Monday, December 31, 2012

kaarvan guzar gaya...neeraj

swapn jhare phool se, meet chubhe shool se
lut gaye singhar sabhi baagh ke babool se
aur hum khade-khade, bahar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe


neend bhi khuli na thi ke haye dhoop dhal gayee
paaon jab talak uthen ke zindagi phisal gayee
paat paat jhar gaye ke shaakh shaakh jal gayee
chah tau nikal saki na par umar nikal gayee
geet ashk ban gaye, chand ho dafan gaye
saath ke sabhi diye, dhuan pehan pehan gaye
aur hum jhuke-jhuke mod par ruke-ruke
umr ke chadao ka utaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

haath thay mile ke zulf chaand ki sanwar dun
hont thay khule ke bahar ko pukar dun
dard tha diya gaya ke har dukhi ko pyar dun
aur aansoo yun ke swarg bhoomi par utaar dun

ho saka na kuch magar, shaam ban gayee sahar
woh uthi lehar ke dhah gaye qile bikhar bikhar
aur hum dare-dare, neer nayan mein bhare
odh kafan, pade mazaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

maang bhar chali ke ek, jab nai nai kiran
dholaken dhumak uthin, thumak uthe charan charan
shor mach gaya ke lo chali dulhan, chali dulhan
gaon sab umad pada, behak uthe nayan nayan
par tabhi zahar bhari, gaaj ek woh giri
phunk gaya sindoor taar-taar huyee chunri
aur hum anjaan se, door ke makaan se
paalki liye huye kahaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

No comments:

Post a Comment