Monday, August 27, 2012

URDU POETRY--SUB; NAAZ-O-ADA ( GRACES, SIRS )

ISS SAADGI PE KAUN NA MAR JAAYE, AYE KHUDA
LADTE HAIN AUR HAATH MEIN TALWAAR BHI NAHIN...GHALIB

( WHO WILL NOT BE DISARMED BY SUCH AARTLESS WAYS
  SHE IS FIGHTING, YET SHE HAS NO SWORD TO AID )

SAB HI ANDAAZ-E-HUSN PYARE HAIN
HUM MAGAR SAADGI KE MAARE HAIN...JIGAR MORADABAADI

( DEAR TO US, NO DOUBT, IS BEAUTY'S EVERY GRACE
  BUT WE FALL SPECIALLY FOR A SIMPLE, ARTLESS FACE )

AAINE MEIN HAR ADA KO DEKH KAR KEHTE HAIN WOH
AAJ DEKHA CHAHIYE KIS-KIS KI HAI AAYEE HUYEE...AMEER MEENAI

( LOOKING IN THE MIRROR AT HER CHARMING GRACE,
  " LET'S SEE TO-DAY, " SHE SAYS " WHO WILL MEET THEIR FATE " )

RAQEEBON  NE RAPAT LIKHWAYEE JAA-JAA KE THANE MEIN
KE AKBAR NAAM LETA HAI KHUDA KA ISS ZAMANE MEIN...AKBAR

No comments:

Post a Comment