Wednesday, December 25, 2013

Ghalib...t'aaruf by Dr Tanveer Ahmed Alvi

Ghalib, Jin ko hum paidaish ke lihaaz se Akbarabadi keh sakte hain, neez ek lambe arse Tak Dehli mein qayam ki wajah se Dehalvi kehlate hain. Inn do bade shaharo'n ke zariye se adabi aur tahzeebii aitbaar se qadar-e-mushtarak darja rakhte hain.
Apne zamaana-e-hayat mein bhi woh ek bade shayer, nasar nigaar, hannkaar aur adabi naqqad thay, adabi taareekh mein bhi unn ka naam ek bade shayer ki haisiyat se aata raha hai. Farsi se unn ko khaas shaghaf tha aur Urdu maktoobaat mein woh ek khaas adabi asloob ke Baani khyal kiye jaate hain. Unn ka ek she'rr hai--
Ganjeenah-e-m'aanii ka tilism uss ko samajhiye
Jo lafz ke Ghalib mere ash'aar mein aaye
Yeh ganjeenah-e-m'aanii ka tilism unn ka Urdu kalaam hai, jis mein unho'n ne apni shayerana mazmoon-bandi husn-e-bayan aur lutf-e-zabaan ke behtareen namoone pesh kiye hain.
Unn ke khyal se unn ke Urdu kalaam ki woh qadar na huii jis qadar-farmaii ya qadar-afzaii ka mustahiq unn ke ash'aar ka yeh silsila tha. Magar woh iss par yaqeen rakhte thay ke unn ke baad unn ki shayeri ki qadar zaroor ho gi.
Yeh tau nahin kaha jaa sakta ke Ghalib ki shayeri ki mai-e-rangeen apne waqt mein nasha-aawar nahin thi aur yeh sharab khareedari ke fuqdaan ke baayes rafta rafta baada-e-kuhan mein badli hai ( jis ke baad sharab ka nasha tez ho jaata hai ) magar iss mein bhi koi shak nahin ke waqt ke saath saath Ghalib ki shohrat mein bhi izaafa hua balke ghair-maamooli izaafa hua aur unn ke she'rr-o-sh'aoor ki sharab tu'nd-o-tez waqt ke guzarne ke saath mai-e-do-aatisha balke seh-aatisha ho gaii.

Saturday, December 14, 2013

Ghazal by Khalid Basheer Ahmed

Nikaal-e-aab-e-takallum uss ne kiya
Main Lajawab tha, aisa sawal uss ne kiya

Jo baat ki wahi dil tod dene waali ki
Main chupp raha tau iss ka malaal uss ne kiya

Yeh koi ek ya do, chaar din ki baat nahi'n
Ke intezaar bohot maah-o-saal uss ne kiya

Tera khyal bada khushnuma parinda tha
Magar uthaan mein hi inteqaal uss ne kiya

Monday, December 9, 2013

Nai Duniya ko Salaam ( vision ) Ali Sardar Jaafri

Duniya ki taareekh mein koi daur aisa nahi'n aaya jis mein insaan ko shikast huii ho. Afraad aur tabqaat ko shikast hoti rahi hai aur hoti rahe gi. Lekin insaan na-qaabil-e-shikast hai. Kyu'nke uss ki mehnat, jadd-o-jahad aur amal uss ke apne sha'oor hi ki nahi'n balke badi hadd tak uss ke mahaul  ki bhi khaaliq hai. Yeh aqeeda'h jo andha aqeeda'h nahi'n. Mera sab se bada inspiration hai aur main isse adab aur fann ka abadii mauzuu samjhata hu'n sab se zyada shaandar sab se azeem-ul-martabat sab se haseen insaan hai.

