Saturday, July 6, 2013

Meer Taqi Meer ki khud pasandi

Asha'rr ki maqbooliyat, logon ki qadar afzaii ne meer ke dimaagh ko unn hado'n Tak pahuncha diya tha jise ghuroor ka naam diya jaa sakta hai.
Mundarja zail waaqiyaat se andaaza lagaiye:

1. Unn ke kalam ki azmat se kisi shayer ne kabhi inkaar nahin kiya. Lekin phir bhi mukhtalif shayer apne apne ustaad ki taareefe'n kat'tey aur aapas mein ek doosre ko badhatey rehtey. Iss par meer ney ek masnavi " azhdar naama " likhi jis mein unho'n ney apne ohad ke doosre sho'raa ko keede-makodo'n se taabeer kiya, kisi ko saanp bataya, kisi ko bichchoo aur apne aap ko azhdar qarar diya jo ek phunkar se sab ko fana kar deta hai. Yeh masnavi unn ke ibtedaii daur ki hai.

2. Meer ke hum-asar hakeem qudratullah qasim dehalvi apne tazkare" mein likhte hain ke meer ke kubr-o-ghuroor ke mutaalliq kya likhu'n kyun ke uss ki hadd hi nahin hai. Unn ke nakhvat-o-khudsari ke zikr se qalam ki zaban zakhmi huii jaati hai.

3. Qasim ney meer ki bad dimaaghi ka ek waaqiya bhi byan kiya hai. Kehte hain ke Mirza Mohammed Taqi khaan Taraqqi ke yahan mushayera tha. Jura'at ney kai ghazle'n padhi'n. tahseen aur afreen ke shor se kaan padi awaaz sunaii na deti thi. Meer bhi maujood thay. Jura'at Meer ke qareeb aaye aur apne kalaam ki daad chahi. Meer khamosh rahe. Aakhir do-teen martaba ki darkhwast ke baad yeh kaha:-
" kaifiyat iss ki yeh hai ke tum she'rr tau keh nahin jaantey ho apni chooma-chaati keh liya karo. "

4. Meer Saheb lucknow mein taaza vaarid huye thay ke Mirza Mufal Sabqat jo khud achche shayer thay, unn ki mulaaqat ko gaye. Kuch der idhar udhar ki baate'n karne ke baad darkhwast ki ke apne kalaam se mustafeed farmaiye. Meer Saheb ney kuch der sochne ke baad farmaya " tumhari soorat se sukhan fehmi zaahir nahin hoti phir apne sukhan ko zaayaa karney se kya haasil? "

5. Ek din Nawab Asifuddaula'h Bahadur apne kutub khaaney mein tashreef farma thay. Saamne Meer Saheb baithe huye thay. Ek kitaab nawab Saheb se door aur Meer Saheb se qareeb thi. Nawab Saheb ne farmaya ke woh kitaab mujh ko utha dijiye. Meer Saheb ney ek Khadim se farmaya suno tumhare aaya kya farmate hain. Nawab Saheb ney uth kar woh kitaab khud utha li.

6. Aasifuddala'h ke ustaad Meer Soz mujre ke liye haazir huye. Meer Saheb bhi uss waqt maujood thay. Nawab ki farmaish par Soz ney do-teen ghazle'n padhi'n aur Nawab ney khoob taareef ki. Meer Saheb ko Nawab ki taareef nagawar guzri aur Soz se kaha. " tunhe'n iss dileri par sharm nahin aati. Tumhari she'rr khwani ka mauqa aur mahal tau woh hai jahan ladkiya'n jamaa ho'n aur hand-kuliya'n pak rahi ho'n, na woh jahan Meer Taqi maujood ho'n "

7. Apne iss mizaaj ki taraf unho'n ne apne kalaam mein bhi ishaare kiye hain , maslan:

Hai naam majliso'n mein mera be-dimaagh
Az baske kam dimaaghi ney paaya hai ishtihaar

Har lehza bad mizaaji rehti hai meer tum ko
Uljhao hai zamee'n se jhagda  hai aasma'n se

Saare aalam par hu'n main chaaya hua
Mustanad hai mera farmaya hua

Hain musht-e-khaak lekin jo kuch hain meer hum
Maqdoor se zyada maqdoor hai hamara

1 comment:

  1. Want to Make Website or Software...? Any Type of Website and Software and Desktop and Web Based Applications.
    Want to Make Now, Just Contact us at Skype
    Skype : Jobz.Corner

    ReplyDelete