Wednesday, June 24, 2015

Ghazal Shameem Jaipuri

Har ek lamha shab-e-gham hai kya kijiye
Ummeed-e-sehar bohot kam hai kya kijiye

Khayal-e-doori-e-manzil tau kuch nahi'n aye dil
Magar hayat bohot kam hai kya kijiye

Tumhari yaad mein aalam ko bhool baitha hu'n
Tum hi batao yeh aalam hai kya kijiye

Sukoon-e-dil se mujhe dushmani nahi'n lekin
Bohot azeez tera gham hai kya kijiye

Samo liye hai'n zamaane ke gham tabassum mein
Zamaana iss pe bhi barhum hai kya kijiye

Meri khushi se mere dosto'n ko gham hai Shameem
Mujhe bhi iss ka bohot gham hai kya kijiye

No comments:

Post a Comment