Tuesday, September 3, 2013

Woh Aankhen Kaisi Aankhen Hain? Parveen Shakir

Woh aankhen kaisi aankhen hain
Jinhe'n tum ab chaha karte ho!
Tum kehte thay
Meri aankhen, itni achchi, itni sachchi hain
Iss husn aur sachchi ke siwa, duniya mein koi cheez nahin
Kya unn aankhon ko dekh ke bhi
Tum Faiz ka misr'aa padhte ho?

Tum kehte thay
Meri aankhon ki neelahat itni gehri hai
" Meri rooh agar ik baar utar jaye tau uss ki por por neelam ho jaye "
Mujhe itna batao
Aaj tumhari rooh ka rang-e-pairahan kya hai
Kya woh aankhen bhi samundar hain?

Yeh kaali bhoori aankhen
Jin ko dekh ke tum kehte thay
" Yu'n lagta hai shaam ne raat ke ho'nt pe apne ho'nt rakhe hai'n "
Kya unn aankhon ke rang mein bhi Yu'n dono'n waqt mila karte hai'n?
Kya sooraj doobne ka lamha, unn aankhon mein thahar gaya
Ya wahan faqat mahtaab tarshtey rehte hain?

Meri palke'n
Jin ko dekh ke tum kehte thay
In ki chaao'n tumhare jism pe apni shabnam phailaye de
Tau guzarte khwab ke mausam laut aaye'n
Kya woh palke'n bhi aisi hain
Jinhe'n dekh ke neend aa jaati ho?

Tum kehte thay
Meri aankhen Yu'n hi achchi hain
" haa'n kaajal ki dhudlaii huii tahreer bhi ho-- tau
Baat bohot dilkash ho gi !"
Woh aankhen bhi singhaar tau karti ho'n gi
Kya unn ka kaajal khud hi mit jaata hai?

Kabhi yeh bhi hua
Kisi lamhe tum se rooth ke woh aankhen ro dee'n
Aur tum ne apne haath se unn ke aansoo khushk kiye
Phir jhuk kar unn ko choom liya
( Kya unn ko bhi !! )

1 comment: