Tuesday, August 7, 2012

GRAMMAR OF URDU GHAZAL...PART III

GHAZAL MEIN " MATLAA ' KYA HOTA HAI?
GHAZAL KE PEHLE SHERR KE DONO MISRON MEIN RADEEF KA HONA ZAROORI HOTA HAI, QAAFIYON KE SAATH-SAATH, ISS SHERR KO MATLAA KEHTE HAIN....
MASLAN:

KHATIR SE YA LIHAAZ SE MAIN MAAN TAU GAYA
JHOOTI QASAM SE AAPKA IMAAN TAU GAYA

AB, AATE HAIN " MAQTA " PAR. GHAZAL MEIN MAQTA KYA HOTA HAI? JIS  SHERR MEIN SHAYER APNA TAKHALLUS ISTEMAAL KARTA HAI , USSE MAQTA KEHTE HAIN AUR YEH AAM TAUR PAR GHAZAL KA AAKHIRI SHERR. HAR GHAZAL MEIN MAQTA HO HI, YEH ZAROORI NAHIN HAI.

MASLAN:

MEER KE DEEN-O-MAZHAB KO, AB POOCHTE KYA HO, UNN NE TAU
QASHQA KHEENCHA DAIR MEIN BAITHA , KAB KA TARK ISLAM KIYA

No comments:

Post a Comment