Tuesday, July 23, 2013

Flower Show.... Parveen shakir

phool hi phool hai'n
ta ba'h hadd-e-nazar
aatishi, aasmani, gulabi
kaasini, champaii, arghawani
kitne mashshaq haatho'n ne--------kitni,
yasman yasmin ungliyo'n ne
iss tarah se sajaya, sa'nwara inhe'n
aur phir daad-e-ahl-e-nazar aur tahseen-e-chashm-e-nigaara'n mili
yeh na socha kisi ne, ke gul ne
shaakh se toot kar
husn ke iss safar mein
kis tarah azziyat uthaii !

hum ke sha.ir hai'n----nok-e-qalam se
fikr ke phool mehka rahe hai'n
apni soch ki taabandagi se
aariz-e-waqt chamka rahe hai'n
ek waqt aisa bhi aa raha hai
jabke deewan apne
aabnoos aur marr marr ke shelfo'n mein patthar ki maanind saj jaaye'n ge
yaasmin yaasmin ungliya'n
she'rr ke lams se be-khabar
unn ko tarteeb de'n gi
nargisi nargisi kitni aankhe'n
husn-e-tarteeb daad de'n gi
iss haqeeqat se na aashna
husn-e-takhleeq ke iss safar mein
hum ne kaisi azziyat uthaii !

No comments:

Post a Comment