Saturday, August 18, 2012

FAIZ AHMED FAIZ...DONON JAHAN...

DONON JAHAAN TERI MOHABBAT MEIN HAAR KE
WOH JAA RAHA HAI KOI SHAB-E-GHAM GUZAAR KE

( HAVING LOST BOTH THE WORLD IN THE GAME OF LOVE
   THERE GOES A LONESOME MAN, ENDING HIS NIGHT OF GRIEF )

VIRAAN HAI MAIKADA KHUM-O-SAAGHAR UDAAS HAIN
TUM KYA GAYE KE ROOTH GAYE DIN BAHAAR KE

( DESOLATE LIES THE TAVERN, ABANDONED LIES THE CUP
  WITH YOUR DEPARTURE, SPRING HAS TAKEN LEAVE )

EK FURSAT-E-GUNAAH MILI WOH BHI CHAAR DIN
DEKHE HAIN HUM NE HAUSLE PARWARDIGAAR KE

( JUST A MERE FOUR DAYS LEAVE GIVEN TO SIN,
  HOW MAGNANIMOUS, YOU SEE, IS OUR MIGHTY LORD )

DUNIYA NE TERI YAAD SE BEGAANA KAR DIYA
TUJH SE BHI DILFAREB HAIN GHAM ROZGAAR KE

( THE WORLD HAS EXPUNGED YOUR MEMORY FROM MY MIND,
   MORE ENGAGING THAN YOU ARE THE CARES OF DAILY LIFE )

No comments:

Post a Comment