Friday, July 31, 2015

Urdu Afsana

Internet par har jagah Urdu shayeri ka air nazar aata hai. Jo Urdu padhna-likhna bhi nahi'n jaante woh bhi mujhe Urdu ke sabaq padhane lage hai'n.

Khair, mai'n kehna yeh chaah raha Hun ke Urdu shayer, nazm ke ilaawa Urdu nasr bhi apne mein jawab aap hai.

Ab se koshish rahe gi ke aap sab ka parichay Urdu nasr se bhi kara saku'n, yeh  silsila shuru karte hai'n Urdu ke afsaane se...


Thursday, July 30, 2015

Ghazal Fareeda Lakhani Farah

Kisi se koi shikayet na kuch gila rakhiye
Daraaz sirf mohabbat ka silsila rakhiye

Khyal-o-khwab mein hi uss se raabta rakhiye
Khirad se kuch tau junoo'n ka maamla rakhiye

Dilo'n ki baat dilo'n tak rahe behtar hai
Zabaan khol kar kyu'n apna muddua rakhiye

Khud apne zabt ka daaman na choot jaaye
Qareeb jaa ke bhi kuch, faasla rakhiye

Friday, July 24, 2015

Ghazal Azra Parveen

Ugta naya Ken par lagta hai
Ab mujhe khud se darr lagta hai

Mere bachche ab hansne lage hai'n
Ab mujhe yeh ghar, ghar lagta hai

Nanhi ha'nsi ke saath tau har dukh
Phoolo'n ka bistar lagta hai

Meri godd ka nat-khat bachcha
Haran kabhi bander lagta hai

Boo'nd si bitiya ka lehja bhi
Kabhi kabhi saagar lagta hai


Wednesday, July 22, 2015

Ghazal Krishan Gautam


Bandishe'n gawaraa thi'n kuch na kuch tau peene par
Rok ab lagi hai kyu'n maikasho'n ke jeene par?

Aasma'n se shikwo'n ka haq tau har kisi ko hai
Kis ne zakhm dekhe hai'n aasma'n ke seene par

Khwahisho'n ki mat poocho, tez hai'n kataaro'n se
Anginat kharaashe'n hai'n dil ke iss nageene par

Ishq hi ko laazim hai dekhe rang-dhang apne
Kyu'n ho koi moetriz husn ke qareene par

Kya kisi ki baato'n mein aa gaye ho tum Gautam?
Baam par thay jaa rahe, ruk gaye ho zeene par !

Ghazal Nalini Vibha Naazli

Nawazish apni mere naam kar de!
Mujhe apna aseer-e-daam kar de!

Rasaii bakhsh apne dar ki mujh ko!
Mera aaghaz khush-anjaam kar de!

Mera fann hai tera marhoon-e-minnat
Ise maqbool-e-khaas-o-aam kar de!

Ata kar sabr, uss ke baad beshak
Balaaye'n saari mere naam kar de!

Karam kar aye khuda! Iss be-nawa par
Madawaa-e-gham-o-aalaam kar de!

Bana le khaak mujh ko apne dar ki
Khuda waalo'n mein mera naam kar de!

Saturday, July 18, 2015

Ghazal 3 Gopal Krishan Shafaq

Iss shahar ka woh shakhs jo tamgho'n se saja hai
Muddat se vazeero'n ke qadam choom raha hai

Jo sookhe huye pedo'n ka ambaar laga hai
Iss daur ki sitasat ka yahi faiz hua hai

Aane ko  maseeha koi aaye bhi tau kya ho
Beemar-e-mohabbat ki dawa hai na dua hai

Kya uss ka bigaade gi bhala gardish-e-dauraa'n
Jo gardish-e-aflaak se sau baar lada hai

Khud apni museebat mein bhi rota hai akela
Woh shakhs jo auro'n ki museebat par hansa hai

Taameer kiye jis ne mahal auro'n ki khatir
Toote huye chappar mein woh sardi se mara hai

