Monday, October 21, 2013

Khud-kalaamii by Parveen Shakir

Yu'n lagta hai
Jaise mere gird-o-pesh ke log
Ek aur hi boli bolte hai'n
Woh wavelength
Jis par mera aur un ka raabta qayem tha
Kisi aur kurey mein chali gaii
Ya meri lughat matrook huii
Ya unn ka muhavara aur hua
Mere lafz mujhe jis raste par le jaate hai'n
Uss raste ke maa'nii ke liye
Unn ki farhang juda hai
Main lafzo'n ki taqdees ki khatir chupp hu'n
Aur meri saari guftugu
Deewar se ya tanhaii se ya apne saaye se mumkin hai
Mujhe darr uss pul se lagta hai
Jab khud mein sukadte sukadte
Main apne aap se baate'n karne waali
Frequency bhi bhula du'n
Aur ek din
May Day May Day" karti reh jaoo'n !

No comments:

Post a Comment