Sunday, July 22, 2012

GRAMMAR OF URDU GHAZAL..PART II

AAIYE, AB SAMAJH LEIN KE QAAFIYA KYA HOTA HAI.
QAAFIYA UNN SHABDON KO KEHTE HAIN JO HAR SHERR MEIN RHYME HOTE HAIN
JAISE;

YEH NA THI HAMARI QISMAT KE VISSAL-E-YAAR HOTA
AGAR AUR JEETE REHTE YAHI INTEZAAR HOTA

IS SHERR MEIN ' YAAR ' AUR ' INTEZAAR ' QAFIYAA HAIN.

QAAFIYE KE HI SAATH HOTI HAI RADEEF AUR INN DONO KO MILA KAR HI BANTI HAI SHERR KI ZAMEEN.

GHAZAL MEIN HAR SHERR KA DOOSRA MISRA EK JISE HI SHABD YA PHIR SHABDON KE SANGRAH PAR HI SAMAPT HOTA HAI JO RADEEF KEHLATA HAI.

' YAARO MUJHE MAAF RAKHO MAIN NASHE MEIN HUN
   AB DO TAU JAAM KHAALI HI DO MAIN NASHE MEIN HUN '

ISS GHAZAL MEIN RADEEF HAI ' MAIN NASHE MEIN HUN '

....TO BE CONTINUED

No comments:

Post a Comment