Thursday, August 2, 2012

MAZHAB

MAZHAB NE BAANTA KUCH YUN HAR INSAAN KO
KE KAR DIYA SHARMINDA DUNIYA KE HAR HAIWAAN KO

kya hum sab mazhab aur dharm ke bataye huye achche raaston par nahi chal sakte hain.

kya hum dharm aur mazhab ke naam par sirf khoon hi bahate rahen ge.

yeh baat bhi sach hai ke duniya mein jitne bhi dharm aur mazhab aaye woh aadmiyon ko behtar insaan hi banane ke liye aaye lekin inhi dharmon aur mazhabon ke naam par jitna khoon baha, usse jama kar liya jaaye tau duniya ke saare mandir, masjid, girjaghar, gurdware uss khoon mein aasani se doob jaayen.

agar isi ko mazhab ya dharm kehte hain tau mujhe inn sabko door hi se salaam.

No comments:

Post a Comment