Tuesday, July 30, 2013

pakistan ka pehla eid card ...sitara jaafari

" main sitara jaafari ke iss mazmoon ke kuch hisse naqal kar raha hun, yeh hisse kuch logo'n ko pasand aa sakte hain aur kuch logo'n par graa'n guzar sakte hai....jameel gulrays "


29 aktoobar 1974 ka din kis qadar mubarak hai, aaj mujhe apne barso'n ke bichde huye bhai-behan aur dosto'n ke eid card mile hain. yeh ek dastoor hai ke door rehne waale azeezo'n aur dosto'n ko eid card ke zariye tahniyat-e-eid dii jaati hai. lekin guzishta teen saal se hum aapas mein ek-doosre ko eid mubarak bhi nahin keh sakte thay.

khuda ka shukr hai ke hamari vazeer-e-aazam indira gandhi aur pakistan ke sar-baraah zulfiqar ali bhutto ne jo ek doosre ki jaanib dosti ka haath badhaya hai, uss ka pehla samar hame'n eid card ki soorat mein mila hai.

aaj mujhe dono mulko'n ke baashindo'n ke bade chote-chote aur mohabbat bhare waaqiyaat yaad aa rahe hain. 1970 mein main pakistan gaii thii, uss waqt mujhe andaza hua ke waha'n ke log hindustan se mohabbat aur dosti ke khwaha'n hain; aur yahan ke sikh, punjabi pakistani sar-zamneen ko dekhne ke liye beqaraar hain. main jab yahan se jaa rahi thi tab meri ek punjabi dost ne kaha tha
" tum karachi jaa rahi ho tau lahore bhi zaroor jaana aur wahan ka anar kali bazaar dekhna "
" khoobsoorat bhi hai aur anar kali se ek raasta ander ki taraf jaata hai, wahan hamara ghar ha. taqseem se qabal hum wahan raha karte thay.

isi qism ka ek waaqia mujhe hawaii jahaz mein pesh aaya. mere aage waali seat par ek sardar ji apni biwi ke saath baithe huye thay, biwi ke haath mein ek bohot khoobsoorat shawl thi jis par kapde se kaam bana hua tha.
" main ne poocha. aap ne hindustan mein yeh kahan se khareedi "
" nahin ji! yeh tau hamare pakistan ki bani huii hai. iss ko rallii kehte hain "
" main bhi pakistan jaa rahi hu. yeh wahan par kahan mile gi " main ne daryaft kiya
" aap hamare hyderabad sindh jaiye ga wahan ek bazaar hai jo resham gali kehlata hai. wahan aap ko rallii aur harqism ka saaman mil jaye ga "
" achcha aap ka ghar hyderabad sindh mein ha?
" nahin behanji. ab ghar tau kahin bhi nahin raha. barso'n se europe mukhtalif mulko'n mein kaarobar kar rahe hain " sardar ji ne ek aah bhari aur jawab diya. bas yeh samajh lijiye.
                                         Baith jaata hu'n jaha'n chaao'n ghani hoti hia
                                         haye kya cheez ghareeb-ul-watni hoti hai

main  26 saal baad apne bichde huye azeezo'n se mili. unhe'n apne baap daada ki sar zameen ki yaad unn ko kis tarah satati hai, iss ka andaza wahi log laga sakte hainjo inn halaat se guzre hain.
jo log yahan se gaye thay unn ke poochne par mujhe akhtar shirani marhoom ka yeh sh'err yaad aa jaata
                                          o des se aane waale bata
                                          kis haal mein hain yaaran-e-watan.........................................................................................

( ab jump kar ke aakhiri hisse par aa raha hu'n JG )
numaiish mein ek ek rupey ke card bik rahe thay ( Sadeqain jo pakistan ke mashoor artist thay, un ke haatho"n )
log baaqayeda line lagaye khade thay. mere daryaft karne par maloom hua ke yahan sadeqain dastakhat kar rahe hain. ek card main ne bhi khareed liya aur jab unn ke qareeb pahunchi tau dekha woh behad thake huye andaz mein ek haath se sar pakde huye dastakhat kar rahe thay. main ne jab apna card unn ke saamne mez par rakha tau unho'n ne ek nazar mere oopar daali aur card ki pusht par ek ladki ki tasveer bana kar apne dastakhat kar diye.

mere dil mein aaye yeh shayer bhi hain kyun na inn se ek sh'err bhi likhwa lu'n. main dobaara unn ke qareeb gaii tau dekha ladkiya'n mere card ka hawala de kar unn se tasveer banwane ki farmaiish kar rahi thi'n.
" main bohot thaka hua hu'n. tumhare liye yahi kaafi hai. "
 mere dil mein aaya ke kahin mujhe bhi jhidak na de'n, himmat kar ke kaha
" badi meharbaani ho gi agar aap iss card apna ek sh'errlikhne ki zehmat gawara kare'n "
unho'n ne mujhe ghaur se dekha aur kaha " card par jagah nahin hai, warna poori rubaii likh bdeta" phir ek sh'err likh diy;_
                           ek tujh ko nazar nahin aaii
                           poori mahfil mein merei tanhaii
card waapas karte huye mujh se poocha " aap kahan se tashreef laaii hain "
meri bhaanji ne jawab diya " bambai se. yeh Sardar Jaafari ki choti behan hain
Saadeqain fauran uth khade huye " iss naam ko sun meri tau aankhon ki raushani badh gaii aur tamaam thakan door ho gaii. main yeh 48 foot lambi tasveer ek maah shab-o-roz mehnat kar ke banaii hai. jaafari ke naam mein kitni taaqat hai aur mujhe unn se kitna pyar hai yeh main aap ko bata nahin sakta "
main ne poocha " aap ki Sardar bhai se mulaqaat hai? "
" nahin main ne unn ko kabhi nahin dekha, khuda ek martaba milwa de, basa yahi dua hai. "

main ne shairo'n aur adeebo'n se le kar awaam ke dilo'n tak jo mohabbat ke sote phoot'te dekhe hain khuda kare woh aabshaar ban kar behne lage'n.


No comments:

Post a Comment