Saturday, December 7, 2013

Shayer ki Beewi by Shaukat Thanvi ( Tanz )

Shayeri aur pet ka dhanda ajab sam hai
Jaan ke gaahak hai'n beewi aur bachche sab ke sab

Faailaatun failaatun baith kar karte hai'n jab
Ahliyaa ko yaad aati hai hamari be-sabab

Ek sarota haath mein aur paandan apna liye
Sar pe aa jaati hai'n ladne apna khaandan liye

Shayer-e-sheeri'n-bayaa'n baitha hai ghabraya hua
Zehan mein hai tarah ka mis'raa bhi baulaya hua

Woh yeh kehti hai ke jaaye bhaad mein yeh shayeri
Edi-choti par karu'n qurbaan yeh kaareegari

Itne din se koi bhi paisa mila, Socho, zari
Yaad kar lo December, January phir Farwari


Tabsara Nigari ka Funn by Raza Naqvi Waahi ( Tanz )

Woh jo hotel mein chakh rahe hai'n kabab
Saamne rakh ke ek dabeez kitaab

Aaiye bataoo'n kya hai'n aap
Maahir-e-funn-e-tabsara hai'n aap

Ek ghante mein dus kitaabo'n par
Aap likhte hai'n tabsara Farr Farr

Adab-o-falsafa-o-ilm-o-kalaam
Saare mauzuu aap ke hai'n ghulam

Laakh moti sahi kitaab magar
Sar-e-waraq dekhte hi ek nazar

Aap ka khaama-e-gauhar afsha'n
Hone lagta hai dafatan jaulaa'n

Balke aksar hua hai aisa bhi
Boo kitaabo'n ki door se soo'nghi

Aur jhat se sambhal kar khaama
Fikr ko funn ka de diya jaama

Yeh bhi mash-hoor hai ke aap ka funn
Inn kitaabo'n par bhi hai khaama zan

Tab'aa hone ki baat door rahi
Batan-e-funnkar mein jo gum hai'n abhi

Asal mein tabsar nigari ka
Funn bhi ek khel hai madaari ka

Sunday, December 1, 2013

Alvidaiiya'h by Parveen Shakir

Woh jaa chuka hai
Magar judaii se qabl
Ek narm lamha
Thahar gaya hai
Meri hathelii ki pusht par
Zindagi mein
Pehli ka chaand ban kar ! 

Saath by Parveen Shakir

Saath
-------
Kitni der Tak
Amaltaas ke ped ke neeche
Baith ke hum ne baate'n kii'n
Kuch yaad nahi'n
Bas itna andaaza hai
Chaand hamari pusht se ho kar
Aankho'n Tak aa pahu'ncha tha ! 

Saturday, November 30, 2013

Zill-le-Ilaahi ke Problems by Parveen Shakir

Raaj-paat karne waalo'n ki jaan
Bathe li par rehti hai
Bechaaro'n ke masaayel kaise ajab hote hain
Kabhi iss baajguzaar riyasat ki shoreeda'h-sari
Kabhi uss zer-zehan-nagee'n soobe ki na-farmaani
Kabhi khud paaya-e-takht ke ander ghair munasib bedaari
Kabhi ameer -e-mabtakh ki khaase mein khasi ghair-zaroori dilchaspi
Shahzaado'n ki shora'h pushti
Haram-Sara mein palne waali choti-badi siyasat
Ba-al-eilaan baghavat, dar-parda saazish !
Dushman jald hi khul jaate hai'n
Unn se nibatna itna mushkil kaam nahi'n
Uljhaava tau paao'n choomne waalo'n se padta hai !
Aur unn ki bhi do qisme'n hai'n
Ek tau kutte---------
Apni wafa-daari mein shohra-e-aalam rakhne waale
Jab Tak jee chahe pairo'n mein lot'te hai'n
Phir apni haddi le kar alag ho jaate hai'n
Doosri qism zyada muhlik hai
Yeh do pairo'n par chalti hai
Dekhne mein insaan magar baatin ke reech
Talwe chhat'te chaat'te apne pyare aaqa ko aisa kar dete hai'n ke
Ek Suhani subah ko jab
Apni Kaneez-e-khaas ki bhairavii sun kar aankhe'n kholte hai'n tau
Zil-le-ilaahi
Apne paao'n dhoondte reh jaate hai'n !

