Tuesday, October 30, 2012

karamaat ( mini kahani ) saa'dat hasan manto

loota hua maal braamad karne ke liye police ne chhaape maarne shuru kar diye the.

log darr ke maare loota hua maal raat ke andhere mein baahar phenkne lage. kuch aise bhi the jinhon ne apna maal mauqa paa kar apne se alehda kar diya taake qanooni grift se bache rahen.

ek aadmi ko bohot diqqat pesh aayee. uss ke paas shakkar ki do boriyan thin jo uss ne pansaari ki dukaan se looti thin. ek tau woh jun-tun raat ke andhere mein paas waale kunye mein phenk aaya. lekin jab doosri utha kar uss mein daalne laga tau khud bhi saath chala gaya.

shor sun kar log ikattha ho gaye, kunye mein rassiyan daali gayeen. do jawan neeche utre aur uss aadmi ko bahar nikaal liya---lekin chand ghanton baad woh marr gaya.

doosre din jab logon ne istemaal ke liye uss kunye se paani nikaala tau woh meetha tha.

usi raat uss aadmi ki qabar par diye jal rahe the.

No comments:

Post a Comment