Friday, June 12, 2015

Soz Sikandarabadi

Munh na takiye mera waqt hai mukhtasar, zindagi maut se ab badal jaaye gi
Aakhiri waqt hai muskura dijiye kuch tau dil ki tamanna nikal jaaye gi

Mauj sar kham kare, sard toofa'n pade khud-bakhud meri jaanib kinaara badhe
Aap agar nakhuda ban ke aa jaaye'n tau kishti-e-dil bhanwar se nikal jaaye gi

Teri pehli nazar jhoom kar jab uthi khoon badhne laga zindagi hans padi
Kya khabar thi wahi ek pal ki ha'nsi ek din aa'nsuo'n mein badal jaaye gi

Har kali ko hai maaloom yeh falsafa pooch lene ki zahmat gawara kare'n
Aap naaza'n hai'n iss aarizi cheez par ek din yeh jawani bhi dhal jaaye gi

Naaseha teri har baat manzoor hai phir bhi mai'n apni fitrat se majboor hu'n
Dekh kar charkh par kaali kaali ghata kya karu'n ga jo niyat badal jaaye gi

Aqal hairan hai dil pareshan hai jis ka imkaa'n nahi'n baat ho gi woh kya
Kya yeh mumkin hai aye Soz iss daur mein yeh zamee'n aasma'n ko nigal jaaye gi

No comments:

Post a Comment