Tuesday, January 8, 2013

urdu poetry.........nasir kaazmi

pukarti hain fursaten kahan gayeen woh sohbaten
zameen nigal gayee unhein ya aasman kha gaya

yeh subah ki safediyan yeh dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya

yeh kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gayee
woh lehar kis taraf gayee yeh main kahan samaa gaya

gaye dinon ki laash par pade raho ge kab talak
alam kasho, utho, ke aaftab sar pe aa gaya

No comments:

Post a Comment