Wednesday, June 27, 2012

GRAMMER OF URDU GHAZAL

GRAMMAR OF URDU GHAZAL
( THIS PIECE IS WRITTEN IN HINDI )


DIL NE KAHA KYUN NA DOSTON KO URDU GHAZAL KI GRAMMAR SAMJHA DI JAYE.
AB, AAP POOCH SAKTE HAIN KE AISI KYA ZAROORAT AAN PADI KE AAP GHAZAL KA MATLAB SAMJHANE BAITH GAYE.ISS KA JAWAB HAI KE PICHLE KUCH BARSON SE HAMARE DOST-YAAR GHAZLEN SUNTE AUR HUM SE UNKE MATLAB POOCHTE RAHE HAIN. HAMEIN LAGA KE SHAYED AUR BHI ANJAAN DOST HON JO URDU GHAZAL KO SAMJHNA CHAHTE HON.BAS YUN SAMAJH LIJIYE KE HAMEIN LAGA
" QAIS JUNGLE MEIN AKELA HAI MUJHE JAANE DO
 KHOOB GUZRE GI JO MIL BAITHEIN GE DEEWANE DO "

HUM NE LAGBHAG PICHLE TEES BARSON SE APNE HI DESH MEIN URDU KO TIL-TIL MARTE DEKHA HAI. WOH SHABD JO KABHI AAM BOL-CHAAL KA HISSA HUA KARTE THE, AAJ MAZAQ KI WAJAH BAN GAYE HAIN. MASLAN " BANDAPARWAR " ISS SHABD KO AAPNE AKSAR FILMI GEETON MEIN BHI SUNA HO GA JAISE " BANDAPARWAR THAAM LO JIGAR BAN KE PYAR PHIR AAYA HUN, KHIDMAT MEIN AAP KI HUZOOR PHIR WAHI DIL LAAYA HUN ".AAJ AGAR HUM KISI KO BANDAPARWAR KEH KAR MUKHATIB KARTE HAIN TAU WOH HUM SE POOCHTA HAI KE KYA YEH SABZI " PARWAR " KA KOI NAYA AVTAAR HAI?

KISI MAHILA KO MOHTARMA KEHNE PAR USKA " AAP NE HAMEIN KISS KI MAA KAHA " AAP NE STAND UP COMEDIANS KE ACTS MEIN DEKHA AUR SNA HO GA HI.

1969 MEIN BHARAT SARKAR NE MAHATMA GANDHI KI BIRTH ANNIVERSARY AUR MIRZA GHALIB KI DEATH ANNIVERSARY MANAYEE THI. VARSH KE ANT MEIN BATAUR CONCLUDING CEREMONY, MUMBAI KE BANDRA MEIN NATIONAL COLLEGE KE HAAL MEIN EK MUSHAYERE KA AAYOJAN KIYA GAYA THA.USS MUSHAYERE MEIN CHIEF GUEST THIN TATKAALEEN PRADHAN MANTRI SHRIMATI INDIRA GANDHI.

MUSHAYERE MEIN BHARAT KE SABHI NAAMI-GRAMI SHAYER SHAMIL THE AUR EK KE BAAD EK GHALIB KI SHAAN MEIN QASEEDE PADHE JAA RAHE THE. AAKHRI SHAYER THE JANAB SAHIR LUDHIANVI. UNKI NAZM NE MUSHAYERE KA RANG HI BADAL KAR RAKH DIYA THA. UNN KI NAZM KE KUCH HISSE THE

" EKKEES BARAS GUZRE AAZADI-E-KAAMIL KO
  TAB JA KE KAHIN HUM KO GHALIB KA KHAYAL AAYA HAI
  TYRBAT HAI KAHAN USKI MASKAN THA KAHAN USKA
  AB APNE SUKHAN-PARWAR ZEHNON MEIN SAWAAL AAYA HAI

  JIN SHAHRON MEIN GOONJI THI GHALIB KI NAWA BARSON
  UNN SHARON MEIN URDU BE NAAM-O-NISHAN THEHRI
  AAZADI-E-KAAMIL KA EILAAN HUA JIS DIN
  MAATOOB ZABAN THEHRI,GHADDAR ZABAN THEHRI

