Saturday, October 13, 2012

PANGHAT BY JAVED VASHISHT

GAAON KA PANGHT EK ROOMANI DUNIYA KA WOH HASEEN MAQAAM HAI, JAHAN ROOMAN JANM LETA HAI, JAHAN HUSN NIKHARTA HAI, JAHAN ISHQ PARWAN CHADTA HAI, JAHAN DOOR SE AAYE ALBELE RAAHI, JANAM JANAM KE PYASE PANCHI AUR BEPARWAH PARDESI APNI PYAS BUJHANE AA NIKALTE HAIN, JAHAN GAON KI ALLAHAD DOSHEEZAYEN APNI GAAGAR KO ANGUTHI SE BAJA KAR GAATI HAIN , JAHAN CHAIL-CHABEELI, ALBELI BRIJ NAAR SAR PAR KALSA MAANT DHARE , PAAON KE BICHUYE KI AWAZ SUNATI , GHOOM GHUMAR LEHNGE KI HAR GHOOM PAR JHOOMTI, INDRADANUSH KE LEHARIYE HAWA MEIN UDAATI , GUNGUNATI , QADAM QADAM PAR JAADOO JAGATI , INDRA KE AKHADE KI APSARAON KO SHARMATI, BAANKE GHOONGHAT SE TIRCHI CHITWAN KA WAAR KARTI HAIN. TAU KITNE HI PANCHI GHAYEL HO JAATE HAIN, KITNE HI RAAHI APNI RAAH SE BHATAK JAATE HAIN AUR KITNE HI PARDESI APNA DES BHOOL JAATE HAIN. KATHIN DAGARIYA HAI PANGHAT KI!

ROOP KA PANGHAT, RAS KA SAAGAR
PEET KI DORI, GEET KI GAAGAR
SUNDAR HAI SANSAR!

JAB YAHAN MANN KA MEET MIL JAATA HAI TAU MADHUR MILAN KE GEETON SE PANGHAT BHI GOONJ UTHTA HAI:

GHOONGHAT MEIN LAAJ HANSI, PANGHAT PE AAJ SAKHI
GAAGAR MEIN BOL UTHI, SAAGAR SI PREET SAKHI
MANN KA MILA MEET SAKHI
NAINO SE NAIN MILE, JAAG UTHI PREET SAKHI


No comments:

Post a Comment