Monday, October 21, 2013

Maargazeedah

Masoomiyat aur hamaqat mein pal bhar ka faasla hai!
Meri basti mein pichli barsat ke baad
Ek aisi aa'saab shikan khushboo phaili hai
Jis ke asar se
Mere qabeele ke saare zeerak afraad
Apni apni aankhon ki jhilli matiyali kar baithe hai'n
Saada loh tau pehle hi
Sarkando'n aur chambeli ke jhaado'n ke paas
Be-sudh paaye jaate thay
Dahan ke ander ghulte hi
Neem ke patto'n ka yu'n barg-e-gulab ho jaana tau majboori thi
Hairat tau iss baat pe hai ke
Aak ke paudo'n ki maujudgi ke ba-wasaf,
Waar is-e-tasneem-o-kausar
Aisi lu'aab aalood mithas ko aab-e-hayat samajh baithe hai'n
Masoomiyat aur hamaqat mein pal bhar ka faasla hai !

No comments:

Post a Comment