She'rr ke kai rang

Naye naye tajrubo'n mein lazzat nai nai si
Tum aaina ho tau sung se ikhtelaaf  rakhna
Jise talasha na khud lahu ke chiraagh le kar
Baja hai har aisi raah se inheraaf rakhna
Hakeem Manzoor ( aajkal march 1990 )

Dil ki vaadi hai ke sehra ka samaa'n
Aankh masmaar, nazaare chup hai'n
Aaj tanha hai bohot tanhaii
Aaj aankhon ke ishaare chup hai'n
Lutf-Ur-Rahman ( Aajka March 1992 )

Hua phir koi raaz sar basta waa
Khamoshi ki sunta hu'n paihum sada
Wahi ek awaaz ki baaz-gusht
Wajood apna goya hai koh-e-nida
Dr Javed Vashisht ( Taameer-e-Hariyana January 1990 )

Khander mein waqt ke tanha khamosh baithi hu'n
Guzarte lamho'n ke qadmo'n ki chaap sunti hu'n
Jo sochiye tau qayamat ka shor hai mujh mein
Jo dekhiye tau faqat ek ujaad basti hu'n
Shabnam Waheed ( Shayer khusoosi shumaara )

Hame'n unn ka makaa'n achcha laga hai
Waha'n se aasma'n achcha laga hai
Kabhi khud se bhi hum uktaa gaye hai'n
Kabhi saara jaha'n achcha laga hai
Mohammed Alvi

Hawa hai tez samundar biphrane wala hai
Bala-e-jaa'n hai jo lamha guzarne wala hai
Shab-e-siyah ke musafir ko alvidaa kaho
Samundaro'n mein safeena utarne waala hai
Unwaan Chishti ( taameer-e-Hariyana July 1991 )

Har cha'nd haqeeqate'n wahi hai'n
Andaz-e-nazar badal gaya hai
Kuch funn ke taqaaze aur hai'n ab
Asloob-e-hunar badal gaya hai
Kamaal Ahmed Siddiqui ( Shaye Khusoosi Shumaara )

Shola-zani ka qissa likh
Ghar ko lahu ka dariya likh
Waqt se pehle baaligh hai
Aaj ka bacha bacha likh
Saif Sahsarami ( Aajkal June 1991 )

To be continued...

Tuesday, November 19, 2013

Imtiyaz Ali taj ke drame Anarkali ka eh chota sa hissa

Salim: ab bhi tere dil mein shubah maujood hai. Tau aye Anarkali! Aye iss dil ki malika, le Hindustan ko apne qadmo'n mein dekh !

Anarkali : aah.. aah

Salim : Anarkali, meri apni Anarkali, tu meri hai, sirf meri hai.

Anarkali : Saheb-e-Aalam ! Saheb-e-Aalam........... Iss ka anjam tabahi hai. Shahzade jaao, bhool jaao.

Salim : hum dono'n ek doosre  ke seene se chime huye ho'n  tau phir koi khauf nahi'n. Aasman hame'n kheench le aur hum nai raushniyo'n mein  uth'te chale jaaye'n.
Zameen hamare pairo'n ke neeche se sarak jaaye aur hum na-maloom andhero'n mein girte chale jaaye'n. Tumhare baazoo dheeley na pade'n tau yeh sab sheeri'n ho ga. Anarkali be-inteha sheeri'n.

