Wednesday, December 26, 2012

ranjish hi sahi....ahmed faraz

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chodd ke jaane ke liye aa

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi tau
rasm-o-rah-e duniya hi nibahne ke liye aa

kis kis ko batayen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai tau zamaane ke liye aa

kuch tau mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi tau kabhi mujh ko manaane ke liye aa

ik umr se hun lazzat-e-giryan se bhi mehroom
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

maana ke mohabbat ka chhupaana hai mohabbat
chupke se kisi roz jataane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hi kisi roz na jaane ke liye aa

No comments:

Post a Comment