Wednesday, July 24, 2013

Dar Mazammat-E-Duniya.... meer taqi meer

suno aye azeezaan-e-zii hosh-o-aqal
ke iss kaarva'n gah se karta hai naqal

paimbar hai shah hai ke darvesh hai
sabho'n ko yahi raah dar-pesh hai

kaho ge ke aage tha kehta koi
nahin iss sara beech rehta koi

yeh baithe jo hain saamne hain kahan
jahan jumla hai ek bazm-e-ravaa'n

jise dekho chalne ka garam talash
yeh manzil nahin jaa-e-bood aur baash

gada ho ke ho shah-e-aali tabaar
tah-e-khaak sab ka hai daar-ul-fazaar

mile khaak mein jhad ke gul-haaye tar
paresha'n huye murgh-e-gulshan ke parr

patango'n ne gar khaak-e-maskan kiya
chiraagho'n ne bhi khaana raushan kiya

gaii khak daaman fashani ke saath
raha aab so bhi ravaanii ke saath

sukoo'n yaa'n ka dekha sarasar shataab
chale jaate hain koh jaise sahaab

jaha'n ek maatam sara hai ajab
nahin jaa-e-baash aur jaa hai ajab

bhala jii ke jaane ka kya hai bayaa'n
ayaa'n hai kehte hain jaa'n ko ravaa'n

jawani gaii mausam-e-shaibb hai
shahood ek do roz ko ghaibb hai

bila art'aash-e-tann-e-zaar hai
har ek azoo jalne ko tayyar hai

hua haafiza bas ke nisyaa'n ka sarf
nahin yaad aata hai do sheena'h harf

huye she'rr kya kya faramosh haye
kahu'n kya guzarti hai khamosh haye

na poocho lab-o-lehja be taur hai
sukhan karne ka dhang hi aur hai

nahin gaur ke kaam se kuch firaagh
kise zauq-e-sohbat kahan hai dimaagh

na kuch yun hi ainak nazar chadh gaii
basarat ki be-taaqati badh gaii

sad afsos lutf-e-sam'aat nahin
sada door se jaise aave kahin

labo'n par nihayet zaeef ek aah
dar-o-baam par hasrato'n se nigah

wagarna diya sa bujha jaye hai
phir uth baithu'n tau jii jala jaye hai

siyah-roo-e-saibb ek sitam kar gaya
likhu'n kya ke main jeete jee marr gaya

qalam rakh de kar meer khatam-e- kalaam
tamaam apni sohbat huii wa-assalaam

No comments:

Post a Comment