Tuesday, October 30, 2012

RAMAYEN KA EK SCENE...CHAKBAST

RUKHSAT HUA WOH BAAP SE LE KAR KHUDA KA NAAM
RAAH-E-VAFAA KI MANZIL-E-AVVAL HUYEE TAMAAM

MANZOOR THA JO MAAN KI ZIYARAT KA INTEZAAM
DAAMAN SE ASHK PONCH KE DIL SE KIYA KALAAM

IZHAAR-E-BEKASI SE SITAM HO GA AUR BHI
DEKHA MAMEIN UDAAS TAU GHAM HO GA AUR BHI

DIL KO SAMBHALTA HUA AAKHIR WOH NAUNIHAAL
KHAMOSH MAAN KE PAAS GAYA SOORAT-E-KHYAAL

DEKHA TAU EK DURR MEIN BAITHI HAI WOH KHASTA HAAL
SAKTA SA HO GAYA HAI YEH HAI SHIDDAT-E-MALAAL

TAN MEIN LAHU KA NAAM NAHIN ZARD RANG HAI
GOYA BASHAR NAHIN KOI TASVEER-E-SANG HAI

KYA JAANE KIS KHYAAL MEIN GUM THI WOH BE-GUNAAH
NOOR-E-NAZAR PE DEEDA-E-HASRAT SE KI NIGAAH

JUMBISH HUYEE LABON KO BHARI EK SARD AAH
LI GOSHA HAAE CHASHM SE ASHKON NE RUKH KI RAAH

CHEHRE KA RANG HAALAT-E-DIL KHOLNE LAGA
HAR MOO-E-TAN ZABAN KI TARAH BOLNE LAGA

RO KAR KAHA KHAMOSH KHADE KYUN HO MERI JAAN
MAIN JAANTI HUN JIS LIYE AAYE HO TUM YAHAN

SAB KI KHUSHI YAHI HAI TAU SEHRA KO HO RAWAAN
LEKIN MAIN APNE MUNH SE NA  HAR GIZ KAHUN GI HAAN

KIS TARAH BAN MEIN AANKHON KE TAARE KO BHEJ DUN
JOGI BANA KE RAAJ DULAARE KO BHEJ DUN

LETI KISI FAQEER KE GHAR MEIN AGAR JANAM
HOTE NA MERI JAAN KO SAMAAN YEH BAHAM

DASTA NA SAANP BAN KE MUJHE SHAUKAT-O-HASHAM
TUM MERE LAAL THE MUJHE KIS SALTANAT SE KAM

MAIN KHUSH HUN PHOONK DE KOI ISS TAKHT-O-TAAJ KO
TUM HI NAHIN TAU AAG LAGAOON GI RAAJ KO

SARZAD HUYE THE MUJH SE KHUDA JAANE KYA GUNAAH
MANJHDHAR JO YUN MERIN KISHTI HUYEE TABAAH

AATI NAHIN KOI AMAN-O-AMAAN KI RAAH
AB YAAN SE KOOCH HO TAU ADAM MEIN MILE PNAAH

TAQSEER MERI KHAALIQ-E-AALAM BAHAL KARE
AASAN MUJH GHAREEB KI MUSHKIL AJAL KARE

SUN KAR ZABAAN SE MAAN KI YEH FARYAAD-E-DARDKHAIZ
USS KHASTA JAAN KE DIL PE CHALI GHAM KI TEGH-E-TEZ

AALAM YEH THA KE AANKHEN HON ASHK REZ
LEKIN HAZAAR ZABT SE RONE SE KI GUREZ

SOCHA YAHI KE JAAN SE BE-KAS GUZAR NA JAAYE
NASHAAD HUM KO DEKH KE MAA AUR MARR NA JAYE

PHIR ARZ KI YEH MAADAR-E-NASHAAD KE HUZOOR
MAAYUS KYUN HAIN AAP ALAM KA HAI KYUN WAFOOR

SADMA YEH SHAAQ AALAM-E-PEERI MEIN HAI ZAROOR
LEKIN NA DIL SE KIJIYE SABR-O-QARAAR DOOR

SHAYED KHIZAAN SE SHAKL AYAAN HO BAHAR KI
KUCH MASLAHAT ISI MEIN HO PARWARDIGAAR KI

PADTA HAI JIS GHAREEB PE RANJ-O-MAHAN KA BAAR
KARTA HAI USS KO SABR ATAA AAP KIRDGAAR

MAAYUS HO KE HOTE HAIN INSAAN GUNAAHGAAR
YEH JAANTE NAHIN WOH HAI DAANA-E-ROZGAAR

INSAAN USS KI RAAH MEIN SAABIT QADAM RAHE
GARDAN WAHI HAI AMR-E-RAZA MEIN JO KHAM RAHE

AKSAR RAYAAZ KARTE HAIN PHOOLON PE BAAGHBAN
HAI DIN KI DHOOP RAAT KI SHABNAM UNHEIN GARAAN

LEKIN JO BAAGH BADALTA HAI NAAGAHAAN
WOH GUL HAZAAR PARDON MEIN JAYE HAIN RAEGAAN

RAKHTE HAIN JO AZEEZ UNHEIN APNI JAAN KI TARAH
MALTE HAIN DAST-E-YAAS WOH BARG-E-KHIZAAN KI TARAH


LEKIN JO PHOOL KHILTE HAIN SEHRA MEIN BE-SHUMAAR
MAUQOOF KUCH RAYAAZ PE UNN KI NAHIN BAHAAR

DEKHO YEH QUDRAT-E-CHAMAN AARAA-E-ROZGAAR
WOH ABR-O-BAAD-O-BARF MEIN REHTE HAIN BARQARAAR

HOTA HAI UNN PE FAZAL JO RABB-E-KAREEM KA
MAUJ-E-SAMOOM BANTI HAI JHONKA NASEEM KA

APNI NIGAAH HAI KARAM-E-KAAR SAAZ PAR
SEHRA CHAMAN BANE GA WOH HAI MEHARBAAN AGAR

JUNGLE HO YA PHAAD, SAFAR HO KE HO HAZAR
REHTA NAHIN WOH HAAL SE BANDE KE BE-KHABAR

USS KA KARAM SHAREEK AGAR HAI TAU GHAM NAHIN
DAAMAAN-E-DASHT DAAMAN-E-MAADAR SE KAM NAHIN


No comments:

Post a Comment