Friday, June 12, 2015

Khumar Baarabankavi Ghazal 1

yeh misr'aa nahin hai vazeefa mera hai
Khuda hai mohabbat, mohabbat khuda hai

Kahu'n mai'n yeh kaise ke woh bewafa hai
Mujhe uss ki majbooriyo'n ka pata hai

Hawa ko bohot sarkashi ka nasha hai
Magar yeh na bhoole diya bhi diya hai

Nazar mein hai jalte makaano'n ka manzar
Chamakte hai'n jugnu tau dil kaa'npta hai

Guzarta hai har shakhs chehra chupaye
Koi raah mein aaina rakh gaya hai

Kaha'n tu khumar aur kaha'n jurm-e-tauba
Tujhe paarsao'n ne behka diya hai

She'rr Ke Sau Rang 2

chal aye humdum, zara saaz-e-tarab ki ched bhi sun le'n
Agar dil baith jaaye ga tau uth aaye'n ge mahfil se
Saaqib Lakhnavi

Suna hai phir mere zauq-e-nazar ki aazmaish hai
Unhe'n manzoor phir qalb-o-jigar ki aazmaish hai
Saghar Nizami

Kuch safeeno'n ke muqaddar mein ho sahil shayed
Har safeene ke muqaddar mein kinaara tau nahi'n
Mohsin Kaakorvi

Na de ilzam bad-masti ka, ek uftaad tha saaqi
Mera girna, bhare saghar ka chakna-choor hona
Shaad Azimabadi

Tumhari qasam haasil-e-zindagi thay
Woh kuch din jo hum tum ne baahaum guzaare
Lutfa Rizwan

Jab se baitha hu'n mai'n raazi ba mashiyyat ho kar
Mujh pe aafat bhi koi aai tau rehmat ho kar
Majzoob

Mai'n khaak-nashee'n hu'n mera maslak hai faqeeri
Duniya mein koi arsh-nashee'n hai tau mujhe kya
Rifat Sultan

Hai nai nai si manzil hai'n naye naye se rehbar
Kahi'n tu bichad na jaana mere saath-saath chal ke
Khumar Baarabankavi

Baad parvaano'n ke hoti gai'n shame'n bhi khamosh
Kaun karta hai shaheedan-e-wafa ka maatam
Bashar Nawaz

Diya khamosh hai lekin kisi ka dil tau jalta hai
Chale aao jaha'n tak raushni maloom hoti hai
Nushoor Wahidi

Lab band, gum havaas, tahayyur nigah mein
Tasveer ban gaya hu'n teri jalwa-gaah mein
Kaif Tonki

Sach ghate ya badhe tau sach na rahe
Jhoot ki koi intiha hi nahi'n
KishnBihariNoor

Itna tau mujhe yaad hai, kuch uss ne kaha tha
Kya uss ne kaha tha? yeh mujhe yaad nahi'n
Nisar Ahmed

Soz Sikandarabadi

Munh na takiye mera waqt hai mukhtasar, zindagi maut se ab badal jaaye gi
Aakhiri waqt hai muskura dijiye kuch tau dil ki tamanna nikal jaaye gi

Mauj sar kham kare, sard toofa'n pade khud-bakhud meri jaanib kinaara badhe
Aap agar nakhuda ban ke aa jaaye'n tau kishti-e-dil bhanwar se nikal jaaye gi

Teri pehli nazar jhoom kar jab uthi khoon badhne laga zindagi hans padi
Kya khabar thi wahi ek pal ki ha'nsi ek din aa'nsuo'n mein badal jaaye gi

Har kali ko hai maaloom yeh falsafa pooch lene ki zahmat gawara kare'n
Aap naaza'n hai'n iss aarizi cheez par ek din yeh jawani bhi dhal jaaye gi

Naaseha teri har baat manzoor hai phir bhi mai'n apni fitrat se majboor hu'n
Dekh kar charkh par kaali kaali ghata kya karu'n ga jo niyat badal jaaye gi

