Tuesday, July 24, 2012

DUA

KAL RAAT MAIN NE AASMAAN KI TARAF DEKHA JO BILKUL KAALA THA. CHARON TARAF KAHIN KOI AWAAZ NAHIN THI. USS TANHAI KE MAHAUL MEIN MUJHE YUN MEHSOOS HUA JAISE MAIN KHUDA KE SAAMNE KHADA HUN. JAISE WOH MUJHE DEKH RAHA HO. WOH EHSAAS BADHTA GAYA YAHAN TAK KE MUJHE YAQEEN HO GAYA KE UNN KAALE BAADLON KI OTT SE KHUDA mujhe dekh raha hai. tab mera dil dhadkne laga, rongte khade ho gaye, maathe par paseena aa gaya, hont sookh gaye.

MAIN ADAB SE KHADA HO GAYA AUR MAIN NE EK DUA MAANGI. NA LAFZ MERE HONTON TAK AAYE, NA MERE HONT HILE. BAS DIL MEIN MAIN EK DUA MAANGI KE AYE KHUDA JAB KABHI MAIN NE SACHCHE DIL SE DUA MAANGI HAI AAP NE QUBOOL KI HAI. AAJ BADE DINON BAAD DUA MAANG RAHA HUN. ISS DUNIYA MEIN KISI KO BHI BE-MAUT MARNE MAT DIJIYE. DUNIYA MEIN JIS PAR BHI BHOOK YA DARINDAGI KA SAAYA LEHRA RAHA HAI USSE HATA LIJIYE.

HAR BACHCHE KO APNA BACHPAN POORI IZZAT SE JEENE KA MAUQQA DIJIYE.
HAR INSAAN KO SAHI RAAH DIKHAIYE  TAAKI WOH AURON KI RAAH MEIN KAANTE NA BICHAYE.

MAIN NE ITNE DINON SE KUCH NAHIN MAANGA, INN HI DINON MAIN AAP SE APNE LIYE KUCH MAANGNE WALA THA LEKIN AB NAHIN MAANGUN GA.

BAS ISS DUNIYA KO SUDHAAR DIJIYE.

No comments:

Post a Comment