Jamhoor jise kehte hai'n yeh all-e-siyasat
Changez-parasti hi ka ek naam naya hai

Woh noor Shafaq jis talashi ho azal se
Woh noor abhi shab ke libaade mein chupa hai

Friday, July 17, 2015

Ghazal 2 Gopal Krishan Shafaq

Kya hi andaz hai unn aa'nkho'n ke behkaane ka
Raasta bhool gaye rind bhi mai khaane ka

Wahi shokhi, wahi Khushboo, wahi gulrez ada
Mausam-e-gul mein bhi hai andaz tere aane ka

Dil mein rehte ho magar aa'nkho'n se ojhal ho kar
Kis se seekha yeh andaz sitam dhaane ka

Hasrat-o-yaas ki tasveer bana rehta hai
Haal dekha nahi'n jaata tere deewaane ka

Uss ko laazim hai ke dil apna sambhale rakhe
Hausala jis ko na ho ishq mein gham khaane ka

Zindagi hai tau havaadis ka gila kyu'n ho Shafaq
Zindagi naam hai sholo'n se guzar jaane ka

Ghazal Gopal Krishan Shafaq

Yu'n jalaana doosre ko ek parwaane ke baad
Kya kaho ge tum khuda se yeh sitam dhaana ke baad

Be piye mai ki burai Shaikh Ji achchi nahi'n
Jo bhi kehna ho so kahiye nosh farmaane ke baad

Paarsai ki yeh baate'n shaam tak tau theek hai'n
Kuch asar rakhti'n nahi'n hai'n shaam dhal jaane ke baad

Rehbaro'n se rahzani ka unn ko darr rehta nahi'n
Jo bana lete hai'n raasta thokare'n khaane ke baad

Raahate'n kyu'n dhoo'ndte ho khwahisho'n ki bheed mein
Koi shai milti nahi'n jungle mein kho jaane ke baad

Har taraf dushwariya'n, na-kaamiya'n, maayusiya'n
Hosh mein rehta main kaise hosh mein aane ke baad

Ru-ba-ru ho kar Shafaq se baat bhi karte nahi'n
Yaad kar ke roiye ga uss ke marr jaane ke baad

Saturday, July 11, 2015

Jameel Gulrays Ghazal 4

Dil jalaana koi mazaaq nahi'n
Kaaba dhaana koi mazaaq nahi'n

Mukhtasar zindagi mein sai'nkdo'n gham
Jhel jaana koi mazaaq nahi'n

Haal, aye talkhi-e-hayat na pooch
Muskurana koi mazaaq nahi'n

Tujh se waabasta rahe Jo lamhe
Bhool jaana koi mazaaq nahi'n


Wednesday, July 8, 2015

Ghazal 3 Jameel Gulrays

Zindagi naghma hai, be-saakhta gaate chaliye
Waqt ke saaz se awaaz milaate chaliye

Hum ne maana ke hai'n kuch raah mein rodey, patthar
Thokare'n shaan se unn ko lagaate chaliye

Har ada waqt ki ho jaaye gi rehbar aap ki
Uss ko har gaam pe mehboob banaate chaliye

Zindagi ek tasalsul hai, na rukne paaye
Har ghadi iss ki baharhaal nibhaate chaliye


Ghazal 2 Jameel Gulrays

Na jaane kyu'n dil mein toofan bapa hai
Ke jaise aaj unn ka saamna hai

Bohot kuch hum he dekha-suna hai
Dikhaava jis ka, uss ka hi khuda hai

Bhala koi yaha'n hai na bura hai
Hai jo bhi waqt ke haatho'n hua hai

Tawoqqo kis se rakhte hai'n Jameel aap
Zamaana tau bohot badla hua hai

Thursday, July 2, 2015

Yaadgaar-e-Ghalib Altaf Hussain Haali 2


Mirza ke khaas khaas shagird aur dost jin se betakallufi thi aksar shaam ko un ke paas baith'te thay. Aur Mirza suroor ke aalam mein uss waqt bohot pur-lutf baate'n kiya karte thay. Ek roz Meer Mehdi Majrooh baithe thay, aur Mirza palang par pade karaah rahe thay. Meer Mehdi paao'n daabney lagey. Mirza ne kaha " bhai tu sayyad-zaada hai,mujhe kyu'n gunaahgar karta hai? " unho'n ne nahi'n maana aur kaha aap ko aisa hi khayal hai tau pairr daabney ki ujrat de dijiye ga "  Mirza he kaha " haa'n iss ka muzayeqa nahi'n " jab woh pairr daab chuke tau unho'n ne ujrat talab ki. Mirza ne kaha " Bhaiyya kaisi ujrat? Tum ne mere paao'n daabey, mai'n ne tumhare paise daabey, hisab barabar hua."



Yaadgar-e-Ghalib, Altaf Hussain Hali

 Ek sohbat mein Mirza, Meer Taqi Meer ki taareef kar rahe thay. Shaikh Ibrahim Zauq bhi maujood thay, unho'n ne Sauda ko Meer par tarjeeh di, Mirza ne kaha " Mai'n tum ko Meeri Samjhta tha magar ab maloom hua ke aap Saudai hai'n "


Makaan ke jis kamre mein Mirza din bhar baith'te uth'te thay woh makaan ke darwaaze ki chat par tha aur uss ke ek jaanib ek kothri tung-o-taareek thi, jis ka dar iss qadar chota tha ke kothri mein bohot jhuk kar jaana padta tha, uss mein hamesha farsh bicha rehta tha aur Mirza aksar garmi ke mausam mein 10 baje se 3-4 baje tak waha'n baith'te thay. Ek din jabke Ramzan ka maheena aur garmi ka mausam tha, Maulana Azurda'h theek dopahar ke waqt Mirza se milne chale aaye. Uss waqt Mirza saheb usi kothri mein kisi dost ke saath chausar ya shatranj khel rahe thay. Maulana bhi wahi'n pahunche aur Mirza ko Ramzan ke maheene mein chausar khelte huye dekh kar kaha " hum be hadees mein padha tha ke Ramzan ke maheene mein Shaitan muqeed rehta hai, magar aaj hadees ki sehat mein tarad'dud paida ho gaya "Mirza ne kaha " qibla! Hadees bilkul sahi hai,magar aap ko maloom rahe ke woh jagah jaha'n Shaitan muqeed rehta hai woh yahi kothri tau hai ".

.....to be continued 

Wednesday, July 1, 2015

Hum Sab Rishtedaar Hai'n

Bachpan mein ek kahani Padhi thi, Jo kuch yu'n hai:
America ke New York shahar mein do dost raha karte thay, dono hi dher saari daulat kama kar aish ki zindagi jeena chahte thay lekin unn ki har koshish nakaam ho jaaya karti thi.

Maheeno'n ke soch-vichaar ke baad ek dost ko dher saari daulat kamaane ka ek idea soojha. Uss ne apne dost se kaha " hum ek quiz contest organise kare'n ge, shahar ke sab se bade stadium mein aur darshako'n se $100 perti vyakti fees le'n ge. Agar hamare quiz contest mein koi bhi teen prashno'n ka sahi Uttar de Gaya tau usse $5 Billion ka inaam mile ga "

Doosre dost ne poocha " Aur yeh $ 5 Billion hum laaye'n ge kaha'n se ? "

Pehle dost ne kaha " Hum aise sawal pooche'n ge, jis ka jawab pratispardhiyo'n ke paas ho ha hi nahi'n "
" jaise ? " doosre dost ne poocha

Pehle dost ne kaha " jaise 1963 mein Brazil ka HRD minister kaun tha? "

Dono'n khushi-khushi karyakaram ki tayyari mein jut gaye, khoob vigyapan kiye gaye, dhero'n PR event huye aur quiz waale din stadium khacha-khach bhar gaya. Dono dost apni saphalta par be had Khush thay.

Contest shuru hua, pehla pratispardhi jawab nahi'n de paaya, doosre ka bhi wahi haal hua aur yeh Silsila 13th pratispardhi ke aane Tak jaari raha.

Terahave'n partispardhi se pehle dost ne pooch " aapka naam kya hai? "

Pratispardhi ne jawab diya " John Britannica "

" Aap ka naam tau Encyclopedia jaisa hai " doosre dost ne kaha

" Jee Encyclopedia mere daddy ne shuru kiya tha aur aajkal mai'n uss ka editor hu'n "

Dono dosto'n ne chintit ho kar ek-doosre ko dekha.

Pehle sawaal ka sahi jawab mila, doosre prashn ka bhi uttar sahi tha.

Ab dono dosto'n ki pareshani badh gai. Kuch der sochne ke baad, doosre dost ne aa'nkho'n hi aa'nkho'n hi mein pehle dost se kaha " mai'n ise sambhal lu'n ga.

Pehle dost ne kaha " Mr Britannica, teesre prashn se pehle, mai'n kuch general sawaal aap se pooch sakta hu'n? "

" Zaroor " Mr Britannica ne jawab diya

Pehle dost ne poocha " Mr Britannica, hum sab paida kaise huye? "

Mr Britannica ne kaha " Wahi Adam aur Eve ki Kahani "

Doosre dost ne kaha " aap ko iss baat par pakka vishwas hai? "

Mr Britannica ne kaha " Jee, pakka vishwas hai "

Doosre dost ne kaha agar aap ki baat maan li jaaye tau hum sab ek-doosre ke rishtedaar huye"

Mr Britannica ne kaha " Jee Bilkul rishtedaar huye "

Doosre dost ne kaha " Mr Britannica, aap ne iss contest ke rules regulation tau padhe hi hon ge ke hamaara koi bhi rishtedaar iss contest mein bhaag nahi'n le sakta hai aur aapko hamara rishtedaar hone ke kaaran disqualify kiya jaata hai "

Yeh kahani iss liye yaad aai kyu'n ke aise tark television news channels par lagataar sunai de rahe hai'n. Jis ko hum imaandari samajhte thay uss ki dhajjiya'n udti dikhai de rahi hai'n.

Aaj lag raha hai ke hum bewaqoof thay Jo imaan ki raah par chalte rahe.

Ghazal Sahir Hoshiyarpuri


 Meri chup ko gila samjhe dua ko woh fugha'n samjhe
Na uzr-e-khamshi samjhe na andaz-e-bya'n samjhe

Kisi se kya shikayet apni khush-fehmi ka maatam hai
Wahi na-meharba'n nikla jise hum meharba'n samjhe 

Mere sijdo'n pe apni azmat qurban kar daale 
Mere sijdo'n ki azmat ko jo tera aasta'n samjhe 

Hamari khush-khayali hi vabaal-e-jaa'n hui Sahir
Wahi saabit hua rehzan jise hum meharba'n samjhe

Unwan Chishti Ghazalaai

Mere shaano'n pe un ki zulf lehrai tau kya ho ga
Mohabbat ko khunak saaye mein nee'nd aai tau kya ho ga

Paresha'n ho ke dil tark-e-talluq par hai aamada'h
Mohabbat mein yeh soorat bhi na raas aai tau kya ho ga

Sar-e-mahfil woh mujh se be-sabab aa'nkhe'n churate hai'n
Koi aise mein tohmat unn ke sar aai tau kya ho ga

Suna sakta hu'n unn ko apni barbaadi ka afsana
Phir uss ke baad unn ki aa'nkh bhar aai tau kya ho ga


Ghazal Jameel Gulrays

Gulshan uljhe, sehra uljhe
Waqt ke haatho'n kya kya uljhe

Adnaa uljhe, aala uljhe
Uljhi duniya se kya kya uljhe

Hum ne jise samjha tha nasheman
Tinke se hai tinka uljhe

Shayed apni wafa yaad aai
Baithe hai'n saraapa uljhe