Wednesday, June 26, 2013

SHAAM! MAIN TORI GAIYYA'N CHAROO'N..... PARVEEN SHAKIR

AANKH JAB AAINE SE HATAII
SHAAM SUNDER SE RADHA MIL AAII

AAYE SAPNO'N MEIN GOKUL KE RAAJA
DENE SAKHIYO'N KO AAII BADHAII

PREM JAL KHOOB GAAGAR MEIN BHAR LU'N
AAJ BAADAL NE MAAYA LUTAAII

KIS KO PANGHAT PE JAANE KI ZID THI
KIS SE GAAGAR NE BINTI KRAII

OAK SE PAANI BEHNE LAGA TAU 1
PYAS GIRDHAR KI KAISE BUJHAII

AB TAU JAL KA HI AANCHAL BANA LU'N
PED PAR KYUN CHUNARIYA SUKHAII

ISI BAALAK SE NINDIYA MILE GI
JIS NE MAATHE KI BINDIYA CHURAII

RANG DAALI MERI AATMA TAK 1
KYA MANOHAR KE MANN SAMAAII

MAIN NE SAKHIYO'N KO KAB KUCH BATAYA
BAIRI PAAYEL NE HI JAA LAGAII

GOPIYO'N SE BHI KHELE'N KANAHIYYA
AUR HUM SE BHI MEETHI LADAII

KOI KHUSHBOO TAU ACHCHI LAGE GI
PHOOL BHAR BHAR KE AANCHAL MEIN LAAII

SHAAM ! MAIN TORI GAIYYA'N CHARAOO'N
MOL LE LE TU MERI KAMAII

KRISHN GOPAL RASTA HI BHOOLE
RAADHA PYARI TAU SUDH BHOOL AAII

SAARE SUR EK MURLI KI DHUNN MEIN
AISI RACHNA BHALA KIS NE LAGAII ?

KAISA BANDHAN BANDHA SHAAM MORE
BAAT TERI SAMAJH MEIN NA AAII

HAATH PHOOLO'N SE PEHLE BANE THAY
YA KE GAJRE SE PHOOTI KALAII !