  JISS EHD-E-SIYASAT NE EK ZINDA ZABAN KUCHLI
  USS EHD-E-SIYASAT KO MARHOOMON KA GHAM KYUN HAI
  GHALIB JISE KEHTE HAIN URDU KA HI SHAYER THA
  URDU PAR SITAM DHAA KAR GHALIB PE KARAM KYUN HAI ".
UNN DINON HUM COLLEGE KE SECOND YEAR KE STUDENT HUA KARTE THE AUR TAB SAMAJH HI NAHIN PAAYE THE EK ZINDA ZABAN SACH MEIN KUCHLI JAA RAHI HAI.

KHAIR, CHODIYE MARHOOM ZABAN KA MAATAM
CHALIYE GHAZAL KA JASHN MANATE HAIN.

SAB SE PEHLE YEH SAMAJH LETE HAIN KE GHAZAL HAI KYA CHEEZ?.

GHAZAL UNN ASH-AAR( AAM BHASHA MEIN SHERON ) KA SANGRAH HAI JIS MEIN " MATLA, " MAQTA ", " BAHAR ", " QAAFIYA " AUR " RADEEF " KA PALAN KIYA JAATA HAI.

GHAZAL KA HAR SHER APNE AAP MEIN DO MISRON KI EK MUKAMMAL NAZM HOTA HAI, JAHAN SHAYER SAMUNDAR KOOZE ( CHOTI SI KATORI ) MEIN BAND KAR DETA HAI. MASLAN:
 HAR EK BAAT PE TUM KEHTE HO KE TU KYA HAI
TUM HI KAHO KE YEH ANDAZ-E-GUFTUGU KYA HAI

GHAZAL MEIN KAI SHER HOTE HAIN AUR UNN SHERON KA AAPAS MEIN KOI SAMBANDH NAHIN HOTA HAI.GHAZAL MEIN AAM TAUR PAR ZYADA SE ZYADA 12 AUR KAM SE KAM 7 SHER HOTE HAIN.

KUCH FILMI GHAZAL SE LAGTE HAIN LEKIN WOH GHAZAL NAHIN HOTE...MASLAN FILM GHAZL KA YEH GEET:

"RANG AUR NOOR KI YEH BARAAT KISE PESH KARUN.."
YEH GHAZL NAHIN HAI KYUNKE ISS KE HAR SHER MEIN TEEN MISRE HAIN JABKE GHAZAL KE HAR SHER MEIN DO HI MISRE HOTE HAIN.

ISS KE ILAWA ZAROORI HOTI HAI BAHAR, QAAFIYA AYR RADEEF.

BAHAR KAYA HAI...BAHAR DAR-ASAL SHER KA METER HOTA HAI, JIS SE TEH HOTA HAI KE SHER KITNA LAMBA YA CHOTA HO GA. SHER KE SABHI SHERON KA EK HI METER MEIN HONA ZAROORI HOTA HAI. WAISE TAU 19 ALAG-ALAG BAHAR HAIN LEKINAASANI KE LIYE UNHEIN FILHAAL TEEN HISSON MEIN BAANT LETE HAI " SHORT ', " MEDIUM " AUR LONG BAHAR.
CHOTI BAHAR KI MISAAAL HAI:
 IBN-E-MAIYAM HUA KARE KOI
MERE DUKH KI DAWA KARE KOI

MEDIUM BAHAR KI MISAAL HAI:
NUKTA-CHEEN HAI GHAM-E-DIL USS KO SUNAYE NA BANE
KYA BANE BAAT, JAHAN BAAT BANAYE NA BANE

LAMBI BAHAR KI MISAAL HAI:
WOH JO HUM MEI TUM MEIN QARAAR THA, TUMHEIN YAAD HO KE NA YAAD HO
WAHI YAANI VAADA NIBAAH KA, TUMHEIN YAAD HO KE NA YAAD HO

......TO BE CONTINUED IF I GET EVEN ONE REQUEST


6 comments: