Monday, July 22, 2013

Lauh-O-Qalam... Faiz Ahmed Faiz

Hum parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahe'n ge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahe'n ge
Asbaab-e-gham-e-ishq bah'am karte rahe'n ge
Ha'n talkhii-e-ayyam abhi aur badhe gii
Ha'n ahl-e-sitam, mashq-e-sitam karte rahe'n ge
Manzoor yeh talkhii, yeh sitam hum ko gawaara
Dum hai tau madavaa-e-sitam karte rahe'n ge
Maikhana salaamat hai tau hum surkhi-e-mai se
Taz'in-e-dar-o-baam-e-haram karte rahe'n ge
Baaqi hai lahoo dil mei'n tau har ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam karte rahe'n ge
Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unn ko mubarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahe'n ge

1 comment:

  1. “Mata'-e-lauh-o-qalam chhin gayi to kya gham hai,
    Ke khoon-e-dil mein dubo li hain ungliyan maine; Zabaan pe mohr lagi hai to kya, ke rakh di hai,
    Har ek halqa-e-zanjeer mein zabaan maine...”

    ReplyDelete