MAQTAL-E-WAQT MEIN.... PARVEEN SHAKIR

MAQTAL-E-WAQT MEIN KHAMOSH GAWAHI KI TARAH
DIL BHI KAAM AAYA HAI GUMNAAM SIPAHI KI TARAH

EK LAMHE KO ZAMAANE NE RAZA POOCHI THI
GUFTUGU HONE LAGI ZILLE ILAAHI KI TARAH

ZULM SEHNA BHI TAU ZAALIM KI HIMAYET THEHRA
KHAMASHI BHI TAU HUYII PUSHT PANAHI KI TARAH


Tuesday, June 25, 2013

LAALA KINAAR DARIYA.... MEER TAQI MEER

LAALA KINAAR DARIYA NIKLA HAI KYA ZAMEE'N SE
UTH'TI NAHIN HAIN AANKHE'N DEKHO IDHAR KAHIN SE

BAALEEDGI SE PAHUNCHE GUL AADMI KE SAR TAK
HO WAA'N TAU RANG TAPKE JEB AUR AASTEE'N SE

KHUSH RANG TAR HAI HAR GUL RUKHSAR SE PARI KE
SAD BARG WAA'N TARAF HAI KHURSHEED KI JABEE'N SE

MUNH PAR ABEER AASHIQ ISRAAR SE MALE HAIN
KAB HAATH KHEENCHTE HAIN MAASHOOQ KI NAHIN SE

YAK SOO GULAAL MUNH PAR KHUBAA'N KE MAL RAHE HAIN
ULJHE HAIN HAATH YAK SOO GESU-E-NAAZNEE'N SE

JAB MEER JAAN DENA BOSE KE BADLE THEHRA
TAB KHAUF KIJIYE KYA PESHANIYO'N KI CHEE'N SE

KHAT PAR KHAT.... MEER TAQI MEER

KHAT PAR KHAT BHEJTA THA LIKHWA KAR
JAB TALAK YAAR THA NA HARF SHANAAS

DIL NA BAAHUM MILE TAU HIJRAA'N HAI
HUM DE REHTE HAIN GO KE PAAS HI PAAS

ARSH-O-DIL MEIN RAHE MAGAR BARSO'N
WAHAM HAI PAR KAHIN KAHIN HAI QAYAAS

NA-UMMEEDI BHI HADD RAKHTI HAI
JEETA KAB TAK RAHE GA KOI NIRAAS

MEER VAHSHI KA DIL HAI BE TAAQAT
CHALTA PHIRTA HAI PAR UDAAS UDAAS

KHAT PAR KHAT.... MEER TAQI MEER

KHAT PAR KHAT BHEJTA THA LIKHWA KAR
JAB TALAK YAAR THA NA HARF SHANAAS

DIL NA BAAHUM MILE TAU HIJRAA'N HAI
HUM DE REHTE HAIN GO KE PAAS HI PAAS

ARSH-O-DIL MEIN RAHE MAGAR BARSO'N
WAHAM HAI PAR KAHIN KAHIN HAI QAYAAS

NA-UMMEEDI BHI HADD RAKHTI HAI
JEETA KAB TAK RAHE GA KOI NIRAAS

MEER VAHSHI KA DIL HAI BE TAAQAT
CHALTA PHIRTA HAI PAR UDAAS UDAAS

BAARISH..... MEER TAQI MEER

KYA KAHUN AB KI KAISI HAI BARSAT
JOSH-E-BAARA'N SE BEH GAII HAI BAAT

WAHI YAKSAA'N ANDHERE BARSE HAI
AASMA'N CHASHM-E-WAA KO TARSE HAI

MAAH-O-KHURSHEED AB NIKALTE NAHIN
TAARE DOOBE HUYE UCHALTE NAHIN

KHUSHK BAN AB KI BAAR SABZ HUYE
MOSH DASTI KE KHAAR SABZ HUYE

ABAR KIS KIS SIYAH MASTI SE
HO JAATE HAIN BULAND-O-PASTI SE

ABAR KARTA HAI QATRA AFSHAANI
PAANI PAANI RAHE HAI BAARAANI


Monday, June 24, 2013

MAUSAM KI DUA.... PARVEEN SHAKIR

PHIR DASNE LAGI HAIN SAANP RAATE'N
BARSAATI HAIN AAG PHIR HAWAAYE'N
PHAILA DE KHISI SHAKISTA TANN PAR
BAADAL KI TARAH SE APNI BAAHE'N

DOST....PARVEEN SHAKIR

ISS AKELI CHATAN NE
SAMUNDAR KE HUMRAH
TANHAII KA ZEHAR ITNA PIYA HAI
KE ISS KA SUNEHRI BADAN NEELA PADNE LAGA HAI 1

BE-FAIZ RAFAQAT..... PARVEEN SHAKIR

BE-FAIZ RAFAQAT MEIN SAMAR KIS LIYE THA
JAB DHOOP THI QISMAT MEIN TAU SHAJAR KIS LIYE THA

PARDES MEIN SONA THA TAU CHATT KIS LIYE DAALI
BAAHIR HI NIKALNA THA TAU GHAR KIS LIYE THA

JIS KHAAK SE PHOOTA HAI USSI KHAAK KI KHOOSHBOO
MEHCHAN NA PAAYA TAU HUNAR KIS LIYE THA

AYE MAADAR-E-GEETI! TERI HAIRAT BHI BAJA HAI
TERE HI KAAM NA AAYA TAU SAR KIS LIYE THA

YUN SHAAM KI DAHSHAT SE SAR-E-DASHT IRAADA
RUKNA THA TAU PHIR SAFAR KIS LIYE THA

Wednesday, June 19, 2013

Working Woman...Parveen Shakir

Sab kehte hain
Kaise ghuroor ki baat huii
Main apni hariyali ko khud apne lahu se seench rahi hun
Mere saare patto'n ki shaadaabi
Meri apni nek kamaii hai
Mere ek shagoofe par bhi
Kisi hawa aur kisi baarish ka baal barabar qarz nahin hai
Main jab chahu'n khil sakti hu'n
Mera saara roop, meri apni daryaft hai
Main ab har mausam se sar ooncha kar ke mil sakti hu'n
Ek tanaa-war pedd hu'n ab main
Aur apni zarkhez namoo ke saare imkaanat ko bhi pehchan rahi hu'n
Lekin mere ander ki yeh bohot purani bel
Kabhi kabhi ------- jab tez hawa ho
Kisi mazboot shajar ke tann se lipatna chahti hai !

Tuesday, June 18, 2013

MAIN FAQAT CHALTI RAHI...PARVEEN SHAKI ( MUNEER NIYAZI ZAMEEN MEIN )

MAIN FAQAT CHALTI RAHI MANZIL KO SAR USS NE KIYA
SAATH MERE RAUSHNI BAN KAR SAFAR USS NE KIYA

BE-SAR-SAAMA'N PE DIDAARI KI CHAADAR DAAL DI
BE-DAR-O-DEEWAR THI MAIN MUJH KO GHAR USS NE KIYA

PAANIYO'N MEIN YEH BHI PAANI EK DIN TAHLEEL THA
QATRA-E-BE-SARFA KO LEKIN GUHAR USS NE KIYA

PHIR TAU IMKAANAT PHOOLO'N KI YARAH KHILTE GAYE
EK NANNEH SE SHAGOOFE KO SHAJAR USS NE KIYA

TAAQ MEIN RAKHE DIYE KO PYAR SE RAUSHAN KIYA
ISS DIYE KO PHIR CHIRAAGH-E-RAHGUZAR USS NE KIYA

AYAADAT.... PARVEEN SHAKIR

PATJHAD KE MAUSAM MEIN TUJH KO
KAUN SE PHOOL KA TOHFA BHEJU'N
MERA AANGAN KHAALI HAI
LEKIN MERI AANKHON MEIN
NEK DUAO'N KI SHABNAM HAI
SHABNAM KA HAR TAARA
TERA AANCHAL THAAM KE KEHTA HAI
KHUSHBOO, GEET, HAWA, PAANI AUR RANG KO CHAAHNE WAALI LADKI !
JALDI SE ACHCHI HO JAA
SUBAH-E-BAHAAR KI AANKHEN KAB SE
TERI NARM HANSI KA RASTAA DEKH RAHI HAIN !

BAARISH KI NAZME'N....PARVEEN SHAKIR 4

BAARISH MEIN KYA TANHA BHEEGNA LADKI !
USSE BULA JIS KI CHAAHAT MEIN
TERA TANN-MANN BHEEGA HAI
PYAR KI BAARISH SE BADH KAR KYA BAARISH HO GI
AUR JAB USS BAARISH KE BAAD
HIJR KI PEHLI DHOOP KHILE GI
TUJH PAR RANG KE ISM KHULE'N GE

BAARISH KI NAZME'N...PARVEEN SHAKIR 3

BAARISH AB SE PEHLE BHI KAI BAAR HUYEE THI
KYA ISS BAAR MERE RANGREZ NE CHUNRI KACHCHI RANGI THI
YA TANN KA HI KEHNA SACH KE
RANG TAU USS KE HONTON MEIN THA !

KHWAB KYA DEKHE....PARVEEN SHAKIR

KHWAB KYA DEKHE KOI NEEND KE ANJAAM KE BAAD
KIS KO JEENE KI HAWAS HASHR KE HANGAAM KE BAAD

ISHQ NE SEEKH HI LI WAQT KI TAQSEEM KE AB
WOH MUJHE YAAD TAU AATA HAI MAGAR KAAM KE BAAD

EK HI ISM KO BAARISH NE HARA RAKHA HAI
PED PE NAAM TAU LIKHE GAYE USS KE NAAM KE BAAD

HINDASE GIDDH KI TARAH DIN MERA KHA JAATE HAIN
HARF MILNE MUJHE AATE HAIN ZARAA SHAAM KE BAAD

MAUT WOH SAAQI KE JIS KE KABHI THAKTE NAHIN HAATH
BHARTI JAYE GI SADA JAAM WOH EK JAAM KE BAAD


Monday, June 17, 2013

BAARISHO'N KI NAZME'N...PARVEEN SHAKIR 2

PAIRO'N KI MAHNDI MAIN NE
KIS MUSHKIL SE CHUDAII THI
AUR BAIRAN KHUSHBOO KI
KAISI KAISI BINTI KI THI
PYARI DHEERE SE BOL
BHARA GHAR JAAG UTHE GA
LEKIN JAB USS KE AANE KI GHADI HUYEE
SUBAH SE AISI JHADI LAGI
UMR MEIN PEHLI BAAR NUJHE
BAARISH ACHCHI NAHIN LAGI !

