kabhi tu ne yeh bhi  socha hai
adhoora chaand bhi kitna udaas lagta hai
yeh rakh-rakhao mohabbat sikha gayee uss ko
woh rooth kar bhi, mujhe muskura ke milta hai

Wednesday, April 3, 2013

mazdoor ko mile khairaat

koi mazdoor tak mera yeh paighaam pahunha de
ke khaa gaye hain usse sabhi thekedaar
hamesha yun hi machalti rahe gi
teri muraadon ki baraat
usse milti rahe gi mazdoori apni
waise hi
jaise milti zarooratmandon ko khairaat

main udaas hun

main udaas hun. maindukhi hun. main pareshan hun kyunki mere aas paas dheron log udas hain, pareshan hain, dukhi hain. jab bhi bahar nikaltahun tab bheed ke chehre par pareshaniyan nazr aati hain. koi apne rozgaar ko le kar pareshan hai tau koi hadd se zyada haasil daulat ko chupaane ki koshish ko le kar pareshan hai.

bachchon ko yahan wahan kaam karte dekhta huntau dil tadap uthta hai. sochta hun kaash mere paas itni daulat hoti ke main unn sab ko godd le paaata. jab logon ko sadk par sote dekhta hun ke meree paas itni daulat kyun nahin hai ke unn sab ke liye makaan ka bandobast kar paoon.

main chahta hun ke iss duniya mein har kisi ko maan samman ke saath jeene ka adhikar ho lekin mujhe nahin lagta ke uss anjaan si shakti ko meri udaasi se koi sarokaar hai, agar hota tau woh mujhe iss qaabil tau bana hi deta ke ek chote se pratishat ko hi izzat ki zindagi de paata main.

lekin aisa mere apne jeevankaal mein mujh se ho paaye yeh tau asambhav hi lag raha hai aur isi liye main udaas hun.

Tuesday, April 2, 2013

qateel shifai....rubaai 2

dekh apni adaaon se na sharmaaya kar
har mahfil-e-zar taab pe chhaa jaaya kar
sat ranga dupatta na agar mil paaye
tau sirf dhanak odh ke aa jaaya kar

qateel shifai.....rubaai

jaanam, yeh raseeli, yeh kateeli aankhen
rehti hain jo be piye nasheeli aankhen
aisa na ho aakhir yeh dubo den mujh ko
yeh teri samundaron si neeli aankhen

urdu poetry.......qateel shifai

kaise kaise bhedd chupe hain pyar bhare iqraar ke peeche
koi patthar taan raha hai sheeshe ki deewar ke peeche

soch abhi se phir kya ho ga beet gayee jab raat milan ki
ek udaasi reh jaye gi payel ki jhankaar ke peeche

nangee ho kar naach rahi hai bhooki roohon ki majboori
jhaank sako tau jhaank ke dekho jismon ke ambaar ke peeche


Monday, April 1, 2013

urdu poetry......qateel shifai

duniya ne hum pe jab koi ilzaam rakh diya
hum ne muqaabil uss ke tera naam rakh diya

ek khaas hadd pe aa gayee jab teri berukhi
naam uska hum ne gardish-e-ayyam rakh diya

insaan aur dekhe baghair uss ko maan le?
ek khauf ka bashar ne khuda naam rakh diya


urdu poetry......qateel shifai 2

dhal gaya chaand, gayee raat, chalo so jaayen
ho chuki unn se mulaaqat, chalo so jaayen

door tak goonj nahin hai kisi shahnai ki
lutt gayee uss ki baarat, chalo so jaayen

log iqraar-e-vafaa kar ke bhula dete hain
yeh nahin koi nai baat, chalo so jaayen

urdu poetry........qateel shifai

saavan ke suhaane mausam mein ik naar mili baadal jaisi
be-pankh udaanein leti hai jo apne hi aanchal jaisi

woh jis ki kamar tak choti hai rangat ber bahuti hai
choo kar jo usse dekha main ne woh mujh ko lagi makhmal jaisi

chehre pe saje aaine hain ya do bedaagh nageene hain
kis jheel se aayee hain dhul kar yeh aankhen neel kanval jaisi

Ghazal 5 ......meer taqi meer

hoti hai garche kehne se yaaro  prayee baat
par hum se tau thami na kabho, munh par aayee baat


Ghazal......meer taqi meer 4

mere maalik ne mere haq mein yeh ehsaan kiya
khaak-e-nacheez tha main so mujhe insaan kiya

mujh ko shayer na kaho meer ke saheb main ne
dard-o-gham kitne kiye jamaa tau deewan kiya

Ghazal3.........meer taqi meer

kya kahiye kya rakhen hain hum tujh se yaar  khwahish
yak jaan-o-sad tamanna yak dil hazaar khwahish

le haath mein qafas tuk sayyad chal chaman tak
muddat se hai hamein bhi sair-e-bahaar ki khwahish

haalanke umr saari maayus guzri tis par
kya kya rakhen hain uss ke ummeedwaar khwahish


Ghazal2....meer taqi meer

hum aap hi ko apna maqsood jaante hain
apne siwaye kis ko maujood jaante hain

ajz-o-niyaz apna apni taraf hai saara
uss musht-e-khaak ko hum masjood jaante hain

yaarab kise hai naama har ghuncha iss chaman ka
raah-e-vafaa ko hum tau masdood jaante hain

marr ke bhi haath aave tau meer muft hai woh
jee ke ziyaan ko bhi hum sood jaante hain

Ghazl.......meer taqi meer

tere bande hum hain khuda jaanta hai
khuda jaane tu hum ko kya jaanta hai

nahin ishq ka dard lazzat se khaali
jise zauq hai woh mazaa jaanta hai

mujhe jaane hai aap sa hi farebi
dua ko bhi meri daghaa jaanta hai

jafa uss pe karta hai hadd se zyada
jinhein yaar ahl-e-vfaa jaanta hai