Friday, August 10, 2012

KHEL KO KHEL HI REHNE DO

PICHLE DINO MEIN HOCKEY PLAYER DHANRAJ PILLAI SE BAAT KARNE KA MAUQA MILA. WOH KEH RAHE THE KE AAJ BHI RAAT KO  AKSAR MERI AANKH BHAR AATI HAI, NEEND SE JAAG JAATA HUN AUR RONE LAGTA HUN KYUNKI MAIN NE HOCKEY SE KAAFI SHORAT KAMAYEE, ARJUN KHEL RATNA AWARD PAAYA, PADAMSHRI MILA LEKIN MAIN KABHI BIBH USS HOCKEY TEAM KA HISSA NAHIN BAN PAAYA JIS NE OLYMPICS MEIN MEDAL JEETA HO. MERE NAAM OLYMPICS KA KOI MEDAL NAHIN HAI.

BHARAT WAISE TAU BADA HI KHEL-PREMI DESH HAI LEKIN KHEL KO SAMAJ MEIN AAJ BHI WOH DARJA NAHIN MILA HAI JO MILNA CHAHIYE. AAJ, KHEL KE NAAM PAR AGAR KUCH HAI TAU BAS CRICKET. KYUNKI CRICKET KA ZABARDAST COMMERCIALISATION HO CHUKA HAI.

HAR MAA-BAAP CHAHTA HAI KE UNN KA BACHCHA CRICKETER BANE. KHOOB DAULAT KAMAYE AUR DUNIYA BHAR MEIN MASHHOOR HO JAYE. HOCKEY KO CRICKET NE BEHAD PEECHE DHAKEL DIYA HAI.

HAALAKI YEH BAAT SACH HAI KI BHARAT NE HOCKEY MEIN OLYMICS KE GYARAH MEDAL JEETE HAIN JO EK AISA RECORD HAI JISKI BRABARI AAJTAK KOI AUR DESH NAHIN KAR PAAYA HAI.

LEKIN AAJ BHARAT HOCKEY MEIN SPAIN TAK SE HAAR JAATA HAI, PILLAI KA KEHNA THA KI ISS BAAR OLYMPICS MEIN HOCKEY MEIN MILI SHARMNAAK  HAAR SE DIL DARD SE TADAP JAATA HAI LEKIN ISS BHI ZYADA DUKH HOTA APNE DESH KE KHEL-PREMIYON KI BERUKHI DEKH KAR. HAR SPORTING FEDRATION PAR AISE LOGON KA QABZA HAI JO KHEL KE BAARE MEIN KUCH JAANTE HI NAHIN BAS JAANTE HAIN TAU RAJNITI KARNA.

HUM NE KHELON KO KHEL REHNE HI KAHAN DIYA HAI BALKI KHELON KO RAJNITI KA AKHADA BANA KAR CHOD DIYA.

KYA KABHI KOI AISA DIN AAYE GA JAB KHELON KI BAAG-DORR KHILADIYON KE HAATH MEIN HO GI AUR KHEL KO KHEL HI REHNE DIYA JAAYE GA. WARNA KHEL KO KHEL NA REHNE DENE KE BHYANAK ANJAAM HUM HOCKEY AUR TENNIS DONO HI KHELON MEIN DEKH HI CHUKE HAIN, LONDON OLYMPICS MEIN.

No comments:

Post a Comment