Ali Sardar Jafari...Nai duniya ko salaam ( page 96 )

Kal ka andaz kuch aur ho ga
Bazm mein ek naya daur ho ga
Jung ho gi na paikaar ho gi
Tau masarrat sare sarshaar ho ga
Godd mein teri ek chaand ho ga
Jis se Khurshid bhi maa'nd ho ga
Iss tarah mujh ko paa jaaye gi tu
Phir na ek pal bhi ghabraye gi tu
Kitni dilchasp hai yeh kahani
MIT ke banti hai phir zindagaani 

Thursday, November 14, 2013

Yaqeen by Jameel Gulrays

jo mujhe iss ka yaqeen ho mere rafeeq
meri baat tere liye qaabil-e-equbool ho gi
jo mujhe yaqeen ho mere humdum
meri har baat tere liye maanind-e-phool ho gi
tau
main na chupaoo'n kuch
sach keh du'n, har mauzuu par
siyasat par
waade par
wafaa par
mazhab ki
farz-e-ada par
lekin
talkhiyo'n se darr lagta hai
iss liye chupp rehta hu'n

Monday, October 28, 2013

Yeh Kya Ho Raha Hai by Jameel Gulrays

Nafrat ka zehar ghul chuka hai
Bat chuke hai'n bewaqoof bhi aqalmand bhi

Andhera gehra hi hota jaa raha hai
Raushni ke hai'n saare raaste bund bhi

Tum Hindu ho, main Musalmaan hu'n
Tum zaalim ho main mazloom hu'n

Yahi fikar bikhar rahi hai chaar soo
Warna tum dayaluu ho main bhi masoom hu'n

Drained kis qaum mein nahi'n hote
Mazhab insaaniyat ka sabaq sikhata hai

Lekin aadmi bad-zaat hai
Dharam ka paath har baar bhool jaata hai

Sunday, October 27, 2013

Departmental Store Mein by Parveen Shakir

" pearl ka natural pink,
Revolon ka hand lotion
Elizabeth Arden ka blush on bhi,
Medora mein phir nail polish ka koi naya shade aaya hai ?
Mere iss Banafshi dupattey se milti huii
Rim mel mein lipstick mile gi ?
Haa'n, woh Tulip ka shampoo bhi dijiye ga
Yaad aaya
Kuch roz pehle jo tweezer liya tha, woh bilkul bekaar nikla
Doosra dijiye g !
Zara bill bana dijiye !"

" Arre ! Woh jo kone mein ek scent rakha hua hai
Dikhaye'n zara
Isse test kar ke tau dekhu'n
( khudaya! Khudaya!
Yeh khushboo tau uss ki pasandeeda khushboo rahi hai
Sada uss ke malboos se phoot'tii thi ! )"

" zara iss ki qeemat bata de'n !
Iss qadar !!
Achcha, yu'n kijiye
Baaqi cheeze'n kabhi aur le jaoo'n gi
Aaj tau sirf  iss scent ko pack kar dijiye !"

Saturday, October 26, 2013

Bulawaa by Parveen Shakir

Main ne saari umar
Kisi mandir mein qadam nahin rakha
Lekin jab se
Teri dua mein
Mera naam shareek hua hai
Tere ho'nto'n ki jumbish par
Mere ander ki daasi ke ujley tann mein
Ghantiya'n bajtii rehti hai'n !

Aye Ramz Bhari Raat by Parveen Shakir

Jis subah ki awaz mein baarish ki Khanak ho
Uss din ka badan dekhiye sur kaise hua ho
Jis shaam ke maathey pe khile wasl ka taara
Uss raat ke iqraar ki kya soorate'n ho'n gi

Aye bedd bhare din mere
Aye ramz bhari raat

Yeh maah gazeeda'h, mehar gazeeda'h dil-e-vahshi
Phir kaun se jaadoo ke asar mein hai giraftaar
Barsat mein jalte huye jungle ke kinare
Kis qaaf ke baashinde se thehri hai mulaaqat !

Monday, October 21, 2013

Khud-kalaamii by Parveen Shakir

Yu'n lagta hai
Jaise mere gird-o-pesh ke log
Ek aur hi boli bolte hai'n
Woh wavelength
Jis par mera aur un ka raabta qayem tha
Kisi aur kurey mein chali gaii
Ya meri lughat matrook huii
Ya unn ka muhavara aur hua
Mere lafz mujhe jis raste par le jaate hai'n
Uss raste ke maa'nii ke liye
Unn ki farhang juda hai
Main lafzo'n ki taqdees ki khatir chupp hu'n
Aur meri saari guftugu
Deewar se ya tanhaii se ya apne saaye se mumkin hai
Mujhe darr uss pul se lagta hai
Jab khud mein sukadte sukadte
Main apne aap se baate'n karne waali
Frequency bhi bhula du'n
Aur ek din
May Day May Day" karti reh jaoo'n !