BAARISHO'N KI NAZME'N...PARVEEN SHAKIR 1

NAVEED KOI BANAAM-E-MAUSAM
NA TAHNIYAT KOI CHASHM-E-NAM KO
NA MUSKURANE KA THA SABAB KUCH
MAGAR MILE TAU
KHUSHI CHUPAYE NA CHUPP RAHI THI
HUM APNI AAWAZ SUN KE HAIRAAN HO RAHE THAY
HAMARE LAHJE MEIN
RAAT BHAR HONE WAALI BAARISH KHANAK RAHI THI

Wednesday, June 12, 2013

BAAT KYA AADMI KI.... MEER TAQI MEER

BAAT KYA AADMI KI BAN AAII
AASMA'N SE ZAMEEN NAPWAII

CHARAKH ZAN USS KE WAASTE HAI MUDAAM
HO GAYA DIN TAMAAM RAAT AAII

MAAH-O-KHURSHID-O-ABAR-BAAD SABHI
USKI KHAATIR HUYE HAIN SAUDAII

SHUKR KE SIJDO'N MEIN YEH WAAJIB THA
YEH BHI KARTA SADA JABEE'N SAIII

Monday, June 10, 2013

SAAQI BAJALWA... GHALIB

SAAQI BAJALWA DUSHMAN-E-IMAAN-O-AAGAHI
MUTRIB BAHANGAMA, RAHZAN-E-TAMKEEN-O-HOSH HAI

YA SHAB KO DEKHTE THAY KE HAR GOSHA-E-BASAAT
DAAMAN-E-BAHANGAMA-O-KAF-E- GULFAROSH HAI

LUTF-E-KHIRAAM-E-SAAQI-OZAUQ-E-SADAA-E-CHANG
YEH JANNAT-E-NIGAAH, WOH FIRDAUS-E-GOSH HAI

DAAGH-E-FIRAAQ-E-SOHBAT-E-SHAB KI JALI HUII
EK SHAMA RAH GAII HAI SO WOH BHI KHAMOSH HAI

AATE HAIN GHAIB SE YEH MAZAAMEE'N KHYAAL MEIN
GHALIB SARIR-E-KHAAMA NAWAA-E-SAROSH HAI

Saturday, June 8, 2013

Jalwa-e-Darbar-e-Dehli... Akbar Allahbadi

Sar mein shauq ka sauda dekha
Dehli ko hum ne bhi jaa dekha

Jo kuch dekha achcha dekha
Kya batlayen kya kya dekha

Nazm hai mujh ko baada-e-saafi
Shaghal yahi hai hai dil ko kaafi

Maangta hun yaaro'n se maafi
Khair ab dekhiye lutf-e-qawaafi

Jamuna Ji ke paat ko dekha
Achche suthre ghaat ko dekha

Sab se oonche laat ko dekha
Hazrat Duke Connaught ko dekha

Paltan aur risaale dekhe
Gore dekhe kaale dekhe

Sangeene'n aur bhaale dekhe
Band bajaane waale dekhe


Khemon ka ik jungle dekha
Uss jungle mein mangal dekha

Sadkein thi'n har camp se jaari
Paani tha har pump se jaari

Noor ki mauje'n lamp se jaari
Tezi thi har jump se jaari

Kuch chehro'n par mardi dekhi
Kuch chehro'n par zardi dekhi

Achchi khaasi sardi dekhi
Dil ne jo haalat kar Di dekhi

Daali mein naarangi dekhi
Mahfil mein saarangi dekhi

Be-rangi ba-rangi dekhi
Dahar ki ranga-rangi dekhi

Achche achchon ko bhatka dekha
Bheed mein khaate jhatka dekha

Munh ko agarche latka dekha
Dil Darbar se atka dekha

Haathi dekhe bhaari bharkam
Unn ka chalna kam kam tham tham

Zarri'n jholee'n Noor ka aalam
Mere