Tuesday, January 15, 2013

sadiyon se....sahir ludhianvi

sadiyon se insaan yeh sunta aaya hai
dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai

hum ko in sasti khushiyon ka lobh na do
hum ne soch-samajh kar gham apnaya hai

paidaish ke din se maut ki zadd mein hain
iss maqtal mein kaun hamein le aaya hai

utne din ehsaan kiya deewanon par
jitne din logon ne saath nibhaya hai

No comments:

Post a Comment