Tuesday, January 1, 2013

khizaan se seena bhara ho...saabir vaseem

khizaan se seena bhara ho lekin tum apna chehra gulab rakhna
tamaam taabeer uss ko dena aur apne hisse mein khwab rakhna

har ek zameen se har aasman se har ek zamaan se guzarte rehna
kahin pe taare bikher dena kahin koi maahtaab rakhna


yeh zindagi tau safar hai saabir safar mein jab bhi kisi se milna
tamaam sadme bhulate rehna mohaal ho ga hisaab rakhna

No comments:

Post a Comment