Saturday, September 15, 2012

CHAARAGAR.....MAKHDOOM

EK CHAMBELI KE MANDWE TALE
MAIKADE SE ZARA DOOR USS MOD PAR
DO BADAN
PYAR KI AAG MEIN JAL GAYE
PYAR, HARF-E-VAFA
PYAR, UNN KA KHUDA
PYAR, UNN KI CHITA
DO BADAN
OSS MEIN BHEEGTE, CHANDNI MEIN NAHATE HUYE
JAISE DO TAAZA RU TAAZA DUM PHOOL PICHLE PEHAR
THANDI THANDI SUBAK RU CHAMAN KI HAWA
SARF-E-MAATAM HUYEE
KAALI KAALI LATON SE LIPAT GARAM RUKHSAAR PAR
EK PAL KE LIYE RUK GAYEE
HUM NE DEKHA NAHIN
DIN MEIN AUR RAAT MEIN
NOOR-O-ZULMAAT MEIN
MASJIDON KE MINARON NE DEKHA UNHEN
MANDIRON KE KIWADON NE DEKHA UNHEN
MAIKADON KI DRADON NE DEKHA UNHEN
AZ AZAL TA ABAD
YEH BATA CHARAAGAR
TERI ZANBEEL MEIN
NUSKHA-E-KIMYA-E-MOHABBAT BHI HAI?
KUCH ILAAJ-O-MADAW-E-ULFAT BHI HAI?
EK CHANBELI KE MANDWE TALE MAIKADE SE ZARA DOOR, USS MOD PAR
DO BADAN
CHAARAGA:

No comments:

Post a Comment