Monday, July 22, 2013

Sha'ir lo'g... Faiz Ahmed Faiz

Har ek daur mein hum, har zamaane mein hum
Zehar peete rahe, geet gaate rahe
Jaan dete rahe zindagi ke liye
Ssa'yet-e-vasl ki sarkhushi ke liye


Deen-o-duniya ki daulat luata'te rahe
Faq'r-o-faaqa ka tosha sambhale huye
Jo bhi rasta chuna uss pe chalte rahe
Maal waale hiqaarat se takte rahe
Ta'n karte rahe, haath malte rahe
Hum ne unn par kiya harf-e-haq sa'ng zan
Jin ki haibat se duniya larzti rahi
Jin pe aa'nsoo bahane ko koii na tha
Apni aankh unn ke gham mein barastii rahi
Sab se ojhal huye hukm-e-haakim pe hum
Qaid khaane sahe, taazia'ne sahe
Lo'g sunte rahe saaz-e-dil ki sada
Apne naghme sa slaakho'n se chante rahe
Khoonchakaa'n dahar ka khoo'nchakaa'n aaina'h
Dukh bhari khalq ka dukh bhara dil hai'n hum
Tab'e sha'ir hai jangah-e-adl-o-sitam
Munsif-e-khair-o-shar, haq-o-baatil hai'n hum

No comments:

Post a Comment