Qurutt-ul-ain Haider by Parveen Shakir

Jeevan zehar ko math kar amrit nikalne waali mohini
Bhara pyala haatho'n mein liye pyasi baithi hai
Waqt ka rahuu ghoo'nt pe ghoo'nt bhare jaata hai
Devi be-bas dekh rahi hai !
Pyas se bekal hai-------- aur chup hai !
Aisi pyas ke jaise
Uss ke saato'n janam ki jeebh yeh kaa'ntey gade rahe ho'n
Saagar uss ka janam bhawan
Aur jal ko uss se bair
Ret pe chalte chalte ab tau jalne lage pairr !
Ret bhi aisi, jis ki chamak se,
Aankhen jhulas gaii hai'n
Tayyab rizq ki dua qubool huii aakhir
Aab-e-zar se naam likhe jaane ki tamanna bhi bar aaii----lekin
Pyasi aatma sona kaise pii le ?
Ek sansar ko raushni baa'ntne waala sooraj
Apne burj ki taareeki ko
Kis naakhun se cheele
Shaam aate aate kaali deewar phir oonchii ho jaati hai ! 

Maargazeedah

Masoomiyat aur hamaqat mein pal bhar ka faasla hai!
Meri basti mein pichli barsat ke baad
Ek aisi aa'saab shikan khushboo phaili hai
Jis ke asar se
Mere qabeele ke saare zeerak afraad
Apni apni aankhon ki jhilli matiyali kar baithe hai'n
Saada loh tau pehle hi
Sarkando'n aur chambeli ke jhaado'n ke paas
Be-sudh paaye jaate thay
Dahan ke ander ghulte hi
Neem ke patto'n ka yu'n barg-e-gulab ho jaana tau majboori thi
Hairat tau iss baat pe hai ke
Aak ke paudo'n ki maujudgi ke ba-wasaf,
Waar is-e-tasneem-o-kausar
Aisi lu'aab aalood mithas ko aab-e-hayat samajh baithe hai'n
Masoomiyat aur hamaqat mein pal bhar ka faasla hai !

Mafahamat by Parveen Shakir

Zindagi ke liye
Ab tumhara rawaiyya, achanak bohot sulah juu ho gaya hai
( samundar ki sar kash hawao'n ko
Joo-e-shabista'n ki aahista gaami Mubarak ! )
Yeh achcha shagun hai
Hawa ke muqabil
Agar phool aaye
Tau phir pankhudi pankhudi
Ujle badal ke khwabo'n ki soorat bikhar jaye gi
So aise mein, jhukne mein hi khair hai !
Baarish-e-sung mein
Khwab ke sheesh mahalo'n ko kab tak bachaye rakhe'n
Itne haatho'n mein patthar hai'n
Koi tau lag jaye ga
Aur phir
Ghupp andhere mein kab Tak nazar kirchiya'n unn ki dhoo'nde
Kya yeh behtar na ho ga
Ke aisi qayamat se pehle hi
Inn sheesh mahalo'n ko hum
Maslahat ki chamakti huii ret mein dafan kar de'n
Aur phir khwab bunti huii aankh se m'aazrat kar le'n !
So tum ne bhi ab
Ek haari huii qaum ke rahnuma ki tarah
Apne hathiyar dushman ke qadmo'n mein rakh kar
Nai dosti ka larzta hua haath uss ki taraf badhaya hai
Aur ---- meri samajh mein nahin aa raha hai
Ke hathiyar dene ki iss rasm mein
Kya karu'n
Tumhari chamakdaar, matrooka'h talwar ko
Badh ke choommo'n
Ke apne gale par rakhu'n ?

