Monday, October 21, 2013

Mafahamat by Parveen Shakir

Zindagi ke liye
Ab tumhara rawaiyya, achanak bohot sulah juu ho gaya hai
( samundar ki sar kash hawao'n ko
Joo-e-shabista'n ki aahista gaami Mubarak ! )
Yeh achcha shagun hai
Hawa ke muqabil
Agar phool aaye
Tau phir pankhudi pankhudi
Ujle badal ke khwabo'n ki soorat bikhar jaye gi
So aise mein, jhukne mein hi khair hai !
Baarish-e-sung mein
Khwab ke sheesh mahalo'n ko kab tak bachaye rakhe'n
Itne haatho'n mein patthar hai'n
Koi tau lag jaye ga
Aur phir
Ghupp andhere mein kab Tak nazar kirchiya'n unn ki dhoo'nde
Kya yeh behtar na ho ga
Ke aisi qayamat se pehle hi
Inn sheesh mahalo'n ko hum
Maslahat ki chamakti huii ret mein dafan kar de'n
Aur phir khwab bunti huii aankh se m'aazrat kar le'n !
So tum ne bhi ab
Ek haari huii qaum ke rahnuma ki tarah
Apne hathiyar dushman ke qadmo'n mein rakh kar
Nai dosti ka larzta hua haath uss ki taraf badhaya hai
Aur ---- meri samajh mein nahin aa raha hai
Ke hathiyar dene ki iss rasm mein
Kya karu'n
Tumhari chamakdaar, matrooka'h talwar ko
Badh ke choommo'n
Ke apne gale par rakhu'n ?

No comments:

Post a Comment