Aqal hairan hai dil pareshan hai jis ka imkaa'n nahi'n baat ho gi woh kya
Kya yeh mumkin hai aye Soz iss daur mein yeh zamee'n aasma'n ko nigal jaaye gi

Thursday, June 11, 2015

Ghazal Raaz Illahbadi


 aashiya'n jal gaya gulista'n lut gaya, ab qafas se nikal kar kidhar jaaye'n ge 
Itne maanoos sayyad se ho gaye, ab rihaii mile gi tau marr jaaye'n ge

Aur kuch din yeh dastoor-e-maikhana hai tishna-kaami ke yeh din guzar jaaye'n ge
Mere saaqi ko nazre'n uthaane tau do jitne khaali jaam hai'n sab jaam bhar jaaye'n ge

Aye naseem-e-sahar tujh ko unn ki qasam unn se jaa kar na kehna mera haal-e-gham
Apne mitne ka gham tau nahi'n hai magar darr yeh hai unn ke gesu bikhar jaaye'n ge

Ashk-e-gham le ke aakhir kaha'n jaaye'n hum aa'nsuo'n ki yaha'n koi qeemat nahi'n 
Aap hi apna daaman badha dijiye warna yeh moti zamee'n par bikhar jaaye'n ge

Maut awaaz deti hai shayed unhe'n jaane waale hai'n duniya se ahl-e-wafa 
Raaz, aise mein koi ghazal ched de qaafile zindagi ke thahar jaaye'n ge

Ghazal Khaleel-ur-Rehman Azmi

kaisi junoo'n Ki fasal hai ab ke kaisa hai yeh ishq ka mausam
Maut ka nasha halka halka, gham ki hawaye'n maddham maddham

Mai'n bhi wahi hu'n tu bhi wahi hai phir bhi na jaane kaisi kami hai
Meri aa'nkhe'n veera'n veera'n tera chehra mubham mubham

Koi kahani ched ke chup hai beete huye lamho'n ki khushboo
Meethi meethi dil mein kasak hai jaise adhure vasl Ki shabnam

Aks sa apna chod gaya hai jab se koi husn sarapa
Saari fazaye'n raqs-e-musalsal saari khalaye'n naghma-e-paiham

Shola-e-gul ke nazaaro'n se aur aa'nkho'n ki pyas badhi
Jii mein hai palko'n pe utha ke rakh lu'n ik ik Qatar-e-shabnam


Tuesday, December 2, 2014

Urdu Afsana

urdu afsana, Urdu nasar ka sab se ta-ra qui-yaafta form hai aur iss Ki badaulat Urdu nasar kahi'n se kahi'n paunch gai hai.

Urdu ke paye ke afsano'n mein Naya Qanoon, Mozel, Babu Gopinath, Kaali Shalwar, Balcony, Kaalu Bhangi, Naani Ki Naani, iss ghar se uss ghar Tak, Anndaata, Garam Coat, Seeta Haran, Laajwanti, Kafan, Mahalakshmi Ka Pul, Anandi, Apne Dukh Mujhe De Do, Toba Tek Singh, Chauthi Ka Joda, Aapa, Manzil Manzil, Gadadiya, Aakhri Insaan, Nazara Darmiyan Hai, shaamil hai'n.

Inn afsano'n ka muqabla duniya Ki kisi bhi zabaan Ki kahaniyo'n se kiya jaa sakta hai.


Tuesday, May 13, 2014

Meri bekhudi... Chakbast

Meri bekhudi hai woh bekhudi ke khudi ka waham-o-gumaa'n nahi'n
Yeh suroor-e-saaghar-e-mai nahi'n, yeh khumar-e-khwab-e-giraa'n nahi'n

Yeh hayat-e-aalam-e-khwab hai, na azaab hai na sawaab hai
Wahi kufr-o-dee'n mein kharab hai jise ilm-e-raaz-e-jaha'n nahi'n

Woh zamee'n pe Jin ka tha dabdaba, ke bula'nd arsh pe naam tha
Unhe'n falak ne mita diya, ke mazaar Tak ka nishaa'n nahi'n