Monday, October 22, 2012

LOK GEET....JAVED VASHISHT

DIL, JO HAYAT-O-KAAYENAAT KA MARKAZ HAI, USS KE KISI GUMNAAM GOSHE MEIN EK MANDIR HAI. USSI MANDIR MEIN BRIJMAAN HAI EK DEVTA.
JAB DIL KI NAI-NAVELI, HASEEN-O-MASOOM, NARM-ONAAZUK DHADKANEIN
BANAO-SINHGAR KAR KE, PREET KE DEEP JALA KAR, AARTI KA THAAL SAJA KAR, MANN MANDIR KE DWAR PAR MADHUR SURON MEIN, CHANCHAL MANN KI CHAPAL TARANGON KA KOMAL SAAZ CHEDTI HAIN AAP HI AAP MANDIR KE PATT KHUL JAATE HAIN. DEVTA KI MANN MOHINI, MANOHAR MOORTI KI SUNDAR CHHAB DEKHTE HI DIL KI MATWALI DHADKANEIN, DEVDAASIYON KI TARAH JHOOM JHOOM KAR RAQS KARTI HAIN AUR LAHAK LAHAK KAR DEVTA KE GUNN GAATE HUYE AARTI UTAARTI HAIN. AARTI KE JHILMILATE DEEP, THIRAK THIRAK KE LAV DETE HUYE, DEVTA KI BALAYEN LETE HAIN. RANGARANG PHOOLON KI MULAYEM PANKHUDIYAN DEVTA KE QADMON MEIN RANGEEN TITLIYON KI TARAH THIRAKTI HAIN. AUR JAB PAYEL KE CHANAAKE  KE SAATH SANGEET KI GATT GALE MILTE HAIN TAU DRVTA KE SURKH TIKONE HONTON PAR MUSKAAN KI REKHA JAAG UTHTI HAI, DEVTA JAAG UTHTA HAI AUR PHIR WOH APNI BAANSURI MEIN EK AISA NAGHMA PHOONKTA HAI KE RAAG, KI AAG TEZ TAR HOTI JAATI HAI. SAB MIL KAR RAAS RACHAATE HAIN, NAACHTE HAIN GAATE HAIN. HAR TARAF RAAG, RANG AUR USS KI PHUWAAR PADNE LAGTI HAI. ISSI MANDIR MEIN LOK GEET JANAM LETE HAIN. YAHI DEVTA LOK GEETON KA JANAM-DAATA HAI. DIL KI YAHI NAAZUK DHADKANEIN GEETON MEIN DHAL JAATI HAIN.


1 comment:

  1. Is this the same book which was published by Dr. Javed Vashisht when he was the Secretary of Haryana Urdu Akademy, Faridabad.
    subhashsaluja@gmail.com

    ReplyDelete