Monday, October 14, 2013

Skimming Ghalib

If one has to compile a list of the World’s greatest poets, it would undoubtedly be incomplete without the mention of Mirza Asadullah Khan Ghalib.
“Naqsh fariyadi hai kiski shokhi-e-tahreer ka
Kaaghazi hai pairahan har paikar-e-tasveer ka’
As one leafs through the deewan one comes across many more such questions that flummox one with the intricacies of reality. Ghalib was a masterstroke who embraced the nuances of each of Life’s colours rather than just painting it in stark black or white. His poetry surges with a sea of human emotions at their crest, with each of his couplets doling out a philosophy by itself, uncannily reflecting idealism, mysticism, realism, rationalism and scepticism, all at once.
Ghalib shaped the traditional form of Ghazal into a summation of myriad feelings, problems, thoughts and experiences, to become a medium of concise yet non-conflicting expression. His Deewan is an exemplary reflection of Ghalib’s varied genius; sometimes sucking one into his forceful thoughts, while at others joining him in play with imagination drawn to a joyous toy, like a naughty child. All his ghazals are a surprise cauldron of happiness, surprise, sorrow... They are perhaps also a reflection of Ghalib’s own troubled personal life, which was full of strife sadness that peeks through some of his ghazals:
“Gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg-e-ilaaj
Shama har rang mein jalti hai seher hone tak”
Tinged with sadness, it is this aspect of his poetry that wrenches hearts and appeals to most. Like the master himself recited:
‘Kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be-asar
Parde mein gul ke jigar chaak ho gaye”
Beyond all this there is one other facet that shares space with life, mysticism, love, beauty in Ghalib’s poetry- Death. And he like a true blue philosopher takes on death, in its face, in all starkness:
“Ishrat-e-qatra hai dariya mein fanaa ho jaana
Dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana”
While the darkness of death and the heaviness of philosophy can mislead one into thinking of Ghalib as nothing but serious, yet the effervescence of his personality sears through some of his most celebrated ghazals and couplets, that carve him out as probably, the greatest ever romantic Indian history has ever seen. As I end my note, I shall leave all with this side of Ghalib, as he expresses with a frenzy that can only belong to a lover:
“Ishq se tabiyat ne zeest ka maza paaya

Dard ki dawa payi, dard, la-dawa paaya”

Skimming Ghalib

If one has to compile a list of the World’s greatest poets, it would undoubtedly be incomplete without the mention of Mirza Asadullah Khan Ghalib.
“Naqsh fariyadi hai kiski shokhi-e-tahreer ka
Kaaghazi hai pairahan har paikar-e-tasveer ka’
As one leafs through the deewan one comes across many more such questions that flummox one with the intricacies of reality. Ghalib was a masterstroke who embraced the nuances of each of Life’s colours rather than just painting it in stark black or white. His poetry surges with a sea of human emotions at their crest, with each of his couplets doling out a philosophy by itself, uncannily reflecting idealism, mysticism, realism, rationalism and scepticism, all at once.
Ghalib shaped the traditional form of Ghazal into a summation of myriad feelings, problems, thoughts and experiences, to become a medium of concise yet non-conflicting expression. His Deewan is an exemplary reflection of Ghalib’s varied genius; sometimes sucking one into his forceful thoughts, while at others joining him in play with imagination drawn to a joyous toy, like a naughty child. All his ghazals are a surprise cauldron of happiness, surprise, sorrow... They are perhaps also a reflection of Ghalib’s own troubled personal life, which was full of strife sadness that peeks through some of his ghazals:
“Gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg-e-ilaaj
Shama har rang mein jalti hai seher hone tak”
Tinged with sadness, it is this aspect of his poetry that wrenches hearts and appeals to most. Like the master himself recited:
‘Kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be-asar
Parde mein gul ke jigar chaak ho gaye”
Beyond all this there is one other facet that shares space with life, mysticism, love, beauty in Ghalib’s poetry- Death. And he like a true blue philosopher takes on death, in its face, in all starkness:
“Ishrat-e-qatra hai dariya mein fanaa ho jaana
Dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana”
While the darkness of death and the heaviness of philosophy can mislead one into thinking of Ghalib as nothing but serious, yet the effervescence of his personality sears through some of his most celebrated ghazals and couplets, that carve him out as probably, the greatest ever romantic Indian history has ever seen. As I end my note, I shall leave all with this side of Ghalib, as he expresses with a frenzy that can only belong to a lover:
“Ishq se tabiyat ne zeest ka maza paaya

Dard ki dawa payi, dard, la-dawa paaya”

Saturday, October 5, 2013

Religion, sex aur elections

Iss duniya mein do cheeze'n dhadalley se BIKTI hain; Sex aur religion. Internet par hi check kar lijiye kaisi websites ki HITS sab se zyada hai'n.

Sex tau log khud apni khushi se khareed lete hain lekin religion, mazhab, DHARM mein ek pech hai. Mazhab ke naam par information ho ya phir rituals par chalne ki seekh. Nafrat ho ya phir ek doosre par ke had uchlalne ki muhim, sab log apni khushi se shaamil nahin hote. Kuch tau iss darr se saath nibhate hain ke hamare " bade " hum se naraaz ho jayen ge ya phir iss liye ke chalo, isi bahane " power " ka kuch hissa apne haath bhi lage ga.

Aane waale elections mein aap ko religion aur sex ka mila-jula ek naya roop dekhne ko mile ga... Details, filhaal bata nahin sakta hu'n. phir kabhi.

Sunday, September 29, 2013

Political Speeches by Haali ( abridged )

Yeh sach hai ke jaadoo hai bya'n mein tere, lekin
Kuch sahar-bayaani ka teri dhang naya hai

Hai dil mein nihaa'n ek shikaayat ka toomaar
Aur lab pe jo dekho, tau na shikwa, na gila hai

Jo sulah ki baate'n, so hai'n shahad se sheeri'n
Aur Jung mein kuch lutf-e-sukhan iss se siwa hai

Khulta nahin kuch iss ke siwa tere baya'n se
Ek murgh hai Khush -Lahja, kuch bol raha hai

Saturday, September 28, 2013

Adabi Manzanaama by KhalidBasheer Ahmed ( Kashmiri Poet )

Har kas-o-na kas ki Urdu se shanasaaii huii
Kuch na kuch she'rr-o-adab ki bhi pazeeraii huii

Saheb-e-Deewan LALLU KHAN jab se ho gaye
Hai udhar khatoon-e-khaana wajd mein aaii huii

Kal Samad dhobi ka majmoo'a-e-sukhan chapne ke baad
Sajida dohban se jaada'h paimaii huii

Saare naii aur pansari yaha'n ahl-e-adab
Aur uroos-e-fikr-o-fann hai unn ke ghar ki daii huii

Shahar mein ab naanbaii kar rahe hain book release
Marthaba, Urdu zabaa'n ki izzat afzaii huii

Inn ke " haalato'n " ka matlab kuch nahin " haalat " hai
Jinn ke haatho'n, rasm-e-ajra, rasm-e-ajraii huii


Thursday, September 26, 2013

Raqeeb... a poem dedicated to....

Soorat aaine mein apni
saara din dekhna kaam uss ka
sab se pyara duniya mein
uss ko hai bas naam uss ka

Har zaaviye se apni tasveer
dekhte rehna usse pasand hai
husn khud mein nazar aata hai
auron ke husn se aankh band hai

Apna hi zikr chaahe hai woh
sun'na har kisi se subah shaam
khud apni tareef karna
ek yahi usse bhaata kaam

Usse khud hi se mohabbat hai
koi doosra nahin habeeb uss ka
khush naseeb hai woh bohot
iss ishq mein nahin raqeeb uss ka