Tuesday, July 2, 2013

MEETHA GOSHT..... SHAUKAT THANVI

YEH KHABAR TAU AAP NE KUCH DIN PEHLE AKHBAAR MEIN PADH HI LI HO GI KE EK SAHEB NE, JIN KE MUTA'LLIQ YEH TAH THA KE WOH ANGREZI MEIN SHUDD BUDD RAKHTE HAIN.
" SWEET MEAT " KA TARJUMA " MEETHA GOSHT " KIYA THA AUR YEH SAABIT KIYA THA KE WOH ANGREZI MEIN " SHUDD " BHI RAKHTE HAIN AUR " BUDD " BHI YAANI ALEHDA ALEHDA SWEET KE MAANII BHI JANTE HAIN AUR MEAT KE MAANII BHI. AB YEH GHALTI        
UNN KI NAHIN BALKE ANGREZI ZABAN KI HAI KE

          " SWEET MEAT "
MEETHE GOSHT KO NAHIN BALKE MITHAII KO KEHTE HAIN. MAGAR UNN BECHAARE KE USS SLAH AANE SAHI TARJUME KA HAR TARAF MAZAQ UDAYA GAYA. YEH BAAT AKHBAARO'N MEIN CHAPII. ISS PAR TABSARE HUYE. TABSARO'N PAR QAHQAHE LAGAYE GAYE. AUR HANSNE-HANSAANE KE BAAD SANJEEDGI SE ISS QISM KI BAATE'N KAHI GAYEE'N KE DEKH LIJIYE SAHEB AB YEH REH GAYA HAI HAMARA MEYAA-E-TAALEEM AUR AISE HOTE HAIN AAJKAL LE TAALIB-E-ILM.

AB TAU ISS KA KOI ILAAJ NAHIN HAI KE HAMARE BAAZ TAALIB-E-ILMO'N KI ZAHANAT KO BHI JAHALAT KAHA JAATA HAI. MASLAN EK SAHEBZAADE NE ----SUNDAY KO ITWAAR LIKHNA EK AAM RAVISH SAMAJH KAR '" DHOOP KHANE KA DIN " LIKH DIYA. UNN SE POOCHA GAYA BARKHURDAR DHOOP  KHAANE KE DIN SE TUMHARI KYA MURAD HAI TAU WOH BOLE " KE JIN ANGREZO'N KI YEH ZABAN HAI. UNN KE MULK MEIN BADI SARDI PADTI HAI MAGAR MASROOFIYAT KI WAJAH SE WOH DHOOP KAANE KO BHI TARSA KARTE HAIN. ALBATTA HAFTE KA YAHI DIN HOTA HAI JAB WOH KAAROBAR BAND KARTE HAIN. DAFAATAR NAHIN JAATE AUR CHUTTI MANA KAR NIHAYET ITMINAAN SE PADE DHOOP KHAYA KARTE HAIN ISI RIYAET SE ANGREZO'N NE ISS DIN KA NAAM SUN YAANI SURAJ AUR DAY YAANI DIN GOYA SURAJ KA DIN RAKHA HAI. AGAR AAP ISS KO ITWAAR KEHNE LAGE HAIN TAU ISS KI ZIMMEDARI ANGREZO'N PAR NAHIN HAI. AAP AGAR SUNDAY KO SHARBAT-E-BANAFSHA BHI KEHNE LAGTE TAU WOH AAP KA KYA KAR SAKTE THAY.MAGAR SUNDAY KE ASL MAANI YAHI HAIN JO MAIN NE LIKHE HAIN YAANI DHOOP KHANE KA DIN.

ISS QISM KE TARJUMO'N KE ISS ZAMAANE KE SAB SE BADE USTAAD HAMARE DOST MAULANA MAHIR-UL-QADRI HAIN JIN KO URDU AUR ANGREZI DONO ZABANO'N PAR ITNA UBOOR HAASIL HAI KE WOH INN ZABANO'N KE IMTEZAJ SE EK AISI ZABAN BANATE  CHALE JAA RAHE HAIN JO NA URDU JAN'NE WAALO'N KE PALLE PADTI HAI NA ANGREZO'N KI SAMAJH MEIN AATI HAI. EK SE EK ZBAN DAA'N ANGREZ YEH ANGREZI SUNN KAR KAKKA BAKKA REH JAATA HAI. ANGREZO'N KA YEH HAAL HAI TAU HUM DESI KIS KHET KI MOOLI HAIN. AGAR KISI KO APNI ANGREZI DAANI PAR NAAZ HAI TAU BATAYE KE ALIVE WIND KE KYA MAANI HAIN. POOCHTE PHIRIYE EK SE EK MAADARZAAD ANGREZ SE NA SAB KE SAB CHAKRA KAR REH JAAYE'N TAU HAMARA ZIMMA. JANAAB-E-WAALA ISS ALIVE WIND KE MAANII HAIN " ZINDA BAAD ". AB ALEHDA ALEHDA DONO LAFZO'N KE MAANII DEKH LIJIYE.

ALIVE YAANI ZINDA. ISS TARJUME SE KISI KO INKAAR NAHIN HO SAKTA WIND YAANI BAAD BAMAANII HAWA LIHAZA DONO MIL KAR ZINDA BAAD HUYE YA NAHIN.ISI TARAH MAULANA MAHIR-UL-QADRI NE JO ANGREZI BOLTE HUYE MAHIR-UL-PAADRI NAZAR AATE HAIN APNE EK DOST SHAYER SE POOCHA.

" KYUN JANAAB AAP NE KABHI " LITTLE SEA " MEIN GHAZAL KAHI HAI? "

AB WOH BECHARA HAIRAN KE KYA JAWAB DE. AAKHIR BA-MUSHKIL KHUD MAULANA NE APNE SHAYER DOST KO SAMJHAYA KE:-

" LITTLE SEA " KA MATLAB KE CHOTI BEHAR MEIN GHAZAL KAHI HAI. "

No comments:

Post a Comment