Tuesday, January 15, 2013

woh subah kabhi tau aaye gi...Sahir

woh subah kabhi tau aaye gi

inn kaali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal dhalke ga
jab dukh ke baadal pighlen ge sukh ka saagar chalke ga
jab ambar jhoom ke naache ga jab dharti naghme gaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

jis subah ki khaatir jug jug se hum sab marr marr ke jeete hain
jis subah ke amrit ki dhunn mein hum zahar ke pyale peete hain
inn bhooko-pyasi roohon par ek din tau karam farmaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

maana ke abhi tere mere armaanon ki qeemat kuch bhi nahin
mitti ka bhi hai kuch mol magar insaanon ki qeemat kuch bi nahin
insaanon ki izzat jab jhoote sikkon mein na tauli jaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaaye ga
chhahat ko na kuchla jaaye ga ghairat ko na becha jaaye ga
apne kaale katooton par jab yeh duniya sharmaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

beeten ge kabhi tau din aakhir yeh bhook ke aur bekaarike
tooten ge kabhi tau butt aakhir daulat ki ijaaradaari ke
jab ek anokhi duniya ki buniyaad uthayee jaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

faaqon ki chitaaon par jis din insaan na jalaaye jaayen ge
seene ke dehakte dozakh mein armaan na jalaaye jaayen ge
yeh narak se bhi gandi duniya, jab swarg banayee jaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

No comments